Shair starts with "Bay"

Bikhray huwe kaagaz bhi utha leta hoon aksar
Jab dil mein iraada ho tu socha nahe jaata
Jab dil bhi pareshaan ho muqqadar bhi bura ho
Phir ashk Arif aankh mein roka nahee jaata

Baat tu kuch na thi lekin usska aik dam
haath ko hontoa'n par rakh kar rokna achaa kaga

Bich'ra kuch iss Adaa sey key rut he badal gai
Aik Shaks sarey shaher ko Veraan ker gaya

Bich'ra kuch iss Adaa sey key rut he badal gai
Aik Shaks sarey shaher ko Veraan ker gaya

Basti ke saaray log hi aatish parast thay
ghar jal raha tha aur samundar kareeb tha

Bas ke dushwaar hai har kaam ka asaan hona
Aadmi ko bhi muyassar nahee insaan hona

Bari mushkil se dil ki be qarari ko qarar aya
keh jis zaalim ne tarpaya ussi par mujhko pyar aya

bahut pahale se un qadamo.n kii aahaaT jaan lete hai.n
tujhe ai zi.ndagii ham duur se pahachaan lete hai.n

[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *
bahut pahale se un qadamo.n kii aahaaT jaan lete hai.n
tujhe ai zi.ndagii ham duur se pahachaan lete hai.n
[/QUOTE]

Beautiful