app tanz kernay kay bajaye jawab per damagh lagaain
are nahiiN baba, tanz nahiiN kiyaa...achaanak aapko is forum meN josh o Kharosh ke saath dekh kar lagaa shaayad aapkaa rujHaan ab Urdu adab kii taraf baRhaa hai is liye postings kii haiN...yeh to ek Khush aayind baat hai! :)
muzmaHil ho gaye qawaa, "Ghalib!"
wo 'anaasir meN ai'tadaal kahaaN!
are nahiiN baba, tanz nahiiN kiyaa...achaanak aapko is forum meN josh o Kharosh ke saath dekh kar lagaa shaayad **aapkaa rujHaan ab Urdu adab kii taraf baRhaa hai **is liye postings kii haiN...yeh to ek Khush aayind baat hai! :)
muzmaHil ho gaye qawaa, "Ghalib!"
wo 'anaasir meN ai'tadaal kahaaN!
Aa gaya ain laRaa'i main jab waqt-e-namaz
na koi banda raha, na koi banda nawaaz
pahla misr'a kuchh yuN hai:
**
aa gayaa ai'n laRaaii meN AGAR waqt-e-namaaz**
aur pooraa band kuchh yuN hai:
aa gayaa ai'n laRaaii meN agar waqt-e-namaaz
**qibla-roo ho ke zamiiN_bos huii qaum-e-Hijaaz
ek hii saf meN khaRe ho gaye MeHmood o 'Ayaaz
na koii banda rahaa, na koii banda_navaaz
banda_o_saaHib O moHtaaj_o_Ghanii ek huye
terii sarkaar meN pahoNche to sabhii ek huye!**
not sure, lekin shaid shair ka ishara is taraf ho sakta hay
RASOOLALLAH ki hadees-e-mubarika hay, k namaz esay parho jesay tum ALLAH ko dekh rahay ho, agar tum usay nahi dekh rahay, to wo to dekh hee raha hay.
namaz main khushu’ ka hukum hay, khushu’ esa k jesay hum ALLAH SWT ko dekh rahay hoon, dekhnay k liye nigah chahye, wo nigah na ho to khushu’ nahi, aur uski phir koi qaza nahi.
lekin namaz namaz ki khud ibadat k dor par to qaza hay