the much requested Bait Bazi - LXVI

Kisi key ishq-e-nihaan mein yeh badgumaani thee
Ke darte darte khuda per bhi aashkaar kia

[QUOTE]
*Originally posted by ~Nazish~: *
jo mein ne post kiya hai uska tou jawab do.
[/QUOTE]

mujhe jawaab deney ko kaha tha isliye merey shaer ka jawaab dia jaye

ab ye aa.Nkhe.n kisii taskiin se taabindaa nahii.n
mai.n ne raftaa se ye jaanaa hai ke aa_indaa nahii.n

Good going :k::k::k:

Mar gaye thaaN ee.

i'll reply to the last one.

Na wo Ishq meiN rahiN garmiaaN, na wo Husn meiN raheiN shaukHiyaaN
Na wo GHaznawi meiN tarhap rahi, na wo kHam hai Zulf-e-Ayaaz meiN

( IQBAL)

Nigaah naaz ko takleef junbish ta kaja aakhir
Mujhee per munhasir kardo mera majboor hojana

aaye hai.n samajhaane log
hai.n kitane diivaane log

gaye dino.n kaa suraaG lekar kidhar se aayaa kidhar gayaa vo
ajiib maanuus ajanabii thaa mujhe to hairaan kar gayaa vo

(Kasir kazmi)

Vo mara ho na saka tu main bura koyoon manoon
Us ko haq hai jisay chahay usay piyar karay

Ye humeen they jin key libaas per sir reh siyahi likhi gayi
Yehi daagh they jo saja key hum bazm-e-yaar chaley gaye

Yun tu har cheez salaamat hai meri duniya mein
Ik taa'luq hai jo toota huwa lagta hai

yaar bin talKh zi.ndaganii thii
dostii mudda_ii-e-jaanii thii

Yehi woh jigah hai, yehi woh fiza hai
Yaheen per kabhi aap hum se milay thay

Aab yaheen rookna i am tired a bit... subha say lar raha hoon akila....

:)

*Yaan agr bazm thee tu uski bazm
Yaan agr zaat thee tu uski zaat
*

Tum tu sab baharoon ko sath apne legaye
Apna ghar mehakta thaa, aik daur aisa thaa
Sab andheyari raaton mein sath chor detay thay
Tu nahee badalta thaa, aik daur aisa thaa

AaGaaz to hotaa hai anjaam nahiin hotaa
jab merii kahaanii me.n vo naam nahiin hotaa.

Ilahi phir mazaa kia hai yahan duniya mein rehney ka
Hayaat-e-jaawedan meri, na marg-e-nagihaan meri

yaa tau aaghazay safar hi say naa bantay saathii
ab labay baam teraa choR k jaana kaisa

Urali qamriyun ney, tootiyun ney, andleebon ney
Chaman walon ney loot li tarz-e-faghan meri