Na-jaanay ho geyaa huuN is QadaR hasaas maiN kab say
Kisi say baat karta huuN tou AankhaiN bheeg Jaati haiN
Noon*
Na-jaanay ho geyaa huuN is QadaR hasaas maiN kab say
Kisi say baat karta huuN tou AankhaiN bheeg Jaati haiN
Noon*
na dekha kuch jaaam mein jam ne apnay
so ik qatrae-e-may hum khud dekhtey hain
sorry for starting with ye
"ye"
ye tasallii hai ki hai.n naashaad sab
mai.n akelaa hii nahii.n barabaad sab
na itna teez chalay sirphiri hava se kahoo
shajar pe aik hi pata dikhai deeta ha
yuu.N chup rahanaa Thiik nahii.n ko_ii miiThii baat karo
mor chakor papihaa koyal sab ko maat karo
woh gul aafshaani-e-guftaar ka pekar "saalik"
aaj koochay sey teray ashk fishaan guzra hai
yaade.n chalii.n Khayaal chalaa ashk-e-tar chale
lekar payaam-e-shauq ka_ii naamabar chale
**
Yeh saza mere naseeb ne di mujhe aashiqui ki
Diya jis ko dil ussi ne mere dil se dil-lagi ki
**
ye kufr-o-dii.n kaa fasaanaa ye zikr-e-dair-o-haram
aziiz hai magar un kii tuvajjihaat ke baad
seenay mein daagh hai ke mitaya na jaye ga
tum ko hazaar sharm sahi, mujh ko laakh zabt
ulfat woh raz hai ke chupaya na jaye ga
**
Aa dekh mujh se ruthne walay tere baghair
Din bhi guzar gaya meri shab bhi guzar gae
**
ye bhii nahii.n biimaar na the
itane junuu.N aasaar na the
**
Yaar to yaar hain,aghyaar bhi ab mehfil main
Main tera zikr na cheroon to bura mante hain
**
neeyat i shouq bher na jaye kaheen
to bi dil se uter na jaye kaheen
Niyaaz-o-naaz key jhagrey mitaye jaatey hain
Hum unmein aur woh hum mein samaye jaatey hain
na Gubaar me.n na gulaab me.n mujhe dekhanaa
mere dard kii aab-o-tab me.n mujhe dekhanaa
Tum jo nahi kinaar mein, khaak nahi bahaar mein
**
Na aaya raas humein us se nafratein karna
Bichar ke phir us se milne ki khwahishein karna**