the much requested Bait Bazi - LXVI

Na tha wasta koi sher sey na tha shairi sey ashna
Teray dard ney teri yaad nay mujhay shair kehna sikha diya!

*Ab khushi hai na koi gham rulaane wala
Humne apna liya har rang zamane wala
Us ko rukhsat tu kiya thaa mujhe maloom na tha
Sara ghar legaya ghar chor ke jaane wala
*

Aansoo diyay kisi nay, kisi say milay faraib
Hum dastras mein wasl kay mausam na kar sakay!

ye sheeshay ye sapanay ye rishtay ye dhaagey
kissay kyaa Khabar hai kahaan Tooth jaien
mohabbat key dariyaa mein tinkey wafaa key
Na jaane ye kis morh per Doobh jaayien!

nahiN hay taaqat-e-guftaar aur agar ho bhii
tou kis umiid pe kahiye ke Aarzu kyaa hay

Ye*

**
Yeh khoob hai muhabbat ke zamaana jaanta hai
Na mein us ki maanti hoon, na woh meri maanta hai
Koi ja ke us se poochay ussay kya mila bichar ke
Mein bhi khaak chaanti hoon woh bhi khaak chaanta hai**

yeh na aabad waqtoon main dil-e-nashad main hogi
mohabbat ab nahi hogi yeh kuch din baad main hogi !

**
Yaad hai ab tak tujh se bicharne ki woh andheri shaam mujhe
Tu khamosh khara tha lekin batain karta thaa kaajal
Mein tu ek nae duniya ke dhun mein bhatakta phirta hoon
Meri tujh se kaise nibhegi aik hain tere fikr-o-ammal**

Laazim hey key saji rahey yaadon ki anjuman
laazim hey key mehaktey rahien justooju key phool!

**
Log pyasay maray jatay hain magar hakim-e-shehar
Paani mehnga tu lahoo sasta kiye jata hai
Koi taabeer nahee wakt ke daman mein Saahil
Aur naye khwaab se wabasta kiye jata hai**

yeh ajeeb merhalay hain,yeh ajeeb silselay hain
kay jehan say hum chelay thay,us morh pay kherhay hain!

**
Nahin shikwah mujhay kuch bay-wafaee ka teri hargiz
Gila to tab ho agar tu nay kisi say bhi nibaahi ho**

Vidah-e-saal ka manzar faraz yaad nahi
bas aik doobata sooraj meri nigaah main hai!

Yeh kis khalish nay phir iss dil main aash'yana kiya
Phir aaj kis nay su'khan hum se ghay'bana kiya

Ana parast hay yeh baat woh kahay ga nahi
woh milnay aaye ga mujh say magar kahay ga nahi
woh mera dost bhi aisa tha,jaisey dushman tha
meri tabahi pay royee bina rehay ga nahi !

**
Yeh eik kheel he hum khush aaqidah logoon ka
Diye jala kar hawa ki aamaan mein rakhna**

Asaan nahi hai kashmakash-e- zaat ka safar
hai agaahae kay baad ghum -e- agaahae bahut!

**
Tu suraj hai tujhe maloom kahaan raat ka dukh
Tu kisi roz uter mere ghar mein shaam ke baad**

daaG duniyaa ne diye zaKhm zamaane se mile
ham ko ye tohafe tumhe.n dost banaane se mile

Yeh shabe firaq ye bebasi, hain qadm qadm pe udaseyan
Mera sath koi na desaka, meri hasratain hain dhuwan dhuwan
Main tarap tarap k jiya tu kya, mere khwab mujh se bichar gae
Main udaas ghar ki sada sahi, mujhe de na koi tasalleyyan