Shair starts with "Alif"

aaj jaane kii zid na karo
yuu.N hii pahaluu me.n baiThe raho
haaye! mar jaaye.ge, ham to luT jaaye.ge
aisii baate.n kiyaa na karo

Admi totata hai kaisey tumhain kya maloom?
tum nay dekha hi nahin dard ka lamha koi!

aaj ke daur me.n ai dost ye ma.nzar kyuu.N hai
zaKhm har sar pe har ik haath me.n patthar kyuu.N hai

Ahsaas dil sey kabhi juda ho nahi sakta
Insaan kabhi insaan sey khuda ho nahi sakta

aaj kii raat bhii guzarii hai merii kal kii tarah
haath aaye na sitaare tere aa.Nchal kii tarah

Is sukoot-e-shab mein bhi apna piyaam rakh dia
Jijr ki raat baam per maah-e-tamaam rakh dia

aaj kisii ne baato.n baato.n me.n, jab un kaa naam liyaa
dil ne jaise Thokar khaa_ii, dard ne ba.Dakar thaam liyaa

Aik naam kia likha taira sahil ki rait per
phir umar bhar hava se mairi dushmani rahi

aaj kyaa dekhaa Khalaao.n ke sunehare Khvaab me.n
reg_zaaro.n ke sivaa kuchh bhii nahii.n mah_taab me.n

Uss aankh se jo hamari taraf kabhi na uthi
aab aik jahan ko hamara suragh milta hai

aaj mere shab-e-furqat kii sahar aa_ii hai
muddato.n baad terii raahaguzar aa_ii hai

armanoo ke sonae ghar mein har aaht beganee nilkalee
dil ne jub nazdeek se dekha to har soorat anjanee nikalee

Ana ki qed se nikley mukaabila tu karey
woh mera saath nibhaaney ka hosla tu karey
kabhi na tootney wala hisaar bann jaaun
woh meri zaat mein rehney ka fesla tu karey

[QUOTE]
*Originally posted by &Passionate: *
Ana ki qed se nikley mukaabila tu karey
woh mera saath nibhaaney ka hosla tu karey
kabhi na tootney wala hisaar bann jaaun
woh meri zaat mein rehney ka fesla tu karey
[/QUOTE]

Beautiful

Uss say bichrray hain to ihsass howa hay Nasir~
Haal itna to na tha pehlay preshaan apna

Usay ya dar ka sitaray na guftgoo soon lain
Mujahay ya fikar ka souraj nikalnay wala hai

kiya howa... khatam hoo gaya kiya.....