yeh kehna tha un sey muhabbat hai mujh ko
yeh kehney main mujh ko zamaaaney lagey
Ya tari yaad hai ya maray ansoon
Maray hamdam bata ka ya kiya hai
**
(Dilsay)**
ishq par kuch na chala diida-e-tar ka jaaduu
usanay jo aag laga dee vo bujhaa'ii na gai
Yeh mera dil hai jis ne teri yaad mein sub kuch bhula diya
Ek tera dil bhi hai jis ne kabhi bhool kar bhi yaad nahin kya
aage ba.De na qissaa-e-ishq-e-butaa.N se ham
sab kuchh kahaa magar na khule raazadaa.N se ham
Main ghamon say choor choor jab toot-ti rehti hoon
Teri jheel si gahri aankhon main doobti rahti hoon
Bhanwar main jaati hoon paani uchaal deta hai
Kai tareeqay moat kay dhoondti rahti hoon
Niyaaz-o-naaz key jhagrey ,mitaye jaatey hain
Hum un mein aur woh hum mein samaye jaatey hain
Na jee bhar kar dekha na kuch baat kee
Bari arzoo thee mulakat kee
Yeh saza meray naseeb ney dee meri aashiqui ki
Diya jis ko dil ussi ney meray dil sey dillagi ki
Yeh na thee humari qismat key wisaal-e-yaar hota
Agr aur jeetay rehtey, yehi intezaar hota
Ik roug hai ke rooh mein uttar gaya hai
Ik dard hai ke khaa gaya hai dil ko
Woh hans hans kar dilasey dey rahey hain arz-e-matlab per
Ajab andaaz sey hasrat meri behlai jaati hai
Yeh Khuda ki dain ajab hai ke iska naam naseeb hai
Jisay tune chaaha milgaya, jisay mein ne chaha mila nahe
Yeh qana'at hai ita'at hai key chahat hai faraz
Hum tu razi hain woh jis haal mein jaisa rakhey
Yun bhi hum door door rehtay thay
Yun bhi seenay mein ek kadoorat thee
Tu ne rasman bhulla diya warna
Is takalluf ki kya zaroorat thee
** Yeh jo dil kee kaifiyyat hai nahi raaz agr tu kia hai
Kabhi gulistaan mein chup hon kabhi ghazal khuwaan
Merey dard ki latafat hai teri nazr ka per tu
Merey parda-e-sukhn mein tera natq hai ghazal khuwaan**
Na aaya raas humein us se nafratein karna
Bichar ke phir us se milne ki khwahishein karna
Humein tu aaj bhi us ki zarooratein hain bohut
Ussee ne chor diya hai rafaqatein karna
Ab dil ko napasand hai pholon ka husn-o-rang
Shayad buland zauq-e-nazr kar raha hon mein
Na koi dar na dareecha na koi manzil
Jaanay kis muqaam pe aa thehray hum
Manzil ko na pehchaney raah-e-ishq ka rahi
Nadaan hi sahi, aisa bhi saada tu nahi tha