Na tum badaly na dil badla na dil ki arzoo badali
main kaisay aitbaar inqilaab asmaan karloon!
Na deed hay na Sukhan ab na HarF hay na payyaaM
koi bhii heela-e- taskeen nahiN aur Aas buhat hay
Umeed-e- yaar NazaR ka mizaaj dard ka Rang
tum aaj kuch bhii na puucho keh diL Udaas buhat hay
Ye*
Yeh tu woh dhaal hain k jiss ka koi torr nahin
Aay meri jaan duaao'n ke aser main rehna
iss zaat -e- pak ka yahi ehsaan hai bahut
issnay kisi sey bhi mujhay kamtar nahi rakha!
Aankhoon mein nami, hansi laboo per
Kya haal hai, kya dikha rahe hoo
woh jaray ka mausam hi acha tha yaarub
bahaar aa ke mujh ko satati bahut ha
Yeh tootay huey khwab mere zeest ka hasil hain,
Agar in kirchion sai zakhm na khata to behtar tha,
Ab is shehar-e-wafa main mera kaam nahin,
Kabhi yahan ghar na banata to behtar tha
agar tu milta to kesa hota
inhee khailoon mein so gaya mein
Mati ke
Mati ke mohabat main hum ashufta saroon nay
Wo karz chokaya hain jo wajib behi nahi thay
Yeh Kiya hova Kashti Hamari hi Ulat gai....
Sikhatay rahay jo Lehroon ka ILam Umer bher...
Rahay
Rahay wafa main jaab na koyee mil saka shareek
Hum sath sath apnay he saya ka chal deeya
ae dost, hum ne tarq-e-ta'alluq keh bawajood
mehsoos ki hai teri zaroorat kabhi kabhi
"ye"
Salaamz all.. can i join? sure ryt … :biggrin: so herez a shair with ye
Yeh Guman na ker mujhay jurat-e-sawal nahi
Faqat dar hai tujhay la-jawab na ker doon..! ![]()
na meri raah mein taare na mere paas chiraagh
woh mere saath safar ikhtiyaar kyuon kerte
"ye"
Appreciate the contributions by you all :)
Yeh tootay huwe khwaab mere zeest ka haasil hain
Agar in kirchieyoon se zakhm na khaata tu behtar tha
Ab is shehar-e-wafa main mera kaam nahee
Kabhi yahaan ghar na banaata tu behtar tha
"Alif"
Aur khuch bhi nahi hota tu bhari barish mein
Tujh say bicheray hoay rastoon pe safer kerta hoon
"noon"
**
Najaanay kaun sa aasaib basta hai dil mein
Ke jo bhi thehra khaali makaan chor gaya
**
"Alif" ;)
Itnay qareeb aa ker bhi, na janay kis liey...?!
khuch ajnabi say aap hain, khuch ajnabi say hum
'Meem'
mujh ko supard-e-khaak kero is dua keh saath
aangan mein phool khilte rahein our makaan rahe
kya ho gaya hai???
how cum no one's participating....
c'mon guyz.....lets keep this one going!!!
someone POST A SHAIR ("ye" se)