Sad songs

Lets share the sad songs we like the most.For me,one of them is:
Jana tha hamse door bahane bana liye
ab tumne kitni door thikane bana liye

Rookhsat ke waqt tumne jo aansoo hame diye
un aansoons se hamne phasane bana liye
ab tumne…
Dil ko mile jo daag jigar ko mile jo dard
un daulton se humne khazane bana liye.
ab tumne…

deekay ji

i have many sad songs 2 share ;)
but one is

Aisay veeranay main aik din ghut k marjiengey hum
jitna ji chahaye pukaro phir nahin ayengey hum
ye mera deewana paan hai ya mohabbat ka suroor
tu na manay tu hai ye teri nazaroon ka kusoor!!

aieen no body here dekkay ji awwww

chalo aik aur sad one mera fav ;)

manzilein apni jaga hain rastaay apni jaga
jaab qadam hi saath na dein tu musafir kia karay!!

ayee tum yaad mujhay
ganay lagi haar dharkan
......

Lo aa gayi un ki yaad
Voh nahin aaye...

Lata M. song

Tanhaaayi, tanhaaaayi meeelon hai phaili hui tanhayi

Shaam dhal rahi hai by Ali Haider

shaam dhal rahi hai Tum yaad aarahe ho
shaam dhal rahi hai

Aasman bhi rota hai mera gham sunney ke baadd
Aasman bhi rota hai mera gham sunney ke baadd
shaam dhal rahi hai Tum yaad aarahe ho
shaam dhal rahi hai

muskuraatey phoolon par larza shabnam dekh ker
muskuraatey phoolon par larza shabnam dekh ker
shaam dhal rahi hai Tum yaad aarahe ho
shaam dhal rahi hai

aainaa khamoosh hai buujh gaye ghar ke chiraagh
shaam dhal rahi hai Tum yaad aarahe ho
shaam dhal rahi hai...........

staind - outside

Ajnabi sheher kay, ajnabi rastey
Meri tanhaii par, muskuratey rahay
May bohat dair tak, yunhi chalta raha
Tum bohat dair tak, yaad atay rahay

Zakhm jab bhi koi, zehn-o-dil ko mila
Zindagi ki taraf, ik dareecha khula
Ham bhi goya kisi, saaz kay taar they
Chot parti rahi, mukuratay rahay

Zeher milta raha, zeher peetay rahay
Roz martay rahay, roz jeetay rahay
Zindagi bhi hamay azmaati rahi
Or ham bhi usay azmaatay rahay

Ajnabi sheher kay, ajnabi rastey
Meri tanhaii par, muskuratey rahay
May bohat dair tak, yunhi chalta raha
Tum bohat dair tak, yaad atay rahay

now this one is one the best no doubt abt it. :k:

and another one which I can think is

“chand phir niklaa, magar tum na aaye”
" jalla phir meraa dil karoon kyaa mein haaye"

I assume sung by latta again.

well my favs always been"tujhay yaad na meri ayi" its awesome.

chitti na koyi sandesh...janne woh konsa desh jahan tum challey gaye
iss dil pey laga key thessh..janne woh konsa desh jahan tum challey gaye
aik aaah bharii hogeee...hum ney naa sunee hogeee...jaate jaate tum ney awaaz tou dee hogeee....har waqt yahee hai ghum uss waqt kahan they hum...........
and so it goes on...... :(

Sorry for being away from the forum as I was on vacation.
Kabhi tanhaion mein yun hamari yaad ayegi
andhere chcha rahe honge ke badli kaundh jayegi

Bachpan ki mohabbat ko dil se na juda karna
jab yaad meri aye milne ki dua karna

Tujhe yaad na meri aaye kissi se ab kya kehna...

-Kuch Kuch Hota Hai

Neela asmaan sogaye .........

Ulfat ki nai manzil ko chala tu daal ke bahein bahon mein
dil torne waale dekh ke chal hum bhi to pare hain rahon mein

ZIndagi hai meri janay kaisa safar
ajnabi hogaye haar raah guzar!

Waqt ne kiya kya haseen sitam
tum rahe na tum hum rahe na hum
waqt ne kiya...

A typical sad song but sung in masti.
Nigahein mila kar badal jane wale
mujhe tujhse koi shikayat nahin hai
ye duniya badi sangdil hai yahan par
kisiko kisi se mohabbat nahin hai

This is Mr. DJ speaking!

Even though ain't no Punjabi but Teri Yaad Sajjad Ali is a killer song.