Timepaas

Re: Timepaas

yuN hi sahi... aap haami to bharye :~)

Re: Timepaas

Is kaam ke leeye hameiN bohat sey logoN ki khidmaat haasil heiN...aap agar yahaN pe hum sab ko sharf-e-mulaaqaat bakhs diya kareiN to barri meharbaani ho gi :)

Re: Timepaas


*
Basa saktay thay yaadoon ke kaee chehray kaee paikar

Magar kuch soch kar hum ne yeh dil weeraan rakha hai

Humein shauq-e-azzeyyat hai wagerna is zamanay mein

Teri yaadain bhulanay ko bahut samaan rakha hai ...

*

Re: Timepaas

Muskaan ka kal paper tha dua karaiN kuch likh k aai ho :-p

Re: Timepaas

^ Aameen !

Re: Timepaas

*Kuch khud bhi thay afsurda se
Kuch log bhi hum se rooth gaye

Kuch khud hi zakhm ke aadi thay
Kuch sheeshay haath se toot gaye

Kuch khud bhi thay hassaas bahut
Kuch apne muqaddar rooth gaye

Kuch ap ko sach se nafrat thee
Kuch hum se jhoot na bolay gaye

Kuch khud bhi itne mohtaat na thay
Kuch log bhi hum ko loot gaye

Kuch talkh haqeeqattain theen itni
Ke khwaab hi saaray toot gaye ...

*

Re: Timepaas

bohat khoob....

Re: Timepaas

http://i51.tinypic.com/2i0ca6c.jpg

Re: Timepaas

^ wow... is it your writing Arif? :@:

Re: Timepaas

^ Jee haan janaab, koi shak ?

Yeh tau diary ka ik safha hai aap kahain tau aur bhi nazmain share kar sakta hoon ... :)

Re: Timepaas

wow…zabardast writing hey aap ki to :k: … hum ney to bas jhak hi maara saari zindagi :teary1:

Re: Timepaas

Thanks Amal, waise ab tau bahut kam wakt milta hai likhne ke leye umooman roman english mein hi type kar liya karta hoon

Re: Timepaas

I have to say WOW... amarbail jitni nazam piyari hay utni he handwriting bhee umda hay.. waqayee hum nay tu jhak he marri hay sari umar...

Re: Timepaas

Thanks fara, Inshallah jald hi aur poems bhi share karunga ... :)

Re: Timepaas

:waves: :salam:

Re: Timepaas

NO not yet :bummer:

Re: Timepaas

Jaagtay raho .... :D

Lagta hai sab so rahe hain ...

Re: Timepaas

i am not sleeping :@:

Re: Timepaas

*Kabhi jo ehsas ho tum ko

Kay tum acha nahi kertay

Jo mujh ko youN rulatay ho

Lahoo mera jalatay ho

Agar is aag may jal ker

MaiN aik din rakh ho jaooN..

Mujhay dil say bhula daina

Samandar maiN baha daina

Mager yay yaad rakna tum

Khuda say yay dua kerna!

Kay jo acha lagay tumko

Wo tum jaisa na ho hergiz

Werna tum bhi roo gay

Mujhay jaisay rulatay ho..

Kabhi jo ehsas ho tum ko......*

Re: Timepaas

^ Wah bahut umdaah IS … :k: