aage ba.De na qissaa-e-ishq-e-butaa.N se ham
sab kuchh kahaa magar na khule raazadaa.N se ham
Aaeena toot gaya aks bhi toota ho ga
Kis nay socha tha yeh anjaam-e-tamanna ho ga
What happened???
No further replies ???
Alrite… I think Dilsay has left and we dont’ have any other active participant ![]()
Before leaving, Im adding the last one here !
Apne akelaypan ka mein kis se gila karoon
Jis ko bhi murr ke dekha woh tanhaeyoon mein hai
![]()
aah ko chaahiye ik umr asar hone tak
kaun jiitaa hai terii zulf ke sar hone tak
Yes i was not around....
aa_ii na phir nazar kahii.n jaane kidhar ga_ii
un tak to saath gardish-e-shaam-o-sahar ga_ii
Is mein qismat ki khata hai na zamane ka qusoor
Gham tu insaan ke jeene ki saza hotay hain
aaiinaa kyuu.N na duu.N ke tamaashaa kahe.n jise
aisaa kahaa.N se laauu.N ke tujhasaa kahe.n jise
Is qadr musalsal theen shiddatein judayi ki
Aaj pehli baar mein ne us sey beywafai ki
Warna ab talak yun tha khuhishon ki baarish mein
Ya tu toot kar roya ya ghazal sarai ki
Ajeeb lutf sa hai titleyoon ke pyar mein ay 'Sahil'
Woh phool phool se milna, guzarishein karna
Aasman ke auj sey afkaar ko wapas bula
Yeh zameen sab kuch hai nadaan! aasmann kuch bhi nahi
Azm-o-himmat key karishmey hain yeh ahl-e-chaman
Azm ho dil mein tu yeyh daur-e-khazaan kuch bhi nahi
itnae achchae musum main
ruthna nahin achcha
har jeet ki baatain,
kal pae hum utha rakhain
aaj doosti kar lain....
Aaeney ki aankh hi kuch kam na thee merey liye
Jaaney ab kia kia dikhaye ga tumhara dekhna
nice idea:k:
agar jana ho to qadmo ke neshan bhi sath lee jana
tumhare yaad mein takta raho ga rah-e-guzar kab tak
Abb kay gar tu milay to hum tujh say
aisay liptain terii qaba ho jain
**Ahteraam ki baat hey warna Munir socho to **
jo shakhs sun sakta hey wo bol bhi to sakta hey!
b/w nice idea Dilsay :k:
Thanks for liking the idea....
aaj ashko.n kaa taar TuuT gayaa
rishtaa-e-intazaar TuuT gayaa
Aay shama' teri lu main woh kon si khoobi hay
Jo tujh say ghalay mil kar jal jata hay parwana
Apnay kirdar ko mausam se bacha kar rakhna
laut kar ati nahin pholoon mein khusbhoo kabhi!
Gr8 idea dilsay ji aap ka kiya kehna per aap ko alif kyoon yaad aya Bey kyoon nahi..!