taaweel-e-ba'eed

Re: taaweel-e-ba'eed

taaweel-e-baa'eed ki aik aur example allama iqbal ka wo shair hay jo aapnay kinzz walay thread main post kiya tha

aye taayer-e-laahoti us rizq say maot achi
jis rizq say aati ho parwaaz main ko-taahi

Re: taaweel-e-ba'eed

'door kee koRee lanaa'?

wo kya shair hai

oos zulf pe bhapti shab-e-dejoor ki soojhi
andhay ko andheray main bari door ki soojhi

waisy what is shab-e-dejoor?

Re: taaweel-e-ba'eed


shab-e-daijoor means dark nights...andherii raat...

also means siyaah chehraa which is an implied meaning.

Re: taaweel-e-ba'eed

ilmi or FILMI : P

haan lakin is ka jawab to bata diya tha na..yahan new one lana hay

woh rat jis main chand na niklay ..kaale siyaah ... i think..jissay amawas ki raat bhi kehtay hain

taaweel e baeed ka mutlub

mushab'bh or mushab'bah bihi main jo wajah-e-tashbeeh paye gayee us main bohat sare taweelat aate hoon

asan lafzoon main

Re: taaweel-e-ba'eed

mashallah, yeah asaan lafzon main samjhaya hai?

agar mushkil main samjhati tou allah hee malik thaa hamatra phir

Re: taaweel-e-ba'eed

app ko kia samjh nahi aya ?

Re: taaweel-e-ba’eed

great thread…mazaa agaya parhke…:k:

TLK bhai,P_G,Aceones! aur kkf bhai aap logo ki discussion :lajawab:

Re: taaweel-e-ba'eed

Ab KHali Takhalus kartay hay, bhai shairi karay ga tau karachi walo ki jan azab main a jai ge.

Bhai ye Taer e lahori hay-Ye shair nawaz shareef per hay

Zara is shair ka pass e manzar (background) bhi baqi logo ko bata dain, mazaidar waqiyah hay :)

Re: taaweel-e-ba'eed

aap bata den :)

Re: taaweel-e-ba’eed

^mujhay sharam aa rahi hay :blush:

waisay it is about some blind poet who was given a *tarah(theme) *and he started off with uss zuulf ko andhiray main… another shair quickly completed the next shair with this, andhay ko andhairay main

Itni si baat thee :slight_smile:

Re: taaweel-e-ba’eed

ye konsi zulf hai, jis pe aap sharma rahe hain :slight_smile: Khul ke bolen

Re: taaweel-e-ba'eed

^ bata tau diya, sharam tay tajasus paida kernay kay liye thee. :)

Re: taaweel-e-ba'eed


lol...yeh zulf-e-naa-rasaa kii baat hai...rasaaii ke liye naabeenaa saaHab ko baRii door kii soojhii!

vaise, ek kahaavat aisii Hindi men bhii hai:
**
saawan ke andhe ko haraa hii haraa soojhe! **:D

Re: taaweel-e-ba’eed

Aray, aap ne bhai kee shairi nahi suni? CHalain aap kiya yaad karain ge, for your reading pleasure, here it is.

Poetry

Re: taaweel-e-ba’eed

Saday naal ra’o ge tou aish karo ge
zindagi ke saaray mazay cash karo ge

Re: taaweel-e-ba’eed

parsoN Bhai ne interview diyaa Jasmin Manzoor saaHiba ko jis men unhoN ne Qur’aan e Paak kii tilaavat aise kii jaise vo English kii taqreer karte haiN [typical Bhai kaa andaaz] aur sone pe sohaaga yeh k uskii tafseer bhii farmaayiui…Allah raHm kare saame’een aur muqallideen par…aameen

Re: taaweel-e-ba'eed

here is another one .

**namazain jub qaza hoon tub ada hoon

nigahain jub qaza hoon kub ada hoon

**not exaclty in taweel e baeed context .lakin nigahoon or namazoon main kia munasbat hay ..is ko hal kerain

Re: taaweel-e-ba’eed

jo ankha ka dekha to qayamat main hi pata chalay ga. ya to aik bohat achi bachi mil jaye gi, ya phir dozakh kay guest banana paray ga. :sweetif:

Re: taaweel-e-ba'eed


urdu kii koii kitaab hatthe chaRh gaii hai kia? ;)

Re: taaweel-e-ba’eed

STA … kia likha hay .?

app tanz kernay kay bajaye jawab per damagh lagaain