na`khush haiN kabhi but, kabhi naaraaz haram hai
ham dil~zadagaaN ka na khuda hai na sanam hai
(Ahmad Faraz )
na`khush haiN kabhi but, kabhi naaraaz haram hai
ham dil~zadagaaN ka na khuda hai na sanam hai
(Ahmad Faraz )
yaad hai.n saare vo aish-e-baafaraaGat ke maze
dil abhii bhulaa nahii.n aaGaaz-e-ulfat ke maze
yonhi mousam ki adaa daikh yaad aya hay
kiss qadar jald badal jatay hain insaan janaN
Na armaaN dil meN hai koie' na khushiyaaN rahiN baaqi
ye kisne kardiya humko ghumaoN meN mubtilaa yaaro
na kisii kii aa.Nkh kaa nuur huu.N na kisii ke dil kaa qaraar huu.N
jo kisii ke kaam na aa sake mai.n vo ek musht-e-Gubaar huu.N
Namrood e waqt aur bhi bhaRkale apni aaG
sailaab banke hum bhi ghireNge alaa'o par.
raah aasaan ho ga_ii hogii
jaan pahachaan ho ga_ii hogii
jaan pahachaan ho ga_ii hogii
abi kahaN
Yeh aur baat hai keh sharminda-e ta'abeer na hon
har zehen main warna kuchh Taj Mahal hotay hain.
naa muhabbat naa dostii ke liye
vaqt rukataa nahii.n kisii ke liye
Last sher.
Ye alaG baat hai ke ta'ruff na ho saka
Varna ham zindagii ke saath bohat duur tak chale.
see you later.
yahaa.N se ab kahii.n le chal Khayaal-e-yaar mujhe
chaman me.n raas na aayegii ye bahaar mujhe
**
Yeh mazaa tha dil lagi ka key barabar aag lagti
Na tujhe qaraar hota, na mujhe qaraar hota
Na maza hai dushmani mein na hai lutf dosti mein
Koi ghair ghair hota, koi yaar yaar hota**
aadatan tum ne kar diye vaade
aadatan ham ne aitabaar kiyaa
Apne ander aansoo'on ka ek dariya hai rawaan
Aankh ke bheegain kinaaray, yeh zaroori tu nahee
ye bhii kyaa ehasaan kam hai.n dekhiye na aap kaa
ho rahaa hai har taraf charchaa hamaaraa aap kaa
Aye nakhuda Khuda ka kuch khauf to khaya hota
Kashti meri dabo di sahil kay paas la ke
Ya arzoo behi bohat hai magar maray hamdam
Vasala yar faqat arzoo ke baat nahi...
Yahan dard ki yeh hikayatain mere humnafas na suna mujhe
Yahan zakhm kha ke har ek nafas gham-e-zindagi se nidhal hai
ye jo zindagii kii kitaab hai ye kitaab bhii kyaa kitaab hai
kahii.n ik hasiin saa Khvaab hai kahii.n jaan-levaa azaab hai
Yeh umr-e-gurezaan kaheen thehray tu main janoon
Har saans mein mujh ko yehi lagta hai ke tum ho