the much requested Bait Bazi - LXVI

aatii nahii.n kahii.n se dil-e-zindaa kii sadaa
suune pa.De hai.n kuuchaa-o-baazaar ishq ke

**
Yeh kaisi andhair nagri hai ke mere Khuda
Tu saamnay hai magar tujhe dhoondta hai koi
Chalo acha huwa zamaanay ko mauzoo tu mil gaya
Humein sata kar kitna muskuraata hai koi**

yaad nahii.n kyaa kyaa dekhaa thaa saare manzar bhuul gaye
us kii galiyo.n se jab lauTe apanaa bhii ghar bhuul gaye

**
Yun bhi hum door door rehtay thay
Yun bhi seenoo mein ek kadoorat thee
Tu ne rasman bhula diya warna
Is takalluf ki kya zaroorat thee
**

ye shab-e-firaq ye bebasii hai.n qadam qadam pe udaasiyaa.N
meraa saath ko_ii na de sakaa merii hasarate.n hai.n dhuaa.N dhuaa.N

na jaanaa aaj tak kyaa shai Khushii hai
hamaarii zindagii bhii zindagii hai

Yeh tootay huey khwab mere zeest ka hasil hain,
Agar in kirchion sai zakhm na khata to behtar tha,
Ab is shehar - e - wafa main mera kaam nahin,
Kabhi yahan ghar na banata to behtar tha

ab aaye.n yaa na aaye.n idhar puuchhate chalo
kyaa chaahatii hai un kii nazar puuchhate chalo

Woh ishq jo hum se rooth gaya
Ab us ka haal sunaayein kya
Koi mehar nahee koi shehar nahee
Phir sacha shair sunayein kya

ab jo ik hasrat-e-javaanii hai
umr-e-raftaa kii ye nishaanii hai

Yeh chaand beetay zamaanoo ka aaena hoga
Bhatak'tay abbar mein chehra koi bana hoga
Udaas raaah koi daastan sunaayegi
Karoge yaad tu har baat yaad aayegi...

ye shiishe ye sapne ye rishte ye dhaage
kise kyaa Khabar hai kahaa.N TuuT jaaye.N
muhabbat ke dariyaa me.n tinake vafaa ke
na jaane ye kis mo.D par Duub jaaye.N

na ho gar aashanaa nahii.n hotaa
but kisii kaa Khudaa nahii.n hotaa

A'amaal sey mein apney buhat bekhabar chala
Aaya tha ah kisliye aur kia mein kar chala
Hai fikr-o-sal subah tu indoh hijr shaam
Is roz-o-shab ke dhandhay mein ab mein tu mar chala

avval-e-shab vo bazm kii raunaq shamaa bhii thii paravaanaa bhii
raat ke aaKhir hote hote Khatm thaa ye afasaanaa bhii

Yehi woh jigah hai, yehi woh fiza hai
Yaheen per kabhi Aap hum se milay thay
Inhein hum bhala kistarha bhool jaayein
Yaheen per kabhi aap hum se milay thay


Yeh sab haath hain khoon sey jin key tar
Yehi they maseeha, yehi chara gar
Jigr ki khabar hai na dil ki khabar
Magr lar rahi hai nazr sey nazr

raah-e-talab me.n kaun kisii kaa apane bhii begaane hai.n
chaa.Nd se mukha.De rashk-e-Gazalaa.N sab jaane pehachaane hai.n

*Nazar aata hai aayino mein tera aks
Teri soorat ko main bhulaa nahin sakta
Tere aane ki aakhiri umeed hai ye
Is shamma ko main bhujhaa nahin sakta *

aa ke patthar to mere sahan me.n do-chaar gire
jitane us pe.D ke phal the pas-e-diivaar gire