taaweel-e-ba'eed

Re: taaweel-e-ba'eed

jiski umeed thi uski tashreeh kardi ooper

itna to samajh aata hay k nigahoon ki qaza nahi hay, lekin kya miss honay ki qaza hay ye nahi samajh aya

huqooq-ul-ibad ki bat hay? ishq-e-majazi hay? aur kya?

Re: taaweel-e-ba'eed

nahi bhyee ..thora say namaz or nigaah k concept per ghor kerain .bohat he asaan hay

Re: taaweel-e-ba’eed

jab aik na mehram bachi par nazar par jaye to 70 maqbool namazian zaya ho jati hian. :faizy:

Re: taaweel-e-ba'eed

yeah now u got it

namaz huqooq ul Allah hay ..is ki qaza ho sakte hay

or nigaah ishara hay huqooq ul ibaad ki teraf .

*Allah huqooq ul Allah muaf ferma dain gay lakin huqooq ul ibaad nahi muaaf fermaain gay
*

Re: taaweel-e-ba'eed

Are you sure PG? Nigah aur Huqooqul Ibad main mujhe tou koi link nahi dikhtaa door door tak.

Re: taaweel-e-ba'eed

app shair ka context samjho na qaza or ada kay sath woh laye hain ...

Re: taaweel-e-ba'eed

taa'weel ka masla to hal hogya, lekin ab bhee meray khyal main first wali tashreeh is say zyada behtar hay

Re: taaweel-e-ba'eed

^ may be mere bat ghalat ho ..hamaray teacher nay hamain aysa he samjhaya tha ..is ley mera yehe khiyal tha..khair

yeh shair kis ka hay waysay ?

Re: taaweel-e-ba'eed

aapkay teacher nay agar ye btaya hay to thik hee btaya hoga, main to yunhi tukka mar rha tha

sher to pta nahi kiska hay, molana google bhi kuch madad karnay par tyar nahi hain.

wesay shaer jo bhee hay, most likely usnay ye us hi context main likha hay jismain TLK nay answer diya tha, an tashrih karnay wala iski achi tashrih bhee kar sakta hay, apny zoq kay mutabiq : p

Re: taaweel-e-ba'eed

dats y i asked yeh shair kis ka hay usee say pata chal jaye ga ..k shaair ka ZOq kaisa tha : P

Re: taaweel-e-ba'eed

is zulf per phabti shab e dejoor ki sojhi
andhey ko andherey meiN buhut door ki soojhi

Re: taaweel-e-ba’eed

^ bohat dair ker post kertay kertay