the much requested Bait Bazi - LXVI

Wo jo bhi chahaye likhay aur jaisay chahaye likhay
kay hum nay uskay hawalay warq ye sada kiya!

Unkii bewafaai say hamaiN koi shikwaa tou nahiN
gilaa tou apnay aap say hay jo un kay QaabiL na thay

Ye*

Yaad Karna Harr Ghari Uss Yaar Ka,
Hay Wazeefa, Mujh Dil-e-Beemar Ka

"Alif" ;)

ab is samar se ziada samar mlien na mlien
ghayee to soag mein dobtee qadam yeh kah ghayee
safar hai shart,sarik-safar mlien na mlien
tere tarp se na tarpa tha mera dil lakin

noon

na wo tum bedlei na ham toar hamarei hein wohie
faslei berh gaei per qurb toh sarei hein wohie

Yeh Ada'ay Khud-fareebi To Mizaj Hay Hamara,
Na Qareeb Tha Kinara, Na Qareeb Hay Kinara.
Na Khata Hay Dooston Ki, Na Qasoor Hay Tumhara,
Mujhay Ra'hay-Dosti Main Meri Sadgi Ne Mara

"Alif"

wao bait bazi

ankhain hain aur dhol bhara sanata
guzar gae hae ajub saware yadon wale

Yoon kis terha katay ga karee dhoop ka safar
Sir pay khayal-e-yaar ki chadar hi lay chalain

"Noon"

najane kounsi manzil per jake thehre ga
vo kafla huun jeska nisab hae dunia

Aye shab-e-hijran na ho mayoos tu meri tarhan
chund lamhay waqt kay baqi sehar main ab bhi hain!

Ye!

Lamhay, I think your contribution has ended "Noon" not in "Ye", check out again urself... !

Neerangiye siyasat-e-dora(n) to dekhiye
Manzil unhay mili jo shareek-e-safar na they

"Ye"

Oh yes Its noon sorry for the mistake!

any way mistakes is a part of every ones life no one is perfect !

yeh kiyaa keh sab say beyaan dil ki Haalatien karni
~FARAAZ~ tujh ko nah ayeen mohabbatien karni!

Ye !

Yehi likha tha meri haath ki lakeeroo(n) main
Mein agar pyar karoonga to bikhar jaoonga

"Alif"

Ahteraam ki baat hey warna Munir socho to
jo shakhs sun sakta hey wo bol bhi to sakta hey!

Ahteraam ki baat hey warna Munir socho to
jo shakhs sun sakta hey wo bol bhi to sakta hey!

humay yaad keya ;)

ye kisakii burii tum ko nazar lag gaii hai
bahaaro.n ke mausam me.n murjhaa rahe ho

Uff its munir niazi akal mand

woh jo hum main tum main qarar tha tumhay yaad ho kay na yaad hoo
Wohi wada yaani nibaah kaa, tumhien yaad ho ke na yaad ho!

especially for you lamhay yeh shaer sub kuch kehreha hai ;)

wo terey naseeb ki baarisheN, kisi aur chatt pey baras gaeeN
dil-e-bekhabar meri baat sun, usey bhool ja usey bhool ja
meiN to tha tery hi gumaan meiN, teri aas, tery dhiyaan meiN
saba keh gai mery kaan meiN, mery saath aa, usey bhool ja.

Ankh samandar, dil sehra, aur chehray pay ho ka aalam
Raaz chupanay ki koshish main tum charcha kar baithay ho..!

"Wao"

woh dil hi kya teray milanay ki jo dua na karay
main tujh ko bhool ke zindaa rahoon Khuda na karay!