the much requested Bait Bazi - LXVI

Aab dilsay apnay koyee talaq nahi raha
Kabza karliya hai kisi nay khali makan par

**
Rukhsat huwe tu jaana sab kaam thay adhoray
Kya kya karain jahaan mein do haath aadmi kay**

Ya aur baat hai ka insan ban kar aya hai
Magar wo shakhsh zameen par khuda ka siya hai

**
Yeh zaroori tu nahee taazi hawaayein aayein
Be-sabab bhi tu samar toot kar gir jaatay hain
**

**
naam aatey hi tera hoNtoN par
lafz khiltey heiN phool ban ban kar

"rey"

Raat baaqi thi abhi sar-e-baaleeN Aa kar
chaand nay mujh say kaha jaag Sehar Aai hay
jaag is shab jo mey-khaab tera hissa thii
jaam ke Lab say tah-e-jaam utar Aai hay

Ye*

**
Yaad ke gum-naam jazeeroN sey
teri aawaaz aa rahi hey abhi

"ye"

Yeh koon loog aandherooN ki baat kartey haiN
abhi to chand teri yaad key dhaley bhi naheeN!

*Naam wafaa ka lekar jo deta rahaa dagaa
Kyon uske intezaar mein tamanna thehar gayee *

Yeh muhabbat ke hadsay aksar shesha-e-dil ko tor detay hain
Tum tu manzil ki baat kartay ho, Log tu raahon mein chor detay hain

Na tawan hoon kafan bhi ho halka
daal do saya apnay anchaal ka!

[QUOTE]
*Originally posted by Galaxy: *
Yeh muhabbat ke hadsay aksar shesha-e-dil ko tor detay hain
Tum tu manzil ki baat kartay ho, Log tu raahon mein chor detay hain
[/QUOTE]

Bahut khoob ;)

**
Aur kya maangon ab tera gham paane ke baad
Dard ki daulat milli hai tum se dil lagane ke baad
**

dhoond ujray hovay logoon mein wafa ke mooti
yeh khazanay tujhe mumkin ha kharaboon mein mileen

Nukhta cheen hai ghum -e-dil usko sunaye na banay
kiya banay baat jehan baat banaye na banaye!

**
Yeh wehshattain, yeh udaasi, yeh ratjagon ke azaab
Ussi ki hai yeh inaayat, us se keh dena**

Abhi is taraf na nigaah kar main Ghazal ke palkein sanvaar loon
mera lafz lafz ho aainaa tujhe aainey mein utaar loon!

*Nazar karta raha mein phool se jazbaat ussay
Jis nay pathar kay khilaunon say mujhay behlaaya *

Apni barbaadi pey kitnay khush theey hum lekin faraz
dost dushman ka nikal aya hai apna ashna!

**
Aaj aaye ho tum kal chale jaaoge
Yeh muhabbat ko apni gavaaraa nahee
Umer bhar ka sahaara bano to bano
Do ghadi ka sahaara sahaara nahee**