aadamii aadamii se milataa hai
dil magar kam kisii se milataa hai
Ab isay log samajhtay hain giraftaar mera
Sakhta naadim hai mujhe daam mein lanewala
Kya kahain kitne maraasim thay hamaray is se
Woh jo ik shaks hai munh phair ke jane wala
aadatan tum ne kar diye vaade
aadatan ham ne aitabaar kiyaa
terii raaho.n me.n baarahaa ruk kar
ham ne apanaa hii intazaar kiiyaa
ab naa maa.Nge.nge zindagii yaa rab
ye gunaah ham ne ek baar kiyaa
Aaj us ne mizaaj poocha thaa
Ji mein aya, is qadar keh doon
Aap ki be'aetenaeyoo ke sabad
Zindagi maut se bhi bad-tar hai
PEr nahee, kuch nahee kaha mein ne
Woh naram dil ka maalik hai
Baat sun'ta udaas hojata
Haan magar, is qadar kaha mein ne
Haal pehlay se kuch tu behtar hai
aaj to be-sabab udaas hai jii
ishq hotaa to ko_ii baat bhii thii
jalataa phirataa huu.N kyuu.N do-paharo.n me.n
jaane kyaa chiiz kho ga_ii merii
vahii.n phirataa huu.N mai.n bhii Khaak ba-sar
is bhare shahar me.n hai ek galii
chhupataa phirataa hai ishq duniyaa se
phailatii jaa rahii hai rusvaa_ii
ham_nashii.n kyaa kahuu.N ke vo kyaa hai
chho.D ye baat niind u.Dane lagii
aaj to vo bhii kuchh Khaamosh saa thaa
mai.n ne bhii us se ko_ii baat na kii
ek dam us ke haath chuum liye
ye mujhe baiThe baiThe kyaa suujhii
tuu jo itanaa udaas hai 'Nasir'
tujhe kyaa ho gayaa bataa to sahii
Apni palkoo main chupaya mujhe tu ne us wakt
Jab sar-e-rah har ek fard mere qaatil thaa
Apne Aanchal pe sitaroon se Mera Nam na Likh
Mein Tera Khawab hoon Palkoon pe Saja le Mujh Ko
*Aaj bhi phir wohi sakoot hai khamoshi hai
Aaj shayad ke teri yaad phir se aaee hai
Aaj shayad mujhe ehsaas hai judaee ka phir
Aaj shayad ke kaheen phir se tu laut ayee hai
*
*aafat kii shoKhiyaa.N hai.n tumhaarii nigaah me.n
mehashar ke fitane khelate hai.n jalwa-gaah me.n *
Ab tak dil-e-khush feham ko hain tujh se umeedain
Yeh aakhri shammain bhi bhujaane ke liye aa
aaye kuchh abr kuchh sharaab aaye
us ke baad aaye jo azaab aaye
baam-e-miinaa se maahataab utare
dast-e-saaqii me.n aaftaab aaye
Ab kaun se mausam se koi aas lagaaye
Barsaat mein bhi yaad na jab un ko hum aaye
aag hai paanii hai miTTii hai havaa hai mujh me.n
aur phir maananaa pa.Dataa hai ke Khudaa hai mujh me.n
Aik safeena hai teri yaad agar
Aik samundar hai meri tanhaee
aag ho to jalane me.n der kitanii lagatii hai
barf ke pighalane me.n der kitanii lagatii hai
Aaj dil pe koi zor chalta nahee
Muskurane lage thay magar ro pare
Roz hi ki tarha aaj bhi dard thaa
Hum chupane lage thay magar ro pare thay
Aur ab kya kahein kya huwa hai humein
Tum tu ho bekhabar hum bhi anjaan hain
Bas yehi jaan lo tu bohut hoga
Hum bhi rakhte hain dil hum bhi insaan hain
Muskuraate huwe hum bahaana koi
Phir banaane lage thay magar ro pare
Hain sitare kahaan itne akaash per
Har ek koi agar ik sitara mile
Kashtiyoo ke liye yeh bhanvar bhi tu hain
Kya zaroori hai har ek ko kinaara mile
Bas yehi soch kar hum bare hi chain se
Doob jane lage thay magar ro pare
Umer bhar kaash hum yunhi rote rahein
Aaj humein kyo ke yeh huwi hai khabar
Muskurahat ki tu koi keemat nahee
Aansoo'oon se huwi hai hamari qadar
Baadaloo ki tarha hum tu barse bina
Lout jaane lage thay magar ro pare
:( :( :(
aaGaaz to hotaa hai anjaam nahii.n hotaa
jab merii kahaanii me.n vo naam nahii.n hotaa
Aaj woh muddat baad aaee bhi
Bas yeh kehnay
Jaanaan !!!
Mere saare khat lauta doo
Sab tasveerain, qalam, kitaabain
Waapis kar do saare tohfay
Mujh se sab kuch maangne waali
Jaate jaate
Mere kamre ki chaukhat per
Chor gaee hai
Apna aap
:( :( :(
aag puurii kahaa.N bujhii hai abhii
diidaa-e-tar me.n tishnagii hai abhii
Ay baghbaan tujh ko, kya kya nishaan batayein
Ujra thaa Aasheyaana, mera yaheen kaheen se