Since I became member

kaash ke mujhse bhi kisiko pyar hota,
kaash ke mere liye bhi kisika dil bekarar hota,
kaash ke mujhe bhi koi apni yaadon mein laata,
apne khwabon mein basata ,ankhon mein chupaata.
kaash ke mujhse bhi kabhi koi izhaar karta ,
kaash ke mere liye bhi koi bechaain hota,
kaash ke mujhe bhi koi apne dil mein utarta ,
apni sanson mein samata , meri duniya ko mehkaata.
kaash ke mere bhi sapne kabhi sach hoten,
kaash ke mere bhi armaan pure hoten,
kaash ke mujhe bhi kabhi mil jaata koi,
dekhti use main harpal , rehti khoi khoi.
zindagi pyar bina adhuri si hoti hai,
ek saathi bina suni suni hoti hai,
kaash ke mujhe bhi kisika saath mila hota,
kaash ke mere zindagi mein bhi ye bahaar aaya hota.

wah zabardast stuff dilsay! thanks 4 sharing ...

WOW, :k::k:

keep up the good work.. :slight_smile:

Janay say pahlay jo kuch behi yaahan say liya tha yaheen wapis post kar kay jana chahta hoon.....

thanks to every one....

tum meri aankh ke tewar na bhula pao ge
unkahi baat ko samjhoge to yaad aoonga
hum ne khushioyn ki tarha dukh bhi ikathey dekhay
safha-i-zeest ko palto ge to yaad aoonga
iss judai main tum andar se bikhar jao ge
kisii maazoor ko dekho ge to yaad aoonga
meri khushboo khalay gi tumhain gulaabon ki tarha
tum agar khud se na bolo ge to yaad aoonga
sard raaton ke mahektey huwe sanaaton main
jab kissi phool ko choomo ge to yaad aoonga
aaj to ho mehfil-e-yaaran pe maghroor bahut
jab kabhi toot ke bikhroge to yaad aoonga
ab to yeh ashk to main honton se churaa letaa hoon
haath se khud inhain pooncho ge to yaad aoonga
shaal pehnaaye ga ab kon tumhain decenber main
baarishon main kabhi bheego ge to yaad aoonga
haadsey aainge jeewan main to tum ho keh nidhaal
kissi deewar ko thaamo ge to yaad aoonga
iss main shaamil hai mere bakht ki taariki bhi
tum siyaah rang pehnoge to yaad aoonga

apney anaa ke khudaa ko manaaney ki khaatiR
wo khafaa ho gaya mujhey sataaney ki khaatiR
meiN ney kaha waqt ki thokar sey bachna zaraa
kehneY laga tum na aana mujhey uthaney ki khaatiR
meiN ney kaha mujh sey bichaR kaR tum kesey jiyo ge!
kehne laga meiN jeeyuN ga ab zamaaney ki khaatiR
meiN ney kaha dooR jaa kaR gaR tanhaa ho gae to!
kehne laga tum na aana mujehy behlaaney ki khaatiR
meiN ney kaha waapsi ke daR khuley rehney dena
kehneY laga kon jaata hey laot aaney ki khaatiR!
meiN ney kaha phir bhi chaaho to palat aana tum
kehney laga nahi aaooN ga tumhey paaney ki khaatiR
magar mila barsoN ke baad to kitna haNsna paRaa
usey palkoN pe rukey ashq chupaaney ki khaatiR

Mera khamosh reh kar bhi unhein sab kuch suna dena
Zuban se kuch na kehna, dekh kar ansoo baha dena
Nasheman ho na ho, yeh tu falak ka mashgala thehra
Ke do tinke jahaan dekhna, bijjli gira dena
Ijaazat ho tu keh don, qissa-e-ulfat sar-e-mehfil
Mujhe kuch tu fasaana yaad hai, kuch tum suna dena
Mein mujrim hoon, mujhe iqraar hai jurm-e-muhabbat ka
Magar pehlay khata per gaur kar lo, phir saza de dena
Mein is haalat mein pohancha, hashar walay khud pukar uthay
Koi fareyaad aaraha hai, zara raasita dena

uddas loogoon say peyyar kurna koi tu seekhay
safaid lamhoon main rung bhurna koi tu seekhay
koi tu aaye khizaan main paatay uggany waala
gulloo ki khushboo ko qaid kurna koi tu seekhay
safaid lamhoon main rung bhurna koi tu seekhay
koi daykhaaye mohabtuon kay saraab mugh ko
mayri nighaoon say baat kurna koi tu seekhay
safaid lamhoon main rung bhurna koi tu seekhay
koi tu aaye naai rutoon ka paghaam lay kur
andhari ratoon main chaand bunanna koi tu seekhay
safaid lamhoon main rung bhurna koi tu seekhay
koi peyamber koi imam-e-zamman hee aaye
aseer zahnoo main sooch bhurna koi tu seekhay
safaid lamhoon main rung bhurna koi tu seekhay
uddas loogoon say peyyar kurna koi tu seekhay

paagal ankhon waalee larkee
itnay mahngay khwaab nah daikho
kaanch say naazuk khwaab tumhaaray
toot gayay to pacchtao gee
saucch ka saara ujla kundan
zabt kee rah main ghul jaayay ga
kucchay pakkay rishton kee khusboo ka resham
khul jaayay ga
tum kiya jaano!!
khwaab safar kee dhoop kai taishay
khwaab adhooree raat ka dauzakh
kwaab khayaalon ka pachhtawa
khwaabon ke manzil ruswaee
khwaabon ka hasil tanhaee
tum kiya jaano!!
mehngay khwaab khareedna hon to
aankhain baichnee partee hain
ya rishtay bhoolnay parrtay hain
andaishon kee rait nah phaanko
piyaas kee autt saraab nah daikho
itnay mehngay khwaab nah daikho
thak jaao gee!!!!!

keep it up :k:

jab complete ho jayien na tu The End Likh dena
phir ek dafa hi copy karoon ga :hehe:

Arz kiya hai…

Udhar woh ghar se nikal rahe hain…
Edhar mera dam nikal raha hai…
Dagaa kahaan de rahi hai qismat…
Woh aa rahe hain mein jaa raha hoon…

Appreciate your efforts in putting up all the postings together in a thread…:k:

very nice Amarbail ye aap ne apni taraf se post kiya hai ya dilsey ka hai :slight_smile:

buhat acha hai :k: