the much requested Bait Bazi - LXVI

Ye alag baat hay kay taa'ruf na ho sakaa
Warna huam Zindagi kay saath buhat duuR tak chalay

Ye*

Ye kum nahi hay ke ahl-e-khurd ki basti maian
mera junooN hay mujhay mutebar banye huway

Yeh dil ka rog yeh chahet, khuda kissi ko na day
Burri bala hai muhhabbat, khuda kissi ko na day
Zaroori hai to buhat zindagi mein ishq mager
Yeh jan leve zaroorat khuda kissi ko na day

"Ye"

Ye mohabbat bhi hai kay rogh faraz
jis ko bholay woh sada yaad aya!

Alif!

Ab tere zikr pe hum baat badal detay hain
Kitni raghbat thee tere naam se pehlay pehlay

"Ye" ;)

ye harwaqt ka hansa tujhay barbaad na karday
tanhai ke lamhon me kabhi ro bhi liya kar!

RAAT WOH DARD DIL MAIN UTHA KAY
SUBH TUK CHAIN NA AYA LOGO
KHUSH NA THA MUJH SAY BICHHUR KAR WOH BHI
US KAY CHEHRAY PER LIKHA THA LOGO

"Wao"

ye tumhari talkh nawaiyaan koi aur seh kar dekha to day
ye jo hum main tum main nibah hai mere hoslay ka kamaal hai

Ye!

Yeh zindagi hai ke barish hai sang raizoon ki
Mein toot phoot gaya is mein mubtilaa hokar

ravish ravish ha wohi intizar ka mausam
naheen ha koi bhi mausam bahar ka mausam

Meri tarah tu kisi bewafa se pyar karay
Tujhe woh dil se bhula de tu intezaar karay

:(

Yeh kahan ki dosti hai key banay hain dost Naseh
koi chaarahsaaz hota, koi gham-gusaar hota

Aaye hain samjhaanay log
Hain kaise deewanay log

"G"

Gar janna chahtay ho kaisay hain halaat meray
aap kabhi dekhna pani sey machli nikal kar !

Rukay tu gardishaain uss ka tavaf karti hain
Chalay tu uss ko zamana tehar kay daikhta hai

"Ye"

Yoon jaa rahaa hoon jesey naa aaon ga phir kabhi
morh morh key dekhti hey meri raah-guzar mujhey!

Yadain, udaas aankhain aur aik dil bhuja bhuja
Jatay howay who kitnay inamaat de gaya......

"Alif"

issay barh kar aur kia deta sakhawaat ka saboot
main nay mangi chand bondain woh samundar dey gaya!

Ab teray qareeb akay bhi kuch soch raha ho
pahlay tujhay kho kar bhi nadamat na huwi thi

"T"

Tere naam likhne ki ijaazat chin gaee jab se
Koi bhi hurf likhta hoon tu aankhain bheeg jaati hain

"Noon"