paagal ankhon waalee larkee
itnay mahngay khwaab nah daikho
kaanch say naazuk khwaab tumhaaray
toot gayay to pacchtao gee
saucch ka saara ujla kundan
zabt kee rah main ghul jaayay ga
kucchay pakkay rishton kee khusboo ka resham
khul jaayay ga
tum kiya jaano!!
khwaab safar kee dhoop kai taishay
khwaab adhooree raat ka dauzakh
kwaab khayaalon ka pachhtawa
khwaabon ke manzil ruswaee
khwaabon ka hasil tanhaee
tum kiya jaano!!
mehngay khwaab khareedna hon to
aankhain baichnee partee hain
ya rishtay bhoolnay parrtay hain
andaishon kee rait nah phaanko
piyaas kee autt saraab nah daikho
itnay mehngay khwaab nah daikho
thak jaao gee!!!!!
tere baGair ye ab zindagi kahaaN guzreY
qadam qadam pe tere saath ka gumaaN guzreY
ye din jo dheereY se phisalaa to shaam k manzaR
tere baGair udaasi ke daramiyaaN guzreY
vo ashk huuN ki sar-e-raah giR gayaa thaa kabhi
uThaa sakaa na ko_ii kitane kaaravaaN guzreY
maiN Khushk hoke bikharta raha huuN pairoN meiN
bahut zamaanaa huaa mujh pe kashtiyaaN guzreY
ye baat ab bhi nahiN hai kisii se kahneY kii
tamaam sajdeY tere dar se raayagaaN guzreY
Kitni asaani se log chor detay hain
Raahain rasm nibha kar dil tor detay hain
Woh log jin pe hota hai bharosa bahut
Wohi raah-e-safar mein tanha chor detay hain
Zindagi mein jinhoo ne hausla barhaaya bahut
Kaise asaani se mushkil mein tanha chor detay hain
Hum ne soch rakha hai kabhi us ko na dekhenge
Lekin hum apne hi iraaday ko aksar tor detay hain
sheesh mahal ki deewaroN meiN
tanha yaad karoge tum
bhooli bisri baatoN ko
phir se yaad karoge tum
chaand bhi shola ban dahkega
chaaNdni aag lagaayegi
garmi ke aise aalam meiN
ThaNDi saaNs bharoge tum
tere mahal ka har ik sheesha
mera pataa jab puchhega
dil ke aayiine pe jhuk-ke
mujhse baat karoge tum
raat ka maila aanchal jab jab
kohre ki gard uRaayega
mera naam miTaake har baar
baaraNmbaar likhoge tum
Ashk dhueiN ka baadal banke
ik din jab uR jaaega
dono haaTh uThake rab se
phir faryaad karoge tum..?
sheb-e-tenhyaie main sitaron ka labadah oarhay
teri yadon k jugnou say chameknay lagtay hain
aur dil pay chaa jata hay khoud feraibi ka aisa alem
k her teref teri aamed ka samaan hota hay
jaisay kisi awaaz k dhokay main koie murh k daikhay
jaisay sehra main serabon ka gumaan hota hay
sheb-e-tenhaie main dil k naihaan khanon per
guzeray lamhon ki shabnam si perhenay lagti hay
aur meray hawaas pay tu ho jati hay qabiz aisay
k nazer baisakheta nikeleti hay justejou main teri
jaisay chaand kisi ko dhoundenay k liyai nikelta hay
jaisay koie becha kisi khilonay k liyai mechelta hay
sheb-e-tenhaie main baichainion k alem main
dil apnay aap say hi bar bar ulejheta hya
aur azietain is terah ho jatien hain ghalib mujh per
k derd ka toufaan her rug main dorh jata hay
jaisay moajain sahilon ki hedain torh daitti hain
jaisay dherhekenain dilon ka sath choarh daitti hain
sheb-e-tenhaie main adet teri khoushbouon ki
dil-e-nakaam ko kuch aur satanay lagti hain
tub dhounenay lagat hoon her sou aanchel tera
jaisay koie muflis zer k khewab say behel jayai
jaisay koie mernay say pehlay zera dare ko senbhel jayai
sheb-e-tenhaie main moasam teri rafaqet k
ghup andhairon main ujalay say bikhair daitay hain
ghum-e-firaq ki chader ko cheer daitay hain
aur dil aik lemhay ko ho jata hay shadaab aisay
jaisay chaand ka aqes kisi jheel main uter jata hay
jaisay koie soukha pairhe sebz peton say bher jata
dil ko laga ke tujh se badi uljhanaon mein hoon
hoon dostoon mein teray ya mein dushmanoon mein hoon
mar bhi gaye firaaq mein tere to kyaa huaa
yoon bhi shumaar teri bahut nafraton mein hoon
ab kat raha hai daayron mein umr ka ye safar
kaise nibhaaun rishta-e-dil, bandhanon mein hoon
ghar mohabbat ka toot ke saara bikhar gaya
ab doondta nishaan zameen ki silvaton mein hoon
kaisa naseeb khel raha khel hai ajab
daaman hai khaali phir bhi badi hasraton mein hoon
bimaar dil ka haal na tu pooch door se
pehloo mein aa ke dekh ghum-e-zulmaton mein hoon
kaisa inaam meri ye sab chahton ka hai
rusva ho ke bhi kin hasraton mein hoon
Iss Dil Ko Abhii Dard Chopanay Nahi Ayy....
Aur Ankh Ko Bhi Asahk Bahanay Nahi Ayy.......
Main TEaraey LIa Taj Mahal Shoaq Say Likhte.....
Lafzoon K Nagar Mujhko Basanay Nahi Ayy....
Yea Soach K Raothe Thi K Woh Aiin Gay Manany....
Bas Dukh To Yeahi Hay K Woh Mananay Nahi AY....
Mana K Mohabat K Ameen Ho Sakay N ahUm ....
Woh Bhi To Koi Deep Jalanay Nahi Ayy
Daryea-e- mohabat main jo doabon to hay yea lkhuwasih
US WAQT MUJHAY KOI BACAHNAY NAHI AAY ....
badalaa na apane aap ko jo the vahii rahe
milate rahe sabhii se magar ajanabii rahe
duniyaa na jiit paao to haaro na Khud ko tum
Tho.Dii bahut to zahan me.n naaraazagii rahe
apanii tarah sabhii ko kisii kii talaash thii
ham jisake bhii qariib rahe duur hii rahe
guzaro jo baaG se to duaa maa.Ngate chalo
jisame.n khile hai.n phuul vo Daalii harii rahe
koi ummid bar nahin aati
koi surat nazar nahin aati
pehle aati thi haale dil par hansi
ab kisi baat par nahin aati
hum wahan hain, jahan se humko bhi
kucch hamaari khabar nahin aati
kaabaa kis muh se jaaoge 'Ghalib'
sharm tumko magar nahin aati
Hum ney tanhai sey poocha keh milo gi kab tak
Usney bechaini se forun hi kaha, shaam key baad
agar aas ho to yaasiat sai daikhtay hain
ishq-o-ulfat ko chup kai door sai daikhtay hain
door sai hi daikha hai, choo na paaye kabhi
us kai honay pai imaan la kar daikhtay hain
suna hai ishq ho to aashiq hi dikhta hai
khuda Jaanay woh kis nazar sai daikhtay hain
usay bhula to nahin saktay hum kabhi
apnay dil main usay chupa kai daikhtay hain
khudara ishq kai gur hum qaabil ho jaayein
duniya waalay kaisi nazron sai daikhtay hain
hum betaabi main beqaraari main rahain
suna hai log usay aankh bhar kai daikhtay hain
Zard pattoN ki sheh'ragoN par
udaas qatroN ki os orrhey
jesey bahaar ki haseen bewa
kai sawaaloN meiN ulajh gai ho
Wo sochti hey udaas ho kar
ke kya zamaaney ke raastoN par,
zindagi ki taveel musafitoN par,
bina kisi ka haath thaamey,
waqt ke saath wo chal sakey gi!
Wo sochti hey udaas ho kar
ke hawas'zada hawa ke panjey
us ke taqaddus ki sufeid chaadar
kaheeN us ke sar sey noch na leiN!
Wo sochti hey udaas ho kar
ke imroz-e-farda ki aqoobatoN meiN
us ke wajood ka maatmi sad'barg
kaheeN gardishoN ka shikaar na ho
Wo sochti hey udaas ho kar
ke uski khushyoN ki maiyat ban kar
hum'safar us ka jo ab kaheiN nahi hey
wo hum'safar jis ka hawaala orrhey
wo saari dunya meiN jo mo'tabar thi
to kya is mai'yat ke saath hi ab
mohabbatoN ke wo baaqi rishtey
murrauwattoN ki gali sey ho kar
nigaaheiN apni - aur raaheiN apni
badal naa jaeiN - aur bigarr na jaeiN
ye roshni sey mulaaem rishtey
us ki khushyoN ki laash ke saath
lehad meiN chupkey sey utar na jaeiN!
jeenay ka mujhay bhi armaan tha kabhi
zaamaana mujhpay bhi meharbaan tha ka bhi
aaj roota hai baadalon main chupkar
wohi hai ye sarpe jo aasmaan tha kabhi
wo shaaq to kya shajar nahe bacha
jispar bana mera ashiyaan tha kabhi
duswaarioon say jetna mushkil banaa
yeh kaam bhi ham ko aasaan tha kabhi
kooee bhi yahaan nahee janta mujhay
yeh gaaon meray bina veraan tha kabhi
hairaan ho bedaad-e-qismat pe lamhay
iis par hamara bhi wohi emaan tha kabhi!
kabhi aah lab pe machal gai, kabhi ashk aaNkh se Dhal gaye ..
yea tumharey Gham ke chiraaGh hain, kabhi bujh gaye kabhi jal gaye ..
main Khayaal-o-Khwaab ki mehfilain na ba-qadr-e-shauq saja saka ..
tumhari ik nazar ke saath hi, mere sab iraadey badal gaye ..
kabhi rang main kabhi roop main, kabhi chhaaooN main kabhi dhoop main ..
kaheen aaftaab-e-nazar hain wo, kaheen maahataab main Dhal gaye ..
jo fanaa huwey Gham-e-ishq main, unhain zindagi kaa na Gham huaa ..
jo na apani aag main jal sakey, wo paraai aag main jal gaye ..
hey unhain bhi meri tarah junooN, to phir un main mujh main ye farq kya ..
main giraft-e-Gham se na bach saka, wo hudood-e-Gham se nikal gaye ..
kabhi yeh khayal aaya...
keh yeh zindagi kia hai?
kabhi lagti hai haseen
tau kabhi iss mein raaz pinhaan hein
kabhi lagey iss se dar
kabhi yeh ley jaaey wahan
jahan koi na ho ghum
kabhi yeh batayey keh mohabbat se hai sub kuch
kabhi yeh akhey keh mohabbat nahin kuch
kabhi yeh dikhaaey ahr taraf phool hi phool
kabhi yeh bhichaaey itney kaantey keh dil ho jaey choor
kabhi yeh khayal aaya
keh yeh jo zindagi hai
buss eik khel hai
kabhi jeet hai
kabhi haar hai
kabhi aag ka darya
kabhi ansoo se bhara samander
kabhi phoolon se bhara baagh
kabhi kaanton se bhara shehr
kabhi yeh khayal aaya
keh yeh zindagi nahin
eik gehra samander hai
koi iss ko paar akr ley
koi doob keh mar jaaey
kabhi yeh khayal aaya
yeh zindagi nahin
buss maut ka khel hai
jissey koi jeetey ya haarey
anjaam maut hai....
gila hawa say nahi hay hawa to andhi thi
magar woh barg keh tootay to phir haray na huway
magar woh sir keh jhukay aur phir kharray na huway
magar woh khwaab keh bikhray to bay-nishaaN thehray
magar woh haath keh bichheRay to ustakhvaaN thehray
gila hawa say nahi tundi-e-hawa say nahi
hansi kay teer chalaati fiza say nahi
'adu kay sang say aaghyaar ki jafa say nahi
gila to girtay makaanoN kay baam-o-dar say hay
gila to apnay bikhartay huway safar say hay
hawa ka kaam to chalna hay uss ko chalna tha
koi darakht giray yaar hay, ussay kiya hay
gila to ehl-e-chaman kay dil-o-nazar say hay
khizaaN ki dhool mai liptay huway shajar say hay
gila sehar say nahi ronaq-e-sehar say hay
Ya dil ka roog ya chahat Khuda kisi ko na daay
Buri bala hai mohabat khuda kis ko na daay
Tarap janoon ya ruswaian akala pan
Kadam kadam ya musibat Khuda kis ko na daay
Jo cho ta tu nay mujahay dee na daay koyee tujh koo
Ya bewafai ke aidat Khuda kisi ko na daay
Zaroor hai to Ishq zindagi main magar
Ya jan lawa zaroorat Khuda kis ko na daay
jaab tanhai muyassar ho to paal bhar ko sochana...........
loog jo kuch kayh rahain hain uss say hut kar sochna...........
iss tarah guzrain gay kaisay zindagi kay rozo shaab..........
tum say milna ,,kuch na kahna ,,shab bhar sochna...........
Itanii muddat baad miile ho
kin sochoon mein gum rahate ho
Tez havaa ne mujhase puuchhaa
ret pe kyaa likhate rahate ho
Kaun sii baat hai tum mein aisii
Itane achchhe kyoon lagate ho
Hamse na puuchho hijr ke qisse
apanii kaho ab tum kaise ho