Aks-e-janaaN ko widaa kar kay utthi meri nazar
shab kay theray huwey paani ki siyah chaadar par
ja-baja Raqs meiN Aanay Lagay chaandi kay bhanwar
chaand kay haath say taaron kay kanwal gir gir kar
Re*
Aks-e-janaaN ko widaa kar kay utthi meri nazar
shab kay theray huwey paani ki siyah chaadar par
ja-baja Raqs meiN Aanay Lagay chaandi kay bhanwar
chaand kay haath say taaron kay kanwal gir gir kar
Re*
roz aata ha mere dil ko tasali deene
tujh se ay dushman i jaan tera khayal acha ha
ye jannaT mubaarak rahay zaahidoN ko
ke maiN aap ka saamanaa chahtaa huuN
koi dam ka mehmaaN huuN aey ahaL-e-mahfiL
chiraaG-e-sehaR huuN, bujha chahtaa huuN
Noon*
"alif"
Ab iss terha bhi na yaadoun ki kirchiyaan chunyey
Na tha firaaq sey behtar wisaal kia uss kaa
aah ko chahiye ikk umr asar honae tak
kaun jeeta hai teri zulf kai sarr honae tak
daam har mauj main hai halka'e mehed kaam nahang
dekhain kya guzray hai katrae pae geher honae tak
kab se hoon kia bataaon jahaan i kharab mein
shab haye hijer ko bi rakhoon ger hisab mein
Nigah parti hai jis wakt dil ke daaghoon per
Tu ek dost ke ehsaan yaad aajatay hain
na yeh ghum naya na sitam naya ke teri jifa ka gila kareen
yeh nazar thi pehle bi muztarib yeh kasak to dil mein kabhoo ki ha
yeh judaioon kae rastae baree door tek gaeae hain
jo giya woh phir na aya maeree baat man jaoo !!!
"alif"
aik purani rasm ha baqi aaj talak darbaroon mein
chand se chehre chun deete hain pather ki dewaroon mein
NeendaiN bhii muhayya hotii haiN
sapanay bhii duur nahiN hotay
kyuN phir bhii jaagatay rahtay haiN
kyuN saarii Raat nahiN sotay
Ye*
Yehi bohat hia k dil is ko dhoond laya hia
Kisi k sath he sahi woh nazer to aya hia
main kya karoonga Amjad ager woh mil na saka
abhi abhi merey dil main khayal aya hai
"yeh"
**
"alif"
Isi se hota hai zahir jo haal dard ka hai
Sabhi ko koi na koi wabaal dard ka hai
dilooN pey zinda the, dil he nahin rahey hian yahaan
ab aisey shehar main jeena muhaal dard ka hai
"yeh"
Ye zara zara sii baat par tarhaN tarhaN kay azaab kyuN
jo kisi say bhi khafa na ho mujhay us Khuda ki talaash hay
mujhay dekh kar jo ik nazar meray saray dard samajh sakay
jo is qadar ho chaara-gar mujhay us nigaah ki talaash hay
Ye*
Yeh jalti aag hai, is dil ko jalta dekhtay jao
Mitti jaati hai armaanoo ki duniya, dekhtay jao
Lagti hai aag dil mein, aankh se aansoo barastay hain
Bhari barsaat mein is ghar ko jalta dekhtay jao
"wao"
Wafaoon ki umeed un se na thee 'Saahil'
Bas hum dil ko apne tasalleyaan detay rahay