Sad songs

Yaad sajan di ayee
ankh ranj o alam bhar ayee!

Sad songs and waltzes aren't selling this year....

-Cake

gaa raha hoon is mehfil mein…
aap ki mohabbat hai…
aaj hoon mein jo kuch bhi voh…
aap ki inayat hai

-Dil Ka Kya Kasoor :blush:

Janay dil main kab sey hai tu
jab sey main hoon tab sey hai tu
mujh ko meray rab ki kasam yara rub sey pehlay hai tu!

1) Agar dilbar ki rusva~ee hamaiN manzoor ho ja~ay
Sanam tou baywafa kay naam say mush~hoor ho ja~ay

2) Yaad aa rahi hay, tairi yaad aa rahi hay
Yaad anay say, tairay janay say, jaan ja rahi hay
Yaad a aa rahi hay

3) Onchay neechay raastay aur manzil tairi door
Raah maiN rahi ruk na jana ho kar kay majboor

4) Is mordh say jatay haiN
Kuch sust qadam rastay
Kuch taiz qadam rahaiN

Pathar ki havaili ko
Sheeshay kay gharoundooN nay
TinkooN kay nashaiman tak
Is mordh say jatay haiN

Andhee ki tarhaaN urh kar
Iyk raah guzarti hai
Sharmati ho~ee ko~yee
QadmooN say utarti hai
In raishmi rahooN maiN
Iyk raah to voh hogi
Tum tak jo phoonchti hai
Is mordh say jati hai
Is mordh pay jatay haiN

Iyk door say ati hai
Paas aa kay palat~ti hai
Iyk raah akailee si
Rukti hai na chalti hai
Yeh soch kay baithi hooN
Iyk raah to voh hogi
Tum tak jo phonchti hai
Is mordh say jati hai
Is mordh pay jatay haiN

hum bewafa hargiz na thay.. par hum wafa kar na sakay..

yesh iam in love with that song :p

meray mehboob qayamaat hogi
aaj ruswa teri galiyoon main mohabbat hogi
meri nazarien tu gila karti hain
tujh sey aye sanam meray dil ko bhi shikayaat hogi!

[QUOTE]
*Originally posted by X_Communist: *
Ajnabi sheher kay, ajnabi rastey
Meri tanhaii par, muskuratey rahay
May bohat dair tak, yunhi chalta raha
Tum bohat dair tak, yaad atay rahay

Zakhm jab bhi koi, zehn-o-dil ko mila
Zindagi ki taraf, ik dareecha khula
Ham bhi goya kisi, saaz kay taar they
Chot parti rahi, mukuratay rahay

Zeher milta raha, zeher peetay rahay
Roz martay rahay, roz jeetay rahay
Zindagi bhi hamay azmaati rahi
Or ham bhi usay azmaatay rahay

Ajnabi sheher kay, ajnabi rastey
Meri tanhaii par, muskuratey rahay
May bohat dair tak, yunhi chalta raha
Tum bohat dair tak, yaad atay rahay
[/QUOTE]

zabardast choice.....
shaam dhal rahi hai-ali haider

tarap tarap ke is dil se-salman khan and aishwariya

haar gayi-shehzaad roy

when i come home tonight-allymcbeal

and the jagjit's song in TUM BIN

Mujhe koi Zaher de de, hans ke main pe loon ga
har dard seh loon ga, har haal mein jee loong ga

Dard-e-jodai seh na sakoon ga
Tere bina main reh na sakoon ga

Jeye tu jeye kese
Bin apke

:crying:

blue cantrel - hit em up style

not a sad song at all, brings back a heap load of memories though.

chingari koi barhkay tu sawan ussey bhujaye ...!

Ghnughroo ki tarha bajta hi raha hoon mein !!!

mera jeevan kora kaghaz
kora he reh gyaaaaaaaa

1.Sung by Surendra,Music Naushad,Lyrics Tanvir Naqvi,Film Anmol Ghadi which was made ,I think,during the pre-partition time and had some great songs by Noor Jahan.

Kyon yaad aa rahe hain guzre hue zamane
wo dukh bhare fasane,rotey hue tarane
Kisko suna rahe hain,kyon yaad rahe hain

Kyon muskura rahe hain,dekho agar to samjho
aansu baha rahe hain
Kyon yaad....

Kya baat hai na jaane,kyon siskiyon ki lai par
gaate hain gum ke gaane
Hum bhor ke diye hain,bujhte hi ja rahe hain.
Kyon ....

2.Noor Jahan from Intezaar.
O jane wale re thehro jara ruk jao laut ao

Ik baat meri sun jana,main tumko sadayen deti hoon
mera bachpan tumne bhulayambahut tarpaya,mujhe bhulaya
Bhool jaane wale re,thehro jara....

Maine pyaar kiya dukh paya,tum haal ne mera jaan sake
main to dard ki dhun mein khoi,chhamachham roi
par tum na mujhe pehchan sake
Tarpane wale re,thehro jara....
3.Kishore Kumar,Sahir Ludhianwi,Hemant Kumar and film-Girl Friend

Aaj rona para to samjhe hansne ka mol kya hai
Sapna...spana...khone para to samjhe hansne ka mol kya hai
aaj...

Khwabon ki haqiqaat kya thi,armaan ki kimat kya thi
apnon ki mohabbat kya thi,gair hona para to samjhe
Aaj....
Sukh milte hain kis mushkil se,kya karti hai duniya hai dil se
tukron mein bhari mehfil ko,khona para to samjhe
Aaj...
Nikle they jinhen apnane,wo log they sab begane
Is baat ko hum diwane,chain khona para to samjhe.
Aaj...

Lo aa gayi un ki yaad voh nahin aaye...

Jo hum ne daastaan apni sunaee, aap kyon rooye
Tabaahee tu hamaare dil pee aee, aap kyon rooye

:(

Rahaa gardishoon mein har dam, mere ishq ka sitaara
Kabhi dagmagaee kashti, kabhi kho gaya kinaaraa

Koi dil ke khel dekhay, ke muhabbaton ki baazi
Woh qadam qadam pe jeetay, mein qadam qadam pe haara

Paray jab ghamoon se paalay, rahay mit ke mitnay walay
Jissay maut ne na poocha, ussay zindagi ne maara

Yeh hamaari badnaseebi jo nahee tu aur kya hai
Ke ussi ke hogaye hum, jo na hosaka hamaara

:(

Aah dil se nikli tapka lahoo zigar se
shayad wo ja rahe hain chhup kar meri nazar se

maloom kya tha dil pe ik ye sitam bhi hoga
aayenge aur akar fir jayenge wo daar se

wo jaante to honge mazboorian hamari
hum jinko dekhte hain hasrat bhari nazar se

hum ho gaye paraye ab unse wasta kya
keh de ye unse koi gujre na wo idhar se

From Mela,sung by Zohra bai ambalewali,lyrics:Shakil badayuni,Music Naushad.

arifnawaz,

jo hum ne daastaan…

:k: :k: :k:

Thanks Mona !