taaweel-e-ba'eed

**magas ko baagh main jaanay na daina

nahaq khoon ho ga perwanay ka
**

is main taaweel-e-ba’eed ko istimal kia gaya hay … kia app pehchan saktay hain k..magas(shehad ki makhi) kay baagh main jaanay say perwanay ka qatal kaysay ho ga?

akhair shaair nay yeh tashbeeh kion dee?

Re: taaweel-e-ba’eed

:hmmm: I know it… Lets see what others say?

Re: taaweel-e-ba'eed

Halanke maqas ke jaanay se perwana bach jaa'e gaa.

Na ho gi shehed ke makhkhi, na ho gee mom batti, na jalay gee shama, na maray ga perwana.

Re: taaweel-e-ba'eed

BTW, taweel-e-baeed ka lafzi tarjuma hai, lambi lambi chornaa

Re: taaweel-e-ba’eed

app ko first anay ka shoq nahi

lolzzzzz … bohat khoob

Re: taaweel-e-ba'eed

urdu adab ka qatal ker k app kay dil ko koi thias nahi pohanchtee ...angraizee uncle

Re: taaweel-e-ba'eed

chalen issi tarah ka kuch aur pooche.. ye taqreeban sab ne suna huwa tha

Re: taaweel-e-ba'eed

**yoon bachoon kay qatal say na hota badnam

afsos k firoon ko college ki na soojhee
**

Re: taaweel-e-ba'eed

aap ko ek shareef aadmi ka dil dukha ke thais nahi pohancthee, humain urdu adab ko qatal kar ke nahi pohnacthee

Lol, PG ko phansaa diya yeah sawaal pooch ke. In ke paas Taweel-e-baeed kee koi aur misaal nahi hai iss shair ke ilaawa.

Re: taaweel-e-ba'eed

college main aisa kia hota hai?

family planing ka sawal to nahin?

Re: taaweel-e-ba'eed

PG app ki terah mote nahi jo phans jayee..hum to patle gale say nikal jatay hain snooty

Re: taaweel-e-ba'eed

acha je sub mujhay he batana hay to mainy yeh thred kion kholna tha phir ..had ho gayee..

Re: taaweel-e-ba'eed

Lets see baqi log kia samjhe?

Re: taaweel-e-ba’eed

Iss shair main shaa’ir kehta hai ke agar Firaun bachchon ko college bhaij deta tou APMSO ke ghunday aur Karachi Rangers oon ko khud hee khatam kar deti aur Firaoun badnaam naa hotaa.

Akbar Ilah Badi Ilm-e-Najoom ke bhi mahir thay? :hmmm:

Re: taaweel-e-ba’eed

:rotfl:

Re: taaweel-e-ba'eed

pehla misra seedha karlain : p

yun qatl main bachoon kay badnaam na hota

Re: taaweel-e-ba'eed

Hum ultay, baat ulti, yaar ultaa :D

Re: taaweel-e-ba’eed

I know, honey bee will use her wax home to store honey. and that wax could use for candle lights. and that may kill parwan too when glowing in dark. :hehe:

Re: taaweel-e-ba’eed

ab iska doosra misra bhi suna dain

STA hamesha der kardeta hay

Re: taaweel-e-ba’eed

un kay zamanay bhi MQM thee

cheating ker k kitna khush hain..tobah

sub kaam main keroon to yeh thread mainy goal guppay khanay k ley khola hay smack

TLK ka her jawab ULTA