the much requested Bait Bazi - LXVI

Is basit mein kaun hamare aansoo poncheyga
Jis ko dekho us ka daaman bheega lagta hai

Ye shehr jo dozaKh hai tu dozaKh hi sahee
dozaKh meN kahaaN Khouf e ajal hotaa hai

Yeh dil bhoolta nahee hai woh saneha zara sa
Likha tha khat lahoo se barish mein jo baha tha

Aisa ziddi tha mira ishq na behla phir bhi
log sach much kaii mehtaab uTha kar le aaye.

Yeh ittefaaq thaa ke muqaddar ki baat thee
Saaya na de sakay jo milay bhi shajar kaheen

Nichaawar hote heN parwaane khud jaljalke shum'a par
milaa kiyaa shum'a ko mazloom o be~kus ko jalaane par

:wave: :wave: :wave:

Rakhtey ho tum qadam meri aankhon sey kiun daregh
Rutbay mein mehr-o-mah sey kamtar nahi hon mein

Na sochaa na samajhaa na siikhaa na jaanaa
mujhe aa gayaa Khud_ba_Khud dil lagaanaa.

(Mir Taqi Mir)

Abb kay gar tu milay to hum tujh say
aisay liptain terii qaba ho jain

Na huii gar mere marane se tasallii na sahii
imtihaaN aur bhii baaqii ho to ye bhii na sahii

Khaar-Khaar-e-alam-e-hasarat-e-diidaar to hai
shauq gulachiin-e-gulistaan-e-tasallii na sahii.

(Mirza Ghalib)

Yea samjhna barra dushwaar Laga hay Suhail!!
Keh Haqeeqat hai,Keh Ehsaas Keh Aijaaz hai MOUT

Teraa hijr meraa nasiib hai teraa Gam hii merii hayaat hai
mujhe terii duurii kaa Gam ho kyoN tuu kahiiN bhii ho mere saath hai.

(Nida Fazil)

yoon to her shaam umeedon main guzar jaatee thee
aaj kuch baat hai jo shaam pay rona aya

aaj ashko.n kaa taar TuuT gayaa
rishtaa-e-intazaar TuuT gayaa

Apnay kirdar ko mausam sey bacha kar rakhna
laut kar ati nahin pholoon mein khusbhoo kabhi !

Ya ahla e hijar ke basti hai yahan ahtiyat say chal
Musabatoon ke yahan intaha guzartee hai...

Ye deyaar’e ghaflat’e shoq hai
na hamaray saath chaley koi
Key guzar rahein hain wahaan sey hum
jehan khud hamaraa guzar nahin!

Neend aajaye tu kia mehfil-e-barpaa dekhon
Aankh khul jaye tu tanhai ka sehra dekhon

Na poochieye ke huwee husn ki ajab haalat
sunee jo pehle pehal ishq e na saboor ki baat

(Hasrat Mohaani)