the much requested Bait Bazi - LXVI

hehe..sorry....ab mein koshish keroon gi na aae!

Allah re saadgi inhein itni nahi khabar
mayyet pe aa keh poochte hein in ko kya hoa

"alif"

i was just joking thanks anyway...

** Us nay wafa nebhanay ka waada to kiya tha
Phir yoon howa ka us ka arada badal giya.. **

aaj bhi shayad koee phoolon ka tohfa bhej de
titliyaan mundla rahi hein kaanch ke guldaan per

"re"

Roya hai is kadar ka aab ankhain gulab hain
Wo shaksh rooth kar behi nashila dekhai day

yeh kon phir se inhein raaston mein chhor gaya
abhi abhi to azaab-e-safar se nikla tha

"alif"

Is teer main khushboo hai maray apnay badan ke
Kis shaksh nay phenka hai maloom kiya jaya...

yeh aik shakhs ke perde mein doosra kyuon hai
woh saamne hai to dil us ko dhoondta kyuon hai
--parveen shakir

"ye"

Ya tari judai hai ka takseem hamari
Mahsoos ya hoota hai ka hum toot rahay hain

nadeem jo bhi mulaaqaat thi adhoori thi
keh aik chehre ke peeche hazaar chehre the

"ye"

Ye kis mukaam pay tanhae sonptay ho mujhay
kay ab tu tark e tammana ka hosala bhi nahin!

Nadeem jo behi mulkat thee adhoori thee
Ka ak chahray kay pechay hazar chahray thay

Yeh kya ke wohi hum ko mittanay pe tullay hain
Hum jinki muhabbat mein giraftaar rahay hain

najanay kon duaoon mein yaad rakhta ha
mein doobta hoon samunder uchaal deeta ha

yaa rab! Gam-e-hijraa.N me.n itanaa to kiyaa hotaa
jo haath jigar pe hai vo dast-e-duaa hotaa

Aaina wohi rehta hai chahray badal jaatay hain…
Aankhon mein ruktay nahi jo anso nikal jatay hain

neend bhi tere bina ab to saza lagti hai
chonk parta hoon agar aankh zara lagti hai

"ye"

Yeh kuch besabar boondain theen challak aaeen jo palkon per
Wagarna kitnay darya saahilon ko nam nahin kertay

yaad aata ha roz o shab koi
hum se rotha ha be-sabab koi

**


yuN bhi ik bazm-e-sadaa hum ney sajaai pehroN
kaan bajtey rahey aawaaz na aai pehroN

"noon"

Nigah-o-dil ko qarar kaesaa nishaat-o-Ghum mein kamii kahan kii
wuh jab milay haiN tou un say har baar kii hai ulfat naye siray say

ye*