the much requested Bait Bazi - LXVI

yaad karanaa har gha.Dii us yaar kaa
hai vazifaa mujh dil-e-bimaar kaa

Aashob nazar sey ki hum ney chaman-aaraai
Jo shey bhi nazar aai, gul-rang nazar aai
Hum saada hi aisay thay, ke yun ki paziraai
Jis baar khizaan aai, samjhay ke bahaar aai

Bhai, ghar jane do, Its almost 21:45 and am still in the office... Catch ya all laterzzzzzzzz

Ok go.............

Ya sir gra tu kat kar garay ga shanoon say
Ya sir negoo taray sir ke kasam nahi hoo ga

Last one before leaving… !

Is mein qismat ki khata hai na zamane ka qusoor
Gham tu insaan ke jeene ke saza hotay hain

Catch ya soon … till then :wave::wave::wave:

Nami Ankhoon se jati hi nahi hai
Sitam is Dil ne Itna Sah liya hai

Ya hai na tum say hamain bechar janay ke jaldi hai
Kabhi milna tumaharay masalay ka hall nakalin gay

Ye khazaaN ki zard se shaam mein jo uddas pairh ke paas hai
Ye tumhare ghar ki bahaar hai, issay aansoo'on se harra karo.

vafaa ke bhes me.n ko_ii raqiib-e-shahar bhii hai
hazar! ke shahar ke qaatil tabiib-e-shahar bhii hai

Ye alaG baat hai' ik hamhi andhere meN rahe
Zeest ghuzri hai magar sham'a farozaN ki tarah.

Hansa hansa key shab wasl ashk baar kia
Tasalliyan mujhe dede key bey qaraar kia

Anjuman Saazi-e-Arbaab-e-Hunar keya likhiye
Unko wo aur UnheiN Ehbaab uthaa kar le aaye haN

Na pooch dil ki haqeeqat magr yeh kehtey hain
Woh beqaraar rahey jis ney beqaraar kia

Us nay wafa nebhanay ka wada kiya tu tha
Phir yoon howa ka us ka irada badal giya

Aashaqee sabar talab aur tamanna betaab
dil ka keya rung karooN KHoon-e-jigar hone tak.

Us ney kaha hai sabr parey ga raqeeb ka
Ley aur beqaraar ho aur beqaraar dil

:smack:

Ya kis par khatam hoo raha hai jee kiya is ka behi jawab deena paray ga…

:slight_smile:

acha bhaeeeeeeee…sorry:teary1:…thori der hogayeeee

jo mein ne post kiya hai uska tou jawab do.

Naraz koon hooti hoo ya loo

kaabe me.n jaa.N_balab the ham duurii-e-butaa.N se
aaye hai.n phir ke yaaro.n ab ke Khudaa ke yaa.N se