Sad songs

Ab naam muhabbat ke ilzaam tu aaya hai
Tum jo bhi saza de do sar hum ne jhukaaya hai
Tum ne hi hansi di thee, tum ne hu rulaaya hai
Kya pyar mein chaaha thaa kya pyar mein paaya hai

Mujhe teri chaahat ke gham ki kasam
Zamaane ke har ek kasam ki kasam
Mein tere liye hoon tu mere liye
Sitamgar tere har sitam ki kasam...........

Dil mein aag lagaaye
Saawan ka maheena
Nahe jeena nahee jeena
Oh tere bin nahee jeena

Tu ne mujhe jo zakhm diye
Un zakhmoo ko nahee seena

"Nahe jeena nahee jeena oh tere bin nahee jeena"

Anyone likes me to share the whole here?
Also, if someone wants me to share any comple sad song they like, it wud be my pleasure !

Huwi aankh num aur yeh dil muskuraaya
Tu saathi koi bhoola yaad aaya

Kya yeh pyar karne ka anjaam hai
Dil lagaane ka yeh kaisa inaam hai
Hansi jis ko di hai ussi ne rulaaya
Tu saathi koi bhoola yaad aaya

:(

Hum thay jin ke sahaaray
Woh huwe na hamaaray
Doobi jab dil ki naeyya
Saamne thay kinaaray

Yun tu duniya basay gi
Tanhaee phir bhi dasay gi
Jo zindagi mein kami thee
Woh kami tu rahay gi

Hai sabhi kuch jahaan mein
Dosti hai wafa hai
Apni yeh kam naseebi
Hum ko na kuch bhi mila hai

:(

Jeeta thaa jis ke liye
Jis ke liye marta thaa
Ek aisi larki thee
Jissay mein pyar karta thaa

Jaan se bhi zeyada chaaha thaa jis ko
Us ne hi dhoka diyaaaaaaaa

:(

Jeeyay tu jeeyay kaise bin aap ke
Lagta nahee dil kaheen bhi bin aap ke

:(

Hmmmmmmmmmmmmmm
Kuch log muhabbat kar ke ho jatay hain barbaad
Kuch log muhabbat kar ke kar detay hain barbaad
Kis naam se yaad karenge hum tu ko aaj ke baad

:(

arifnawaz, love ALL the songs uve posted today. they’re all :k:

Thanks Moona… !
:slight_smile:

Do dil toote do dil haaray
Duniya waaloon sadkay tumharay

:(

Kya huwaaaaaaaa tera waada
Woh kasam woh iraada
Bhooleyga dil jis din tumhein
Woh din zindagi ka aakhri din hogaaaaa

Kya huwaaaa tera wadaaaa
Woh kasam woh iraadaaa

Yaad hai mujh ko tu ne kahaa thaa
Tum se nahee rootheynge kabhi
Dil ki tarha jo haath milay hain
Kaise bhalaa chootenge kabhi
Teri baahoon mein beeti har shaam
Bewafa yeh bhi kya yaad nahee

Kya huwaaaa tera wadaaaa
Woh kasam woh iraadaaa

:(

Meri qismat mein tu nahee shaayad
Kyo tera intezaar karta hoon
Mein tujhe kal bhi pyar karta thaa
Mein tujhe ab bhi pyar karta hoon

:(

Na koi umang hai...
Na koi tarang hai...
Meri zindagi hai kyaaaaaa
Ek katti patang hai... !

:(

Qismat waaloon ko
Milta hai pyar ke badlay pyar
Hum ko phooloon ke badlay
Kaantoon ke haar

Qismat waaloon ko
Milta hai pyar ke badlay pyar

:(

Woh bhooli daastaaaan
Lo phir yaad aagaeee
Nazar ke saamne
Ghatta si chaah gaee

:(

Khata to jab ho ke hum haal e dil kissi se kahen
Kissi ko chahate rehna koi khata to nahin...

-Dil Ka Kya Kasoor

-aaj puraanii raahon se, koii mujhe aavaaz na de (Rafi)
-aapane yaad dilaayaa to mujhe yaad aayaa (Rafi-Lata)
-bharii duniyaa men aakhir dil ko samajhaane kahaan jaaen (Rafi)
-jaane vo kaise log the jinake pyaar ko pyaar milaa (Hemant Kumar)
-chaaNd phir nikalaa, magar tum na aaye (Lata)
-chalo ik baar phir se, ajanabii ban jaayen ham donon (Mohindar Kappor)
-guzare hain aaj ishq men ham us maqaam se (Rafi)
-hai isii men pyaar kii aabaruu, vo jafaa karen main vafaa karuuN (Lata)
-ham the jinake sahaare, vo hue naa hamaare (Lata)
-jaane kahaan gae vo din, kahate the terI raah men (Mukesh)
-kyaa se kyaa ho gayaa, bevafaa, tere pyaar men (Rafi)
-mere saajan hain us paar, main man maar, tuu us paar (S D Burman)
-mujhe dard-e-dil kaa pataa na thaa, mujhe aap kis liye mil gaye (Rafi)
- phir vohii shaam, vahii Gam, vahii tanahaaI hai (Talat)
-vo bhuulii daastaan, lo phir yaad aa gaii (Lata)

and many more..

Ye safar bahut hai kathan magar
na udaas ho meray humsafar
nahin rehnay wali ye mushkilen kay hain
haar aik morh per manzilein
zara deer iss main lagay agar na udaas ho meray Humsafar!

O jane wale ho sake to laut ke ana
ye ghat tu ye baat kahin bhool na jana
O jane wale..
Bachpan ke tere meet tere sang ke sahare
dhoondenge tujhe gali gali sab ye gum ke mare
poochhegi har nigaah kal tera thikana
O janewale..

Nadaan, nasamajh, paagal deewana
Sab ko apna, maana tu ne, magar yeh na jaana

Matlabi hain log yahaan per, matlabi zamaana
Socha saaya saath deyga, nikla woh begaana, begaana
Apnoo mein, mein begaana begaana

:(