Vo aa tu jaya magar intazar he kam hai
Vo bewafa tu nahi mara piya he kam hai
Yeh kya huwa teri duniya ko ay Khuda-e-Kareem
Ke zinda log tarastay hain zindagi ke liye
yuu.N na rah rah kar hame.n tarasaa_iye
aa_iye, aa jaa_iye, aa jaa_iye
Yeh aur baat ke tum aye ho tu yahaan koi nahee
Wagarna gham tau yahaan beshumaar rehtay hain
na Gubaar me.n na gulaab me.n mujhe dekhanaa
mere dard kii aab-o-tab me.n mujhe dekhanaa
Ik khaas hadd pe aa gayi jab teri berukhi
Naam us kaa ham ne gardish-e-ayyaam rakh diya
aag puurii kahaa.N bujhii hai abhii
diidaa-e-tar me.n tishnagii hai abhii
Yaad us ki itni khoob nahin Meer baaz aa
Nadaan phir woh jee say bhulaaya na jayega
yahii haalaat ibtadaa se rahe
log hamase Khafaa Khafaa se rahe
Yeh kis muqam pe soojhi tujhe bicharne ki
Ke ab tu ja ke kaheen din sanwarne walay thay
Bichar ke tujh se mila umer bhar ka san'naatta
Bana gayeen tanha mujhe rafaqattain teri
Ya kiya ka hum nay behi usay bhoola diya hai
Ya kiya ka wo behi hamain yaad aab nahi karta
(Dilsay)
Ay aankh meri ab tu khwaboo ki duniya se laut aa
Aankhain taras gayeen meri dareyaa ke wastay
Yoon he moosam ke ada dekh kar yaad aya
Kis qadar jald badal jatain hain insan janan
Na tu zameen kay liye hay na aasmaan kay liye
Tera wajood hay ab sirf daastan kay liye
aadatan tum ne kar diye vaade
aadatan ham ne aitabaar kiyaa
Ay dost jhoot aam thaa duniya mein is qadar
Tu ne bhi sach kaha tau fasaana laga mujhe
Ab us ko kho raha hoon baray ishteyaaq se
Woh jis ko dhoondne mein zamaana laga mujhe
Ya tujah ko jagtay rahnay ka shoouk kab say howa
Mujahay tu khair tara intazar karna hai...
Yeh khullay se gaisoo yeh urri urri si rangat
Teri subha keh rahi hai tere raat ke fasaana
aage ba.De na qissaa-e-ishq-e-butaa.N se ham
sab kuchh kahaa magar na khule raazadaa.N se ham
Main chahata bhi yehi thaa woh bewafa niklay
Ussay samajhne ka koi tu silsilaa niklay