Re: Shayrana guftugu - July 2013
koon c garmi kaisi garmi
barish nay bhula de sari garmi
Re: Shayrana guftugu - July 2013
koon c garmi kaisi garmi
barish nay bhula de sari garmi
Re: Shayrana guftugu - July 2013
Kya khaber thi ke sath thoraa hai
waqt ne ajeeb khel kehla hai
fana ka baqa ka kuch pata nahi
bus manzil ki taraf ek khel suhana hai ![]()
Zindagi ek safer hai suhanA
yahan kal kya hu kis ney jana
Aley oleiyo aleiyo leiyooo
Aley oleiyo oleiyo yoo oooo
Oleiye oleiyo yo ooooooo :shoaby:
Re: Shayrana guftugu - July 2013
koon c garmi kaisi garmi barish nay bhula de sari garmi
hum say poochoo kaysi garmi
garmi nay kaam tamam kiya hai
badal moonh chraha kar agaey nikal gaye
aur sirf lahoriyoon ko serab kiya hai
Re: Shayrana guftugu - July 2013
hum say poochoo kaysi garmi garmi nay kaam tamam kiya hai badal moonh chraha kar agaey nikal gaye aur sirf lahoriyoon ko serab kiya hai
Karachi ke khilaf ye koi sazish hai
Barish pe jo lagi ye bandish hai
Double sawari band, pani band, band ho gai barish bhi
habs e beja wale badlon ne di hai sab ko kharish hi
Re: Shayrana guftugu - July 2013
karachi mein sub kuch bund hai
yeh koi naye baat nahin hai
Hamaray haan london Don hai
Uss kay eik isharay kee baat hai
sub joh bund hai khul janay koh hai. ![]()
Re: Shayrana guftugu - July 2013
London walo! apna Don khud sanbhalo
Scotland Yard main hai dum agar!
Don ko zara pakaR ke dikha do
Naye bat to hume pta chali hy
K UK me sakht garmi par ri hy
Itni garmi me kaisy rozy rakhen gy aap?
Kar lain breakfast kunk din hy aj last
Re: Shayrana guftugu - July 2013
Naye bat to hume pta chali hy K UK me sakht garmi par ri hy Itni garmi me kaisy rozy rakhen gy aap? Kar lain breakfast kunk din hy aj last
UK mein bauhat garmi per rahee hai
karachi walay kyun jealous ho rahey hain
Hum breakfast ker rahein hain
kul bhi breakfast karein gey hum.
Re: Shayrana guftugu - July 2013
Kal aap ka roza ni ho ga kiya?
ramzan me bhe karen gy breakfast kia? ![]()
Hum kun jalen hamary pas hain badal bohat ziada
garmi ki hum ko koi ni hy parwa ![]()
Re: Shayrana guftugu - July 2013
Mera kul roza nahin hoga
Sara mahina roza nahin hoga
Roza rakha toh kaam kharab hoga
mera aglay jahan safar hoga
sugar ka mareez hoon
issi liye rozey say dur hoon
Allah reham kary kaisi baten krty hain aap ![]()
Chalen ache bat hy khaty peety rahye ga aap
Allah aap ki umar daraaz kary
Or aap ko shifa dy Ameen
Re: Shayrana guftugu - July 2013
chand ki kiya hai surat e haal
Isha hone ko aai huwa abtak nahin koi ilan
Pta to hy aap ko kal ni ho ga roza
Phir kun intizar krty hain ailan hony ka
Re: Shayrana guftugu - July 2013
ho gaya agar ilan masjid ki taraf paRe ga doRna
Mufti Munneb ne chup ka rakha hai roza koi usse toRe na
Ye drama hua tha shyd pichly saal bhe
Muneeb sahab ko khyal aya wo bhe 10 bjy k bad he
Re: Shayrana guftugu - July 2013
yaad hai mujhe Masjid se log gaye the bhaag
ilan ke baad mach gai thi bhagam bhaag
Re: Shayrana guftugu - July 2013
array aap toh naraz ho gaein
Chalein chul ker roza rakhein
Kal ho ga hamara pehla roza
Abhe to lunch krna he ho ga
Jin ka nahi hy roza,wo bhe a jain
Sab mil kr lunch krty hain ![]()
Re: Shayrana guftugu - July 2013
ibadat ka mahina hai ibatdat karo
jitna hu sakey astagfaar pherho
Re: Shayrana guftugu - July 2013
ibadat ka mahina hai ibatdat karo
jitna hu sakey astagfaar pherho
ibadat toh ho rahee hai
ramazan hee nahin hur waqt ho rahee hai