the much requested Bait Bazi - LXVI

na karataa zabt mai.n naalaa to phir aisaa dhuua.N uThataa
ki niiche aasmaa.N ke aur nayaa ik aasmaa.N hotaa

itna manoos hoon sanatay say
koi bolay to bura lagta ha

**
Aa ja ke abhi zabt ka mosam nahi guzra
aa ja ke pahaarroN pe abhi barf jami hey
khusbhu ke jazeeroN sey sitaaroN ki hadoN tak
is shehar meiN sab kuch hey bas teri kami hey

"ye"

yaad kyaa dast-e-hunar hai ki sa.Nvarataa gayaa mai.n
us ko sochaa to use yaad hii karataa gayaa mai.n

Na dawa milay na nawa milay
Teray DiL maiN dard utha karay
Tu Jo mauT kii Duaa karay
Terii Umr aur daraaz ho

wao*

**
wo terey naseeb ki baarisheiN kisi aur chatt par baras gaeiN
dil-e-bekhabar meri baat sun, usey bhool ja usey bhool ja

"alif"

aur sab bhuul gaye harf-e-sadaaqat likhanaa
rah gayaa kaam hamaaraa hii baGaavat likhanaa

ibtidaye ishq hai rota hai kia
agey aagey dekhiye hota hai kia

Un bad-nasiboN ko kya khabar ke wafa kay roz-e-jaza meiN kya hay
jo diloN say apnay bhulaa chukay hoN muhabbatoN kay nisaab saaray

Ye*

**
Ye log bohat hi shakki heiN na jaaney kya kya socheiN ge
hum tum sey chup kar miltey heiN ye baat kisi sey mat kehna

"alif"

Amjad wuh AankhaiN jheeL sii gehri tou haiN magar
Un meiN koi bhii aks meray Naam ka nahiN

Noon*

**
Naam be'naam bhi ho jaatey heiN
kaam na'kaam bhi ho jaatey heiN
apni aaNkhoN ko bachaey rakhna
khaab ilzaam bhi ho jaatey heiN

"noon"

nahiN jawaab ka taalib meraa junuuN tujh say
magar Aey kaash maiN ye Aansuu chuhpa sakuuN tujh say

Ye*

nazar milaa na sake us se us nigaah ke baad
vahii hai haal hamaaraa jo ho gunaah ke baad

**
ye haddeiN na torr dena, merey daery meIn rehna
mujhey apney dil mein rakhna, merey hafzey meiN rehna
mera bojh khud utthaana merey karb aap sehna
merey zakhm baant lena, merey rat'jagey meiN rehna

"alif"

Aaj Phir Dard-o-ghum Kay Dhaagay meiN
Hum piro kay teray Khayal Kay PhooL
Teri Dahleez Par Saja Aaey
Phir Teri Yaad Par Charha Aaey

Ye*

**
yehi bohat hey ke dil us ko dhoondh laaya hey
kisi ke saath sahi, wo nazar to aaya hey

"ye"

Ye Aaj Kon Say TufaaN meiN hay Safina-e-Dil
Kay Duur Duur tak kinaaray nazar nahiN Aatay
Hajum-e-Yaas hay Aur manziloN andhera hay
wuh Raat hay kay Sitaaray nazar nahiN Aatay

Ye*

**
Ye hasrateiN ye khaahisheiN ye aarzu ye justuju
yuN sochney ko beitthye to zindagi meiN kya nahi

"ye"

Ya dil ka roug ya chahat Khuda kisi ko na daay
Buri bala hai mohabat Khuda kisi ko na daay