Shair starts with "Bay"

[QUOTE]
*Originally posted by HAMMAD: *

**bay say Bawaqufee bay say Bakwas
*
*bay say boohat mubarak ap ko ap kee ye pareshaniyaan :p
[/QUOTE]

Bari jaldi khana kha liya.... lagta hai Ghans thoori thee..........

bad_naam mere pyaar kaa afsaanaa huaa hai
diivaane bhii kahate hai.n kii diivaanaa huaa hai

[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *

Bari jaldi khana kha liya.... lagta hai Ghans thoori thee..........

bad_naam mere pyaar kaa afsaanaa huaa hai
diivaane bhii kahate hai.n kii diivaanaa huaa hai
[/QUOTE]

bad_naam to tu hoa ha apnaye he waja say
payer shawafss hoa ha bad_naam tu he loongo kee waja say

baGair mere tujhe chain aa nahii.n sakataa
meraa javaab kahii.n se tuu laa nahii.n sakataa

.
taraye jawabb to may dhataa he rahoon ga dilsay
aor bass tu pouchta he rah gaye ga saawal :french:

Bekhudi ka woh mausam kitna achaa lagta tha
Har kadam behakta tha, aik daur aisa tha
Mujh say terey doori ka gham saha na jata tha
Sab say mein ulajhta tha, aik daur aisa tha

Bana kar faqeeron ka hum bhaiss Ghalib~
Tamasha e ahl e karam daikhtay hain

a.nga.Daa_ii bhii vo lene na paaye uThaa ke haath
dekhaa mujhe to chho.D diye muskuraa ke haath

[QUOTE]
*Originally posted by arifnawaz: *
Bekhudi ka woh mausam kitna achaa lagta tha
Har kadam behakta tha, aik daur aisa tha
Mujh say terey doori ka gham saha na jata tha
Sab say mein ulajhta tha, aik daur aisa tha
[/QUOTE]

.

arif bhi yee share thora muskell ha is ka jawab muj par uudhar raha kal zaroor doon ga abhi ninid arhee ha kaal collge ha
soo
ALLAH HAFIZ

Barsoon main marasim bantay hain, lamhon main bhala kia ttottain gay
Tu mujh say bicharrna chahay to, deewar uttha dheeray dheeray

I love this ghazal !!! hope you all like it !

**

Bhulaoon kaise !!!

Woh tera mujh ko salaam karna
Woh meri nazroo ke zaweyoo ko
Badal ke apna ghulam karna
Woh tera mujh per nigah karna
Woh lab gazeda si muskurahat se munh chupa kar nibah karna
Woh tera mujh se sawwal karna
Woh inbisaat-e-hayyat ban kar
Mere ghamoo ko nidhaal karna
Bhulaoon kaise... !
Woh mauj baad-e-saba ke shanoo pe raqs karti
Haseen zulfain
Woh surkh hontoo se shasta lafzoo ka jhilmilaana
Woh tera mehfil mein aanaa jaanaa bhulaoon kaise
Bhulaoon kaise, yehi tu jeene ka hai sahaara
Tumheein kahoo kuch, Tumheee bataaooo
Inhein mein kaise chupa sakonga
Inhein mein kaise bhula sakonga**

bahaar aa_ii to jaise ek baar
lauT aaye hai.n phir adam se
vo Khvaab saare, shabaab saare
jo tere ho.nTho.n pe mar miTe the
jo miT ke har baar phir jiiye the
nikhar gaye hai.n gulaab saare
jo terii yaado.n se mushk_buu hai.n
jo tere ushshaaq kaa lahuu hai.n

:confused:
a.nga.Daa_ii bhii vo lene na paaye uThaa ke haath
dekhaa mujhe to chho.D diye muskuraa ke haath

Dilsay jee… aap ki tabeyat tu theek hai naa??? lagta hai janaab kisi ke khayal mein khoye huwe hain :wink:

=================

Bari mushkil se tala tha qayamat khaiz lamhoon ko
Qayyamat ki ghari wapis jo laut aaee tu kya hoga
Tere koochay mein aana isliye acha nahee lagta
Tamaasha bangaya tera tamaashaee tu kya hoga

Bichra hai jo ik baar tu miltay nahi dekha
is zahm ko hum ne kabhie siltay nahi dekha
ik baar jisey chaat gaye dhoop ki khawaish
phir phool ko uss shah pe khiltay nahi dekha

bahaaro.n ko chaman yaad aa gayaa hai
mujhe vo gul_badan yaad aa gayaa hai

[QUOTE]
*Originally posted by arifnawaz: *
:confused:
a.nga.Daa_ii bhii vo lene na paaye uThaa ke haath
dekhaa mujhe to chho.D diye muskuraa ke haath

Dilsay jee… aap ki tabeyat tu theek hai naa??? lagta hai janaab kisi ke khayal mein khoye huwe hain :wink:

=================

Khoyee howee to sari duniya hai… hamara khiyal thora sa idahar howa tu ilzam behi lag giya…

koyee piyar main khoya howa hai
koyee tabahi kay baad khoo giya hai
koyee kisi ko roolanay main khoya howa hai
koyee roonay main khoya howa hai
koyee duukha main khoya howa hai
Jo nahi khoya
Wo khudi main khoya howa hai…

Bhool kar zaat tumhay yaad kiya
baat be baat tumhay yaad kiya
neend naraaz ho gaye hum se
hum ne jis raat tumhay yaad kiya

*Mainay tu mana kiya tha magar aap ko zid thee yaad karnay kee *

bahut dino.n kii baat hai
fizaa ko yaad bhii nahii.n
ye baat aaj kii nahii.n
bahut dino.n kii baat hai

:D

Beqaar khayaloa'n se lipat kar nahi dekha
jo kuch bhi hoa hum ne palat kar nahi dekha
is darr se ke katt jayein na binaai ke reshay
aankhoan ne teri raah se hut kar nahi dekha

Is baat ke behi aap ko he zid thee nahi dekhna mainay hat kar....

bahut milaa na milaa zindagii se Gam kyaa hai
mataa-e-dard baham hai to besh-o-kam kyaa hai
ham ek umr se vaaqif hai.n ab na samajhaao
ke lutf kyaa hai mere meharabaa.N sitam kyaa hai

:D again...

bza ye zabt_e ghum phir bhi muhabbat mai kabhi ro lay
dabanay ke liyay har dard ye nadaa'n nahi hota.........