the much requested Bait Bazi - LXVI

ae tayar-e-lahooti, us risq se mot achi
jis risq se aati ho parwaaz mein kotaahi

"ye"

Ye kin nazron se tumne aaj dekha
Ke tera dekhna, dekha na jaaye

ye kesa nasha hai, mein kis ajab khumaar mein hoon
tu aa keh ja bhi chuka hai, mein intezaar mein hoon

"noon"

My luck

My luck again "Noon"

Nikhar saka na badan chandani main soonay say
Sahair howee to kharashain chooni bechonay say

Yeh sach hai ke kuch kashteyaan doob bhi jaya karti hain
Per Saahil tu waheen rehta hai kinara ho ya na ho

Wo

Wo aa tu jaya magar intazar he kum hai
Wo bewafa to nahi mara piyar he kum hai

Yeh ek shab ki mulakaat bhi ganemat hai
Kissay hai kal ki khabar, thori door saath chalo

;)

Wo

Who behi kiya din thay ka dewana banay phirtay thay
Sun liya tha taray baray main kaheen say hum nay...

Ya tujhe dekh ke bhar aaye khushi se aansoo
Ya meri aankhoon mein guzri huwe shab hai koi

Ya

Ya he hai na tumahain hum say bichar janay ke jaldi hai
Kabhi milna tumaharay masalay ka hall nikalain gay...

Yun dil mein hai teri yaad jaisay
Weeraanay mein aag jal rahi hai hai

Ab Ya ke bari hai

Arif Sab...

App kiya chahtay hain ab "Ya"

Ya aur baat hai ka insan ban kar aya hai
Magar wo shaksh zameen par Khuda ka siya hai

yeh kya keh sub se bayaa'n dil ki haalatein kerni
'Faraz' tujh ko na aaen mohabbatein kerni

"ye"

Ya tu such hai ka ahaday rafta lot kar aata nahi
Asa lagta hai taray israr par aa jaya ga

us ka izhaar-e-mohabbat bhi tha kitna dil nasheen
rakh gaya sote mein aik din mere hoonton per gulaab

"be"

Basar jo hona thee uzer ghunah karnay main
Kati wo umer behi kagaz sihiyah karnay main

na too zameen keh liye hai na aasmaa'n keh liye
jaha'n tere liye, too nahi jaha'n keh liye
---Illama Iqbal

"ye"

Ya mahara taban say ja ka kah doo ka apni kirnoon ko choon kar rakhay
Main apnay sahra kay zaray zaray ko khud chamakna sikha raha hoon

nahi tera nasheman qasr-e-sultaani keh gunmbad per
too shahein hai basera ker pahaaro'n ki chatanoon mein

"noon"

Na koyee waada na koyee yaqeen na koyee umeed
Magar hamain to tara intazar karna tha

** Ab agar Noon say aya na tu phir... ! **