Dear friends since i was registered on GS i have been copying the poetry i liked most today i am posting it all in here… so if any one is thinking of doing the same thing this can be helpful to him/her
Chalo yunhi sahi mera dil, dil nahee thaa
Wafa ka lahoo is mein shaamil nahee thaa
Yeh sachi muhabbat ka haamil nahee thaa
Tumhari parastish ke kaabil nahee thaa
Yeh behtar hai ab tum, mujhe bhool jao…
Ghazzab ki thee uff woh mulaqaat pehli
Jab ek kam-zuban se thee ki baat pehli
Woh halki si boondain woh barsaat pehli
Khuda jaanay kaisi thee woh raat pehli
Yeh behtar hai ab tum, mujhe bhool jao…
Dilon ko na madhosheyon mein dabootay
Woh jaam-e-muhabbat peyay hi na hotay
Khud apne kiye pe na istarha rotay
Na maazi ke matam mein yun waqt khotay
Yeh behtar hai ab tum, mujhe bhool jao…
Na dil chain paye tumhari bala se
Jo furqat sataye tumhari bala se
Ghatta ab jo chaaye tumhari bala se
Balaa mujh pe aaye tumhari bala se
Yeh behtar hai ab tum, mujhe bhool jao…
Muhabbat ke jhotay khaton ko jala do
Meri yaad tum lauh-e-dil se mitta do
Ab aansoo yeh kaisay, bhula do bhula do
Jo rona hai mujh ko inhee mein bahaa do
Yeh behtar hai ab tum, mujhe bhool jao…
Yeh behtar hai ab tum, mujhe bhool jao…
Yeh behtar hai ab tum, mujhe bhool jao…
Na haara he ishq aur,na duniya thaki he,
diya jal raha he,hawa chal rahi he,
chuban gudgudi ka maza de rahi he,
jise ishq kehte he shahyad yahi he,
balaa se ab aaye koi ya na aaye,
mohabbat ko tanhaayi raas aah gayi he
ghum nahi bohlta bohlane se
nam hoee aank muskarane se
aaj woh ajnabee se lagtein hain
jantaa hoon jene zamane se
dostoon ke pahrahk na karna
maan tote gaa azmanee se
jub se apnoo se choht kahee hai
koi sikwa nahi raha zamane se
zindagee ke haqeeqatoon ke qasam
dil ke batein hai bus fasane se
Ek sagar bhi inayat na hua yaad rahe
sakiya jaate hain mehfil teri abaad rahe
Maszid mein bulate hain hame zahid-e-nafaham
hota jo agar hosh to maikhane na jaate?
Mai ko sagar mein dal kar saki
jaan mein tune jaan dali hai
zindagi ko kabhi aalooda e sagar na karoon
main tere gum ko agar bhool sakoon aap se aap
bhala sa naam hai uska use kehte hain kya zahid
surahi mein jo dhalti hai jo paimane mein hoti hai.
wo kaun hain jinhen tauba ki mil gai fursat
hamein to gunaah bhi karne ko zindagi kum hai
aap pachhtain nahin jor se tauba na karen
aap ke sar ki kasam'daag' ka haal achha hai
Ai zindagi Khuda ke liye ab muaf kar
baithi hui hai maut mere intezaar mein
Mera naam unki zubaan par jo aya
wo chup ho gaye dastaan kehte kehte
musafir chalte chalte thak gaye manzil nahin milti
kadam ke saath badhta ja raha hai fasla jaise
Wohi tukraar lufzoon ki
Wohi undaishay furqat kay
Wohi unjaan see dustuk
Wohi gumnaam see kasuk
Wohi hur baat pur rungish
Wohi hur baat pur lurna
Wohi likhna hamaray naam ko bayrehum mojoon pur
Wohi aapnee kitaboon main gulaabee titleean rukhnaa
Wohi bay manee batoon main hamara zikr lay aana
Wohi purday say chup kur daikhnaa aur muskara daina
Wohi muskaan dhemee see
Wohi kuch booltee ankhein
Wohi chup chaap saa lehjaa
Wohi baychaen see hulchul
Wohi sukheeoon say kutraana
Wohi kehnay say kuch durnaa
Wohi baywaja ithlaana
Sub hee aasaar khaitay hain
Ussay Mujh Say Mohobbat Hai!
Dost miltay hain yahaan dil ko dukhaanay ke liye
Ungleyaan rakhtay hain woh hum pe uthaane ke liye
Kya qusoor un ka yeh aik rasm chali aee hai
Tuhmattain hoti hain duniya mein lagaane ke liye
Nakhuda maan ke bethay hain jin ki kashti mein
Woh humein maujoon mein laye thay daboone ke liye
Woh hawaoon ki tarha rukh ko badal letay hain
Hum naseeboon se laray thay jinhein paane ke liye
kuch na kuch mujh se bhi ay dil! shinasai rakh
apnay lehjay main tu andaz e pazeerai rakh
ik lehar dil se teray dil tak chali jaye gi
tu mere haath pe yeh dast e hinai rakh
youn khiche aain ge sab log tumhari janib
apnay hooton pe zara lafzon ki garmai rakh
kiya khabar kab tujhe duniya ki baharain kheechain
apnay seenay main faqat dard e masihai rakh
Khoon behta hai to paudon ki namu hoti hai
Khud ko masroof dar-e-kaar-e-chaman aaraai rakh
Aik na aik din teri ummeedain bhi ber aain gi
apni aakhoon main bas anjaam e shakebai rakh
barh raha hai dil e muztar ka yeh halqa Lamhay
apnay pehlo main jala shola e tanhai rakh!
Zulfain chehray se hatanay dejeya
mujhko upnay kareeb zara aanay dejeya
ya samjheya rooh ke chahat ko
ya haathoon may meray paimanay dejeya
komal pairon ko zameen pay rakhnay dain kaisay
humain aap ko banhoon may uthanay dejeya
banhoon may tumhain bhar loon mein kaisay
aye Khuda mujhay kuch tou bahana dejeya
ek baar aur gustakhi ho jaye
ek baar aur husan ko mananay dejeya
labon se kuch bhe kaheya aap
aankhoon se ankhoon ko jaam pilanay dejeya
meri maaneya tou safaid libas per upnay
do boond badal ko giranay dejeya
sawal se aur humhain layna bhe kia
upni zulfon ke ghata chanay dejeya
phir ek baar aanchal gira dejeya
phir se khawbon ke mehfil sajanay dejeya
zindgi bhar ahsaan rahay ga mujh per
bus aaj ke raat imaan bhulanay dejeya
Raah dekho gey, hamara intezar karo gey
Jab nahi honge hum to hamein yaad karogey
dhondhogey ujrrey rishtoon mein wafa ke khazane
tum mere bad meri mohabbat ka ehteram karogey
ye jo rahein sunsan parri hain jane kab sey
mere baghair kaise inhein aabad karogey
Mujhe qatal karo shauk se lekin ye jaan lo
mere bad tum har jurm ka iqrar karo gey
bahut keh chuke, bahut samajh chuke hain hum
jane do ab aur tum kia baat karo gey.
Raaton main gar na ashk bahaon to kya karon
Ek pal bhi uss ko bhool na paoon to kya karon
Main nay suna hai un ko andhere nahin pasand
Rahon main ab main dil na jalaon to kya karon
Tum hi kaho keh chore day jub zindagi bhi sath
phir moot ko galy na lagaun to kya karon
Socha to tha kay chor doun us ki gali murad
lakin kahin qarar na pawon to kya karon
Raaton main gar na ashk bahaon to kya karon
Ek pel bhi us ko bhool na paaon to kya karon
Haadisah jaane woh kya thaa jo bhulaaya na gaya
Aaj tak jis ka nishaan dil se mitaaya na gaya
In lakeroon mein basa thaa jo naseboon ki tarha
Gardish-e-dauraan ke sadqe, phir banaaya na gaya
Silsilay aise jurray khwaboon ke ankhoon se ke phir
Paas apne is zamaane ko bithaaya na gaya
Hasrat-e-kashti-e-dil doobi kinaaray pe magar
Saamne Saahil ke kuch hum se bachaaya na gaya
Ab karain kis se shikaayat aur ab kis se gila
Guftagu-e-ranj mein jab ranj hi jataaya na gaya
Dil bhool nahi pata
Wo khawaab mohabbat ka
Dil bhool nahi pata
Kya bhaid anokha hai
Jub sochnay bhaithu tu
Kuch yaad nahi aata
Ik pul k liye phir bhee
Wo khawaab mohabbat ka
Baychain jo guzri theen, ratein tu bhoot see theen
Kurnay k liye us say, batein tu bhoot see theen
Wo samnay aaya tu sub bhool gayeen mujh ko
Socha hai bhoot laykin
Kuch yaad nahi aata
Dil bhool nahi pata
Kuch takyey ashkoon se
Geelay hotay hain
Soch samajh kar bola karo
Kuch lafz barray
Zehreelay hotay hain
Lafzoon ki jadugari mein
Koi sab kuch paa leta hai
Koi sab kuch lauta deta hai
Koi sukhi hojata hai
Koi dukhi hojata hai
Yeh lafz hain
Kabhi marham ban jaatay hain
Kabhi maatam ban jaatay hain
Kisi ko khwaab mil jaatay hain
Kisi ke khwaab jal jaatay hain
Lafzoon ki jadugari mein
Kuch chehray rangeelay hotay hain
Kuch chehray peelay hotay hain
Aandhi aati hai, tufaaan chale jaate hain
Yaade rah jaati hai, insaan chale jaate hain
Suna hai Humein woh bhulaaney lagey hain
Tou kia Hum ' unhein ' yaad aaney lagey hain?
Jaaney Uss shakhs ko kaisa yeh hunar aata hai
Raat hoti hai tou, aankhon mein utar aata hai
Is dil ne tere baad muhabbat bhi nahee ki
Hud yeh ke dharaknay ke jisarat bhi nahee ki
Tabeer ka aizaaz huwa hai ussay hasil
Jis ne mere khwaboon mein shirakat bhi nahee ki
Ulfat tu bari baat hai hum se tu saray shehar
Logoon ne kabhi dhan se nafrat se bhi nahee ki
Adabay-e-Safar ab woh sikhaatay hain jinhoon ne
Do chaar qadam tu yeh musafat bhi nahee ki
Kya apni safae mein beyaan detay ke hum ne
Na kardah gunahi ki wazahat bhi nahee ki
Khamosh tamashaee ki manand sar-e-bazm
Sau zakhm sahay dil pe, shikayat bhi nahee ki
Us ghar ke sabhi log mujhe chorne aaye
Dehleez talak us ne yeh zehmat bhi nahee ki
Us ne bhi ghulamoon ki sufhoo mein humein rakha
Is dil pe kabhi jis ne hukumat bhi nahee ki
Agar talash karo ga tu mil hi jaye ga
Magar hamari tarah tum ko koan chaye ga
Tumhey zaror koi chahto say dekha ga
Magar woh ankey hamarey kahan say laye ga
Tumharey sath yah mosum baharo jaisay tha
Tumhary baad yeah musam bohat rulaey ga
Har Shaksh keh Raha Hay tujhay Dekhnay Kay Baad
Dawaa Mera Bachaa hay Tujhay Dekhnay Kay Baad
Sajdaa Karo Ya Naksh-e-Qadam Chumtaa Raho
Ghar Kabba Bun Gayaa Hay Tujhay Dekhnay Kay Baad
Abb Aakay Teray Shair Say Wapis Na Jaao Gaa
Yai Faislaa Kia Hay Tujhay Dekhnay Kay Baad
Kehtay Hay Log Tujhko Masihaa Magar Yahaa
Eik Shaksh Mar Gayaa Hay Tujhay Dekhnay Kay Baad
Tum sey mil kar, Tumhein bhulaana, Mushkil hai, Aasaan nahin
Deewaney Dil ko samjhaana, Mushkil hai Aasaan nahin
Hur Rasta, hur Manzar ab tou, koi Fasaana lagta hai
Jab sey Tum aaey ho, saara Sheher suhaana lagta hai
Jaatey lamhon ka ruk Jaana
Mushkil hai, Aasaan nahin
Jhukti Aankhein, Rukti Saansein, Dard adhoora kehti hain
Dil ki poori baatein aksar, Dil ke andar rehti hain
Dil ki baat, Zubaan par laana
Mushkil hai, Aasaan nahin
Jo Hum chaahein woh Tum chaaho, Phir bhi kiyon yeh ' Doori ' hai ?
Mil kar bhi Hum mil nahin paatey, Yeh kaisi majboori hai ?
Rasmon ki Deewaar giraana...
Mushkil hai, Aasaan nahin