the much requested Bait Bazi - LXVI

aa jaaye.n ham nazar jo koii dam bahut hai yaa.N
mohalat basaa.N-e-barq-o-sharaar kam bahut hai yaa.N

Na dosti se rahay aur na dushmani se rahay
Humein tamaam gillay apni aagahi se rahay
Woh paas aye tu mouzo-e-guftugo na milay
Woh laut jaaye tu tamaam guftugo ussi se rahay

yaad karanaa har gha.Dii us yaar kaa
hai vazifaa mujh dil-e-bimaar kaa

Aaya hi thaa khayal ke aankhain chalak pareen
Aansoo kisi ki yaad ke kitne qareeb thay

yahii haalaat ibtadaa se rahe
log hamase Khafaa Khafaa se rahe

**
Yeh nahee gham ke qasam apni bhulae tum ne
Gham tu hai ke raqeeboon se nibhae tum ne
Koi ranjish thee agar tum ko tu mujh se kehtay
Baat aapas ki thee, kyon sab ko bataee tum ne**

Yaad iski itni khoob nahi, "MEER" baaz aa
Nadaan phir woh jee sey bhulaya na jaye ga

Itna nadaan nahee ke samajh bhi na sakay
Ussi ka tazkirra meri har ghazal mein huwa hoga
Mein ne ussay chaaha tu chaahay hi gaya
Meri shiddatton se ghabra kar woh chal diya hoga

Aye shauq-e-nazara kia kahiyye, nazron mein koi soorat hi nahi
Aye zauq-e-tasawwar kia keejiye, hum soorat-e-jana bhool gaye

**
Yeh raz-e-bahar-e-gulshan hay iss raz ko samjhay kiya koi
Shabnam ko rulaya phoolon nay ya raat ko shabnam khud roi
**

ye aarazuu hii rahii ko_ii aarazuu karate
Khud apanii aag me.n jalate jigar lahuu karate

**
Yeh keh kar dil ne mere hauslay barhaye hain
Ghamon ki dhoop ke agay khushi ke saye hain**

naamaa gayaa ko_ii na ko_ii naamaabar gayaa
terii Khabar na aa_ii zamaanaa guzar gayaa

**
Agar Talaash karo koi mil hi jaayega
Magar Hamaari tarah kaun tumhein chahega
Tumhein zaroor koi Chahatoon se dekhega
Magar woh aankhein hamari kahan se layega**

aa chaa.Ndanii bhii merii tarah jaag rahii hai
palako.n pe sitaaro.n ko liye raat kha.Dii hai

ye mere khwabou'n ki dunya nahin sahi lekin
ab aa gaya hoon to do din qayaam karta chaloon
unhein ye zid ke mujhe dekh kar kisi ko na dekh
mera ye shauq ke sab se salam karta chaloon

na jaane ashk se aa.Nkho.n me.n kyo.n hai aaye hue
guzar gayaa zamaanaa tujhe bhulaaye hue

No one replied

you know why

Because Arif has decided to leave the GS.... please any one try to stop him.....

yoonhi besabab na phira karo, koi shaam ghar bhi raha karoo
yeh ghazal ki sachi kitaab ha, isay chupkay chupkay perha karo

woh shakel peghalee to her sheh mein dahl gaye jese
ajeeb baat hoee hai use bohlane mein
jo muntazer na mila woh to hum hain sharmenda
ke hum ne deer laga dee palt ke aane mein