the much requested Bait Bazi - LXVI

Noon

Napaak hawaon ney sher angezi ki
Sir sabz zaminon pey jo khun reyzi ki.

Is arz baharaan ko banaya banjr
Duniya mein thi dhoom jis ki zar khezi ki.

yeh kiya majaal ke hum tark-e-iltijaa kartey
dhun ko see bhi jo letey, nazar ko kiya kartey

Yaa rab! Gam-e-hijraaN maiN itanaa to kiyaa hotaa
Jo haath jigar pe hai vo dast-e-duaa hotaa.

**
Ajjab hajoom thaa becheneyoo ka seenay mein
Hum apni bheer mein tera khayal kho bethay
**

Ye khazaaN ki zard se shaam mein jo uddas pairh ke paas hai
Ye tumhare ghar ki bahaar hai, issay aansoo'on se harra karo.

**
Waqt ne dhaya hai sitam kuch is tarah se mujhpar
Ke dokhay bhi milay to milay humsafar bankar**

Rahay wafa jaab koyee na mil saka shareek
Hum sath sath apnay he siya ka chal daya..

**
Abb To Aa Jaa Kay Mein Tasdeeq Kar Sakoo'n..
Kuch Loog Kehtay Hain Kay Fasl-E-Bahaar Hay..!!
**

Ya ak chap jo mudat say soon raha hoon main
Koyee tu hai jo yahan aa kar loog jata hai

**
Yeh kaun chupke se tanhaeyoon mein kehta hai
Mere baghair sukoon umer bhar nahee milna
**

Aab kisi aur ghawahi ke zaroorat he nahi
Juram khud bool raha hai tari tahreer kay sath

**
Halaankay jal rahay thay qadam dar qadam chiraag
Lekin tere baghair raasta benoor sa laga**

Andaaz_e_Janoo'n humko bhi maaloom hai lekin
Hum teri tarah ishq ko ruswaa nahi kartay...

**
Yeh udaas udaas phirna, yeh kisi sey bhi na milna
Yunhi be-sabab to nahin sab, koi saane-haa to ho ga **

**
Us sey miley to zom-e-takallum ke ba'wajood
jo soch kar gaey they wohi aksar nahi kahaa

"alif"

**
Aisi tareekeyaan aankhoon mein basi hain ke "Faraz"
Raat tu raat hai hum din ko jalaatay hain chiraag
**

go mein raha raheen i sitam haye roozghaar
lekin tere khayal se ghafil nahin raha

aag ho to jalane me.n der kitanii lagatii hai
barf ke pighalane me.n der kitanii lagatii hai

chaahe ko_ii ruk jaaye chaahe ko_ii rah jaaye
qaafilo.n ko chalane me.n der kitanii lagatii hai

(Farhat Abbas Shah)

Yeh ranjish mein hum ko hai be-ikhtiyaari
Tujhe teri kha kar qasam dekhtey hain

Noon

Na rangat na teri zulf na teri aankh ka kajal
Ajab si saadagi thi ik jo hum ko bha gayi teri.