the much requested Bait Bazi - LXVI

Ya he nahi hamin toor kar giya hai koyee
Usay behi khud ko bohat deer jorna hoo ga

Umeed e nawazish main, kiyon jeetay hain hum akhair
sehtay hi nahi koi jab dard o alm tujh say !!!!!!!!!!!!!!!!1

yahii haalaat ibtadaa se rahe
log hamase Khafaa Khafaa se rahe

Aik teer say do shikaaar khair

yonhi dukh kisi ko dayna nahi khoob, warna kehta
keh meray aadu ko yaa rub milay meri zindagani

yahii bahut hai ke dil us ko Dhuu.ND laayaa hai
kisii ke saath sahii vo nazar to aayaa hai

Yaaro kisii qaatil se kabhii pyaar na maa.Ngo
apane hii gale ke liye talavaar na maa.Ngo

(Qateel Shafaii)

Woh our hongay jinhain mout aagaii hogi
Nigah e yaar say paii hay zindagi main nay

ye chaa.Ndanii bhii jin ko chhuute hue Daratii hai
duniyaa u.nhii.n phuulo.n kopairo.n se masalatii hai

(Bashir Badar)

Yeh masayl e tasavaf! yeh tera bayan Ghalib
hum tujhay walii samjhtay jo na bada khwar hota

Aik duniya muntazir hai aur teri bazm main
is tarah bethay hain hum jese kahen jana nahi

(Ahmed Faraz)

yaan sar e purshoor be-khwabi say tha
waan, woh farq e naaz mehv baalesh e kam khwab tha

Aey haasil-e-khaloos batLla kia jawab dooN
Duniya ye poochti hai k maiN keoN udaas hooN.

Na kahan iss rang say khoon na beh tapaknay laga
dil keh zooq e kawish e nakhun say lizat yaad tha

Ae mohtasab-e-shahar nahiN tujh se shikayat
ham khud hi dil-o-jaaN ki tabaahi ka sabab haiN.

(Mohsin Naqvi)

nah hoga bayabaan mandagi say zooq e kam mera
hubab e mojah e raftar hay naqsh e qadam mera

Ab dekhiye kis kis pe tere gham ka karam ho
warna teri chaahat ke gunahgaar to sab hain

(Mohsin Naqvi)

Naqsh faryadi hay kiss ki shokhii e tehreer ka
kagazi hay perahan her paikar e tasweer ka

aa bhii jaao kii zindagii kam hai
tum nahii.n ho to har Khushii kam hai

Yeh mumkin nahi hai keh kHaali phire wo
Tere Dar pe Banda jo koi sadaa de

Ya hum he hain ka tara dard choopa kar dil main
Kam duniya ka badastoor kiya jatay hain