Since I became member

Tum Kaheen Bewafa Na Hojana
Hijar ki bad-dua na hojana!!
Dekh lena saza na hojana...
Mor to beshumar aain gey!!!!
Thak na jana, Juda na hojana
Be irada safar peh nikley ho!!
Rastoo'n ki hawa na hojana..
Aik tumhi ko Khuddah say manga hai
Tum Kaheen Bewafa Na Hojana.......
Tum Kaheen Bewafa Na Hojana.......

teraa hijr meraa nasiib hai teraa Gam hii merii hayaat hai
mujhe terii duurii kaa Gam ho kyun tuu kahiin bhii ho mere saath hai
mere vaaste tere naam par koii harf aaye nahiin nahiin
mujhe Khauf-e-duniyaa nahiin magar mere ruu-ba-ruu terii zaat hai
teraa vasl ai merii dilarubaa nahiin merii kismat to kyaa huaa
merii mahajabiin yahii kam hai kyaa terii hasaraton kaa to saath hai
teraa ishq mujh pe hai maharabaaN mere dil ko haasil hai do jahaaN
merii jaan-e-jaaN isii baat par merii jaan jaaye to baat hai

tere milne ka ek lamha
bas ek lamha sahi lekin
bikhar jaey to mausam hai
wafa ka be karaaN mausam
azal se maherbaaN mausam
yeh mausam ankh main utre
to rangoN se dehakti raushni ka
aks kehlaey!
yeh mausam dil main thehre to
sunehri, sochti sadyon ka
gehra naqsh ban jaey!
tere milne ka ek lamha
muqaddar ki lakeeron main
dhanak bharne ka mausam hai!!!
yeh mausam....
khubsurat shairi kerne ka mausam hai!!!

GOSH!!! Dilsay bhai isay parhne mein tu ghantay lagay gein :konfused:

jaab time milay tu phir he parh leena…

D A Y U M … :mudhosh:

What you mean

Koon chaiya ga tum ko mari taraha
Abb kisi say na mohabat karna
Dill ka darwaza khula rakha hai
Waqat mil jayaa tu zahmat kar na

Kabhi kabahar usay dekhlain kaheen mil kar
Ya kab kaha tha ka wo khush badan hamara hoo
Kasoor ho to hamaray hasab main likh jaya
Mohabatoon main jo ahsan hoo tumahar hoo

oosne muR ke hi na dekha eik baar bhii
koi kar rahaa tha ooska intezaar bhii
khizaaN badnaam hai, ye aur baat hai
warna looTe hai gulsitaaN bahaar bhii
eik dil tha , wo bhii oosne le liyaa
ab zid hai ke chaahiye qaraar bhii
wo aae ga to kis tarah se aae ga
hai raaste meiN rasmoN kii diwaar bhii
faislaa ab kya hoga mere qatl kaa
wo hi qaatil hai jo kal tha mera yaar bhii
main ehsaanmaNd hooN bahot es chaand ka
hai raushani meiN mera ye mazaar bhii

Tere liye oh jaan-e-jaan laakhon sitam uthaaenge
Hum bhi sahenge dard-o-gham, zakhm-e-jigar chupaaenge
Socha na thaa ke pyar mein, aise bhi honge imtehaan
Tum bhi banoge ajnabi, hum bhi nazar churaaenge
Kis ko khabar thee zindagi, hans na sakeygi phir kabhi
Beetay huwe khushi ke din, ashkoo mein doob jaaenge
Hona thaa jo woh ho chuka, ab tu yehi hai faisla
Mar ke bhi hum teri kasam, rasm-e-wafa nibhaaenge
Ro rahi hai yeh zameen, ro raha hai aasmaan
Sadmay tumharay pyar ke, khush ho ke jhail jaaenge

Kab main ney Us ko rooka tha
aur ye kaha tha TUM mat jaoo
main tanha nahi rah paoon ga
bas itni si baat thee poochi
Tanhayee main shaam dhaley jab
aankh main aansoo bhar aayein
tu kiya kerna hai??

humm

Keep up the good work and your choice is no doubt, excellent :k::k::k:

it is just 25% of it i still have alot to post… but since very few ppls replied i think ppls does not have time to read this… anyway… thanks

YAAR DILSAY BAHIII
yahan KUCH khamosh tamashaiii bhi hain , aap baqi bachay 75% bhi yahan post kar hi di jiye, HUM JAISON ka bhala hojaye ga,
KEEP UP THE GOOD WORK :k:

tum meri aankh ke tewar na bhula pao ge
unkahi baat ko samjhoge to yaad aoonga
hum ne khushioyn ki tarha dukh bhi ikathey dekhay
safha-i-zeest ko palto ge to yaad aoonga
iss judai main tum andar se bikhar jao ge
kisii maazoor ko dekho ge to yaad aoonga
meri khushboo khalay gi tumhain gulaabon ki tarha
tum agar khud se na bolo ge to yaad aoonga
sard raaton ke mahektey huwe sanaaton main
jab kissi phool ko choomo ge to yaad aoonga
aaj to ho mehfil-e-yaaran pe maghroor bahut
jab kabhi toot ke bikhroge to yaad aoonga
ab to yeh ashk to main honton se churaa letaa hoon
haath se khud inhain pooncho ge to yaad aoonga
shaal pehnaaye ga ab kon tumhain decenber main
baarishon main kabhi bheego ge to yaad aoonga
haadsey aainge jeewan main to tum ho keh nidhaal
kissi deewar ko thaamo ge to yaad aoonga
iss main shaamil hai mere bakht ki taariki bhi
tum siyaah rang pehnoge to yaad aoonga

apney anaa ke khudaa ko manaaney ki khaatiR
wo khafaa ho gaya mujhey sataaney ki khaatiR
meiN ney kaha waqt ki thokar sey bachna zaraa
kehneY laga tum na aana mujhey uthaney ki khaatiR
meiN ney kaha mujh sey bichaR kaR tum kesey jiyo ge!
kehne laga meiN jeeyuN ga ab zamaaney ki khaatiR
meiN ney kaha dooR jaa kaR gaR tanhaa ho gae to!
kehne laga tum na aana mujehy behlaaney ki khaatiR
meiN ney kaha waapsi ke daR khuley rehney dena
kehneY laga kon jaata hey laot aaney ki khaatiR!
meiN ney kaha phir bhi chaaho to palat aana tum
kehney laga nahi aaooN ga tumhey paaney ki khaatiR
magar mila barsoN ke baad to kitna haNsna paRaa
usey palkoN pe rukey ashq chupaaney ki khaatiR

Mera khamosh reh kar bhi unhein sab kuch suna dena
Zuban se kuch na kehna, dekh kar ansoo baha dena
Nasheman ho na ho, yeh tu falak ka mashgala thehra
Ke do tinke jahaan dekhna, bijjli gira dena
Ijaazat ho tu keh don, qissa-e-ulfat sar-e-mehfil
Mujhe kuch tu fasaana yaad hai, kuch tum suna dena
Mein mujrim hoon, mujhe iqraar hai jurm-e-muhabbat ka
Magar pehlay khata per gaur kar lo, phir saza de dena
Mein is haalat mein pohancha, hashar walay khud pukar uthay
Koi fareyaad aaraha hai, zara raasita dena

uddas loogoon say peyyar kurna koi tu seekhay
safaid lamhoon main rung bhurna koi tu seekhay
koi tu aaye khizaan main paatay uggany waala
gulloo ki khushboo ko qaid kurna koi tu seekhay
safaid lamhoon main rung bhurna koi tu seekhay
koi daykhaaye mohabtuon kay saraab mugh ko
mayri nighaoon say baat kurna koi tu seekhay
safaid lamhoon main rung bhurna koi tu seekhay
koi tu aaye naai rutoon ka paghaam lay kur
andhari ratoon main chaand bunanna koi tu seekhay
safaid lamhoon main rung bhurna koi tu seekhay
koi peyamber koi imam-e-zamman hee aaye
aseer zahnoo main sooch bhurna koi tu seekhay
safaid lamhoon main rung bhurna koi tu seekhay
uddas loogoon say peyyar kurna koi tu seekhay