Yeh deen-o-dunia tou cheez kya haiN, jo donoN Alam bhi moL Lay laiN
Na-jaanay aaj kyuN chasm-e-tar say kuch Aesay Aansu baha raha huuN
Noon*
Yeh deen-o-dunia tou cheez kya haiN, jo donoN Alam bhi moL Lay laiN
Na-jaanay aaj kyuN chasm-e-tar say kuch Aesay Aansu baha raha huuN
Noon*
Na tera khuda koi aur hai na mera khuda koi aur hai
Yeh jo kismatain hain juda juda yeh muaamla koi aur hai
yuuN kis tarah kaTega karri dhoop ka safar
sar par Khayaal-e-yaar kii chaadar hii le chalaiN
Noon*
Nashaib-e-halkae shab mein uttar gaya mera din
Jhappak gayeen meri palkain guzar gaya mera din
nii.nd se aa.Nkh khulii hai abhii dekhaa kyaa hai
dekh lenaa abhii kuchh der me.n duniyaa kyaa hai
Yeh hamaari badnaseebi jo nahee tu aur kya hai
Ke ussi ke hogaye hum jo na hosaka hamaara
apni takmeel ker raha hoon main
werna tujh se to mujh ko pyar nahin
Na sawaal ban ke mila karo, na jawaab ban ke mila karo
Meri zindagi mere khwaab hain, mujhe khwaab ban ke mila karo
Wo jisnay chand khala main uchal rakha hai
Usi Khuda nay mujahay behi sanbhal rakha hai
**
Yeh kaun chupke se tanhaeyoon mein kehta hai
Mere baghair sukoon umer bhar nahee milna**
Nahee pasand mujahay shair au shahari karna
Kabhi kabhar bass uthtee hain ak hoo mujah main
**
Na jaanay kab maseehai karay woh
Abhi us chashm ko katil na likhna
Bahut mumkin hai kuch de kar chala jaye
Jo dastak day ussay 'Saail' na likhna **
uski ankhen keh rahi thin wo pesheman hei boht
jab wo rishta hi nehi kis bat pe rutha hun mein
na huii gar mere marane se tasallii na sahii
imtihaa.N aur bhii baaqii ho to ye bhii na sahii
*Yahaa ehl-e-muhabbat umer bhar barbaad rehtay hain
Yeh dareya hai issay kacha ghara acha nahee lagta
*
Usay ya dar ka sitaray na guftagoo soon lain
Mujahay ya fikar ka sooraj nikalnay wala hai
Ishq waalon say na poocho kay un ki raat ka aalam
Tanha kaisay guzarta hai juda ho jis ka humsafar
Woh us ko yaad karta hai na ho jis ka koi
Woh milnay ki fariyaad karta hai
yaad nahii.n kyaa kyaa dekhaa thaa saare manzar bhuul gaye
us kii galiyo.n se jab lauTe apanaa bhii ghar bhuul gaye
**
Yeh kaun log hain jo andheroo ki baat kartay hain
Abhi tu chaand tere yaad ka dhala bhi nahee
**
Na kisi haraf main mahroomaina jaan ka qasa
Na kisi lafz main bholay howaya iqrar kee baat...