Just to move it....
**
yaa to miT jaa_iye yaa miTaa diijiye
kiijiye jab bhii saudaa kharaa kiijiye **
Just to move it....
**
yaa to miT jaa_iye yaa miTaa diijiye
kiijiye jab bhii saudaa kharaa kiijiye **
Yeh baRha hi chala jata hey ahsaas zayaan ka
Ab dil ki karein fikr key hum sir ko bachaien.
**
Numayan hoke dikhladey kabhi unko jamaal apna
Buhat muddat sey charchey hain terey bareek beenon mein
Khamosh aye dil! bhari mehfil mein chalana nahi acha
Adab pehla qareena hai muhabbat key qareenon mein**
na jaanaa aaj tak kyaa shai Khushii hai
hamaarii zindagii bhii zindagii hai
*Ijazat ho to keh doon qissaa-e-ulfat sar-e-mehfil
Mujhe kuch to fasana yaad hai kuch tum suna dena *
aur to ko_ii bas na chalegaa hijr ke dard ke maaro.n kaa
subah kaa honaa duubhar kar de.n rastaa rok sitaaro.n kaa
Alfaaz ki surat mein sakoon maang lo mujh se
Ehsaas ka suraj tu yahaan doob chala hai
yuu.N terii rahaguzar se diivaanaavaar guzare
kaa.Ndhe pe apane rakh ke apanaa mazaar guzare
Yeh kis dhun mein hum tum safar ka aghaz kar bethay
Tumhein ankhain nahee miltee humein chehra nahe milta
aa chaa.Ndanii bhii merii tarah jaag rahii hai
palako.n pe sitaaro.n ko liye raat kha.Dii hai
Yeh kya huwa ke bharay aasmaan ke aangan se
Bichar gaya jo sitaara hamare naam ka thaa
aa jaaye.n ham nazar jo koii dam bahut hai yaa.N
mohalat basaa.N-e-barq-o-sharaar kam bahut hai yaa.N
Nazrain sab kehti sunti thee, hum donoo chup rehte thay
Do nazroon ka aisa naata, toota thaa kab, jaane doo
Vo aa tu jaya magar intazar he kam hai
Vo bewafa tu nahi mara piyar he kam hai
**
Yeh saraab tu nahee hain, koi khwaab tu nahee hain
Zara aap hi bataaein, yeh jo hum mein faasilay hain
Nahee mumkin us ko paana, tu phir us se kyon milein hum
Karain justujoo bhi kyon hum, is soch mein paray hain**
nahii.n ki mujhako qayaamat kaa etiqaad nahii.n
shab-e-firaaq se roz-e-jazaa ziyaad nahii.n
na kisi ki aankh ka noor houn
na kisi kay dil ka khayal houn
jo kisi kay kaam na aa sakay
mai woh aik mushta-e-ghubar houn
Na ho gar ashna nahi hoota
Bout kisi ka Khuda nahi hoota
Ab iss terha bhi na yaadoun ki kirchiyaan chunyey
Na tha firaaq sey behtar wisaal kia uss kaa
Yeh souch ker na milay phir ussay kabhin Saahil
Na jaaney ho gaa nadaamat sey haal kia uss kaa
iss jor o jafa par bhi, badzun nahi hum tujh say
kia tarfa tamnna hay, umeed e karam tujh say
(aap logon ki ijazat say)