Thanks a lot.....
baaziichaa-e-atfaal hai duniyaa mere aage
hotaa hai shab-o-roz tamaashaa mere aage
Thanks a lot.....
baaziichaa-e-atfaal hai duniyaa mere aage
hotaa hai shab-o-roz tamaashaa mere aage
Bay aab kab howi hay meray dil ki sarzameen
Aansu rukhay to soch kay chash'may ubal parray
[welcome]
ba.D gayaa thaa pyaas kaa ehasaas dariyaa dekh kar
ham palaT aaye magar paanii ko pyaasaa dekh kar
Be-chainiyaan samaytt kay saray jahan ki
Jab kuch na ban saka to mera dil bana dia
(last one, have fun with Arif
)
badalaa na apane aap ko jo the vahii rahe
milate rahe sabhii se magar ajanabii rahe
Bechain keyay rehta hai dharka yehi jee ko
Tujh mein na zamane ki koi khoo nikal aye
Phir dil ne kiya tark-e-ta'aluq ka iraadah
Phir tujh se mulakaat ke pehloo nikal aye
badalate vaqt kaa ik sil_silaa saa lagataa hai
ke jab bhii dekho use duusaraa-saa lagataa hai
**Bahut dinoo ki baat hai
Bahut dinoo ki baat hai
Fizaa ko yaad bhi nahee
Yeh baat aaj ki nahee
Bahut dinoo ki baat hai
Shabaab per bahaar thee
Fizaa bhi khush gawaar thee
Na jane kyon machal para
Mein apne ghar se chal para
Kisi ne mujh ko rok kar
Barri adaa se tok kar
Kahaa tha laut aaeyay
Meri qasam na jaaeyay
Per mujhe khabar na thee
Maahaul per nazar na thee
Na jane kyon machal para
Mein apne ghar se chal para
Mein shehar se phir aagaya
Khayal thaa ke paa gaya
Ussay jo mujh se door thee
Magar meri zaroor thee
Aur ek haseen shaam ko
Main chal para salaam ko
Gali ka rang dekh kar
Naee tarang dekh kar
Mujhe bari khushi huwi
Main kuch issi khushi mein thaa
Kisi ne jhaank kar kaha
Paraaey ghar se jaaeyay
Meri qasam na aaeyay
Wohi haseen shaam hai
Bahaar jis ka naam hai
Chalaa hoon ghar ko chor kar
Na jane jaaonga kidhar
Koi nahee jo rok kar
Koi nahee jo tok kar
Kahay ke laut aaeyay
Meri qasam na jaaeyay
Meri Qasam Na Jaaeyay !!!**
beqarar kar kae humain yun na jaaeyae
aap ko humari qasam laut aayeae........
Bujh gaee aas tu phir koi ujaala na raha
Shaam ke baad koi lautne wala na raha
Bas gaya door kaheen ja ke woh awaara mizaj
Dar khula rakhne ka koi bhi hawala na raha
Bohat mudat say maray neem wa darachay main
Thahair giya hai taray instazar ka mousam
Bekhudi ka bara sahaara hai
Warna duniya mein kya hamaara hai
Log martay hain maut aane se
Hum ko is zindagi ne maara hai
Bohut ho chuka naala e Meer~
ab koi Momin ki Ghazal ho jay
Adab Arz
Bana gulaab tu kaantay chubhaa gaya ek shaks
Huwa chiraag tu ghar hi jala gaya ek shaks
Badal saka na judai kay ghum utha kar behi
Ka main tu main he raha tum say door jaa kar behi...
QUOTE]*Originally posted by Azad: *
Buss aik teray bicharrnay ki dair thi jaisay
sematt kay agia lamhon main karb sadiyon ka
[/QUOTE]
excellent sher azad !!!
boorah (old man) jo bechta tha sar_e shaam chok mai
phooloa'n ke haar thay ya wo beti ke khawaab thay???
**bay to bay ha bay say kia kahoon
**bay suna ha to intazarr kar zara khana khaa kar ataa hon ![]()
![]()
Ya Bay say itni achi Bakwas kar ka khanay khanay chala giya..... ya tu Bawaqufee ke baat hai....
**
badan me.n aag sii cheharaa gulaab jaisaaa hai
ke zahar-e-Gam kaa nashaa bhii sharaab jaisaa hai
**
[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *
Ya Bay say itni achi Bakwas kar ka khanay khanay chala giya..... ya tu Bawaqufee ke baat hai....
**
badan me.n aag sii cheharaa gulaab jaisaaa hai
ke zahar-e-Gam kaa nashaa bhii sharaab jaisaa hai
**
[/QUOTE]
**bay say Bawaqufee bay say Bakwas
**bay say boohat mubarak ap ko ap kee ye pareshaniyaan :p