baad muddat unhe.n dekh kar yuu.N lagaa
jaise betaab dil ko qaraar aa gaya
aarazuuo.n ke gul muskuraane lage
jaise gul_shan me.n jaan-e-bahaar aa gayaa
Bhool kar ehad-e-wafa mujh ko rulaane walay
Tu ne tu pyar nibhaane ki qasam khaae thee
baadalo.n kaa kaafilaa aataa huaa achchhaa lagaa
pyaas kii dharatii ko har saavan ba.Daa achchhaa lagaa
Bekhudi ka woh mausam kitna acha lagta tha
Har kadam behakta tha aik daur aisa tha
Kis tarha bhulaoon mein tere wasl ke raatain
Chand hum se jalta thaa aik daur aisa tha
baarahaa gor dil jhukaa laayaa
ab ke shart-e-wafaa bajaa laayaa
Bikhroon to meri kirchian sameet layna
Patharoon kay shahar main aae'na toot raha hai
baarish hu_ii to phuulo.n ke tan chaak ho gaye
mausam ke haath bhiig ke saffaak ho gaye
Bichar gaye hain jo raastay mein kaheen na un ka nishaan milega
Baneyga yeh dil kisi ki manzil ab is tamanna se kya milega
baat chalii terii aa.Nkho.n se jaa pahu.Nchii paimaane tak
khii.nch rahii hai terii ulfat aaj mujhe maiKhaane tak
Ba'az awqat kisi our kay milnay say Adm~
Apni hasti say mulaqat bhi ho jati hay
** Dilsay! Congrats on your 2K**
baat karanii mujhe mushkil kabhii aisii to na thii
jaisii ab hai terii mahafil kabhii aisii to na thii
[QUOTE]
*Originally posted by Azad: *
Ba'az awqat kisi our kay milnay say Adm~
Apni hasti say mulaqat bhi ho jati hay
** Dilsay! Congrats on your 2K**
[/QUOTE]
Thanks Azad jee....
Buss aik baar milay log kirchiyon walay
Kabhi bhi zakm phir apnay humain silay na milay
** Dilsay r u in isloo? **
Yes i am in Islamabad
baat nikalegii to phir duur talak jaayegii
log bevajah udaasii kaa sabab puuchhe.nge
ye bhii puuchhe.ge ki tum itanii pareshaa.N kyuu.N ho
u.ngaliyaa.N uThe.ngii sukhe huye baalo.n kii taraf
ik nazar dekhe.nge guzare huye saalo.n kii taraf
chu.Diyo.n par bhii ka_ii tanz kiye jaaye.nge
kaa.Npate haatho.n pe bhii fikre kase jaaye.nge
Bay-rukhi iss say barri or bhala kia hogi
aik mudat say humain uss nay staya bhi nahi
** Could you please check with American Express in the morning for my ticket, Its S. Azad **
I will do that but the destination please... Islamabad to ...........
baat phuulo.n kii sunaa karate the
ham kabhii sher kahaa karate the
Buss aik teray bicharrnay ki dair thi jaisay
sematt kay agia lamhon main karb sadiyon ka
** huh, Birth certt. na bijwa dain saat main, bhai dilsay aap naam batain or pochain keh ticket hogia hay ya nahi ..... buss itni si baat hay **
baat saaqii kii na Taalii jaayegii
kar ke taubaa to.D Daali jaayegii
if someone is reading this one they will be laughing at you... ticket to hoo he jaya ga na aap nay date batayee aur na he destination... what can i do in this case....
Barish Howi To Ghar Ke Dareche Se Laag Ke Hum
Chup Chap Sogawar Tumhein Soochte Rahe
**
Bohut mushkil hay tark e aashiqi ka dard sehna bhi
Bohut doshwar hay laykin mohabat kartay rehna bhi
[forget it dilsay ... hum aap hi collect kar lain gay aap ko nahaq zehmat howi]