Shair starts with "Alif"

This is just an idea can we start something like this to post all Shair starting with “Alif” and thn we will move on “Bay”… If you like the idea please lets start… One person can only post one at a time… and give trun to other one…

Agar choop chap tum dekhoo tu dam aram say niklay
Idahar hum hichkee latay hain udahar tum roonay lagta hoo

Nice idea :k:

Is kadar tera tassavur kabhi barh jaata hai
Ke zarray zarray mein tera aks nazar aata hai
Teri mehfil mein pohanchne ko pohanch tu jaon magar
Teri ruswai ka reh reh kar khayal aata hai

*aa bhii jaao kii zindagii kam hai
tum nahii.n ho to har Khushii kam hai *

Allah karay ka jahan ko mari yaad bhool jaya
Allah karay ka tum kabahi asa na kar sakoo

aa chaa.Ndanii bhii merii tarah jaag rahii hai
palako.n pe sitaaro.n ko liye raat kha.Dii hai

Ik pathar idhar aaya hai tu is soach main hon
Meri is shahar main kis kis say shanasai hai

aa jaaye.n ham nazar jo koii dam bahut hai yaa.N
mohalat basaa.N-e-barq-o-sharaar kam bahut hai yaa.N

Is qissay ko choro kis kis ne nashaad kiya
Apni dua hai shaad rahay woh jis ne humein barbad kiya

*aa ki merii jaan me.n qaraar nahii.n hai
taaqat-e-bedaad-e-intazaar nahii.n hai *

Aaye tu yun ke jaisay hamesha thay meharbaan
Bhoolay tu yun ke goya kabhi aashna na thay

aa ke patthar to mere sahan me.n do-chaar gire
jitane us pe.D ke phal the pas-e-diivaar gire

:smack:

yei thread open kerene ke bih kia zeroret tih :biggrin: :rolleyes:
sarei thread pehlei he ap dono ne satyanas ker dieye hei :crying:

Yaar hum to sub ko welcom kartay hain… you are also welcome

aabalaapaa ko_ii is dasht me.n aayaa hogaa
varnaa aa.Ndhii me.n diyaa kis ne jalaayaa hogaa

Ab tu aajaa ke tera rasta taktay taktay
Meri ankhoo mein khatakne lagi hai benaii bhi

Will you please clarify ?

aadam kaa jism jab ke anaasar se mil banaa
kuchh aag bach rahii thii so aashiq kaa dil banaa

In hasratoon se keh do kaheen aur ja basain
Itni jagah kahaa hai dil-e-daghdaar mein

aadamii aadamii ko kyaa degaa
jo bhii degaa vahii Khudaa degaa

Us shaks se wabasta khush fehmi ka yeh aalam hai
Maut ki hichki aayee tu main samjha ke us ne yaad kiya