the much requested Bait Bazi - LXVI

Noon!

Ummmm
Na na kartay chat tumhi say kar bethay karna tha sirf baat per dil laga tum say bethay lolzz ;)

here is the shair ji

Neeyat-e shauq bhar na jaye kahin
too bhi dil say utar na jaye kahin

                  Aaj dekhaa hai tujh ko deer kay baad
                    Aaj kaa din guzar na jaye kahin !

Na jaanay kiun meri aankhon main aa gaey aansoo
Kisi nay haath barhaya jo dosti kay liye

"Ye"

yeh maujazah bhi mohabbat kabhi dikhaye mujhay
key sang tujh peh giray aur zakhum aye mujhay!

Ye!

YEH INTIHAA-E-WAFA HAI KE SAADGI APNI
WOH GHAM BHI DE TO USE HUM KHUSHI SAMAJHTE HAIN

"Noon"

Nikalana khula say adam ka suntay aye theey lekin
baray bey abru hokar teray kochay say hum nikalay!

YE!

YAAD PHIR AAYA WOH GUZRA HUA SAAWAN MUJH KO
PHIR MERI AANKH NE RONE KA BAHANA CHAHA

"Alif"

ab kay tajdeed-e vafaa kaa nahin imkaan jaanan
yaad kiyaa tujh ko dilaien tera paimaan jaanaan

               yoonhi mausam ki adaa dekh kay yaad Aaya hai
               kis Qadar jald badal jaatay hain insaan jaanaan!

Na jaane kaun sa aasaib dil mein basta hai
Ke jo bhi thehra woh khaali makaan chor gaya

"Alif"

Aankh say door nah ho dil say utar jayega
waqt ka kyaa hai guzarta hai guzar jayega

               itna  maanoos nah ho Khilvat-e Ghum say apni
             tu kabhi Khud ko bhi dekhay ga to darjayega !

Ab FARAZ apnay maseeha say umeed na rakh
woh tang-dil hai aur teray zakham main hai gheraee bhut

"T"

Tum bhi Khafaa ho logh bhi barham hain dostoon
ab ho chalaa yaQeen key buray hum hain dostoon

                kis ko hamaaray Haal say nisbaat hai kiya kahien
              Aankhain to dushmanoon ki bhi pur-nam hain dostoon!

num hain palkain tairee aay moj e hawa ,raat kay saath
kia tujhay bhi koi yaad aata hai,barsat kay saath

"H"

Hum simaat kar aur bhi apnay kareeb atay gaye
door jitna hum say woh hota gaya hota gaya
Jab talak aya nahi tha samnay woh kehar tha
agaya jab samnay bey dast o paa hota gaya!

(A)

I think it must be "Alif"

Ab hum ko dhoondnay ka takalluf na keejeyay
Hum kho gaye ke aap ka milna mahaal thaa

"Alif"

Aaj socha tu ansoo bhar ayee
muddatien hogaye muskurayee!

Yeh hi dil thaa ke tarastaa thaa marasim ke liye
Ab yeh hi tark-e-taluq ke bahaanay maangay

"Yeh"

Ye akhiri manzil hai meray safar ki
ab mujh say kahin nakal makani nahi hogi!

Yeh hussn-e-ittefaaq hai ya hussn-e-ehtemaam
Hai jis jagah faraat waheen Karbala bhi hai

again “ye” :smack:

:mad3:
lolzzzzz U KNOW UR SO CUTE :wink: with this image :smack:

phir YE arif kia hai :frowning: :mad3:
yeeeeee :rocket:

here is the shair ji

YE NAHIN MUMKIN PARESHAANI NA HO
KIYA KHABAR USKI ANKH MAIN PANI NA HO
ROBARU HAI AUR NAHIN HAI RABTA
AAINAY KO KAISAY HAIRANI NA HOO!

(WAO)

Woh raatain chand ke sath gaein, woh batain chand ke sath gaein
Is sukh ke sapnay kya dekhain, jab dukh ka suraj sar per ho..!

;) "Wao" ;)