Re: Poet of the Month.... Allama Iqbal
Arif bhai: post 73 :(
challaiN koi naheeN... re-sharing is also good... waiting for more....
Re: Poet of the Month.... Allama Iqbal
Arif bhai: post 73 :(
challaiN koi naheeN... re-sharing is also good... waiting for more....
Re: Poet of the Month.... Allama Iqbal
May jabhee tak thaa kay teri jalwa peeraey na thi
Jo namood day haq say mith jata hay woh baatil hoon may
Ilm kay dariya say niklay ghoota zaan gohaar baadast
Why mehroomi! khaazaf cheenay laabay sahil hoon may
hay meri zillat he koch meri shaaarafat ki dalil
Jis ki ghaflat ko mulk rotay hain woh ghafil hoon may
Bazmay haasti apni araish pay tu naaza na hoo
Tu tuu aik tasveer hay mehfil ki aur mehfil hoon may
Dhoondta phirta hoon aey Iqbal Apnay app ko
App he goya musafeer app he maanzil hoon may ...
*
Re: Poet of the Month… Allama Iqbal
"there are hundred world from star to starwhen ever intellect flies it find new world
but when I look deep inside my self
Lo! bond less ocean was hidden in me"
Allama Iqbal
rooh ko chotay huway ek nazaray jasa
tha woh ek shaks yaha subha kay taray jasa
fikar thi sub say juda, khwaab anokhay uskay
phir bhi lagta tha bahrung hamray jasa
phelti jati hai saray mai wohi bang-e-dara
goonj mai jis ki hawa seel, kinaray jasa
sham ki dundh mai ata hai bohat yaad hamay
us ka chehra tha ghani shab mai sitaray jasa
a’ain gay aur bhi dunia mai sukhan warr lakho
par na hoga koi Iqbal tumharay jasa
written by..
Amjad Islam Amjad
Re: Poet of the Month… Allama Iqbal
v nice shabo ![]()
Re: Poet of the Month.... Allama Iqbal
Shab: that's a great poem of AIA and I have read it for the first time.. which also tells me we can post poems ABOUT the poet too, not necessarily BY the poet...
And, therefore, this reminds me about My first ever COMPLETE poem written back some where in early 2000... though I had been writing individual shers since early 90's...
A first attempt and hence not a very good hold on words I suppose....
Iqbal nay faqat ik khwaab dekha thaa
Kay Muslim maiN ho Cheetay ka jiger paida
Nazar Uqaab kee, parvaaz Baaz jaisee
Ho na sakaa chaman maiN deedawar paida
Najaanay aaey kitnay hee iss kay baa'd
Nigah-e-kargas liyeh, huvay dil-e-buuz paida
QissaY reh gaye baaqi, abb aslaaf kaY shaayad
iss daur maiN hotaY naheeN Ibn-e-Qasim paida
Gar har khwaab kee hotii hay taa'beer, Anwaar
Shaayad ho kaheeN Iqbal kaa ShaheeN paida
Re: Poet of the Month… Allama Iqbal
^woww to me the words, flow, thoughts every thing is perfect :k: … love the last shair ![]()
Re: Poet of the Month.... Allama Iqbal
Awaz-e-gaeeb
ati hai dam-e-subha sada arsh-e-baree--n say
khoya gya kis tarha tera johr-e-idrak!
kis tarha huw kund tera nashtar-e-tahqeeq
hotay nahi tumjh say kyu sitaroon kay jigar chaaq
tu zahir-o-batin ki khilafat ka saza-war
kya shola bhi hota hai gulam-e-khas-o-khasak
mehr-o-mah-o-anjum nahi mehkoom teray kyu
kyu teri nigahoo'n say larztay nahi aflaq
ab tak hai rawa'n garchay lahoo teri ragoo'n mai
na garmi-e-afkaar, na andesha-e-baybak
roshan to hoti hai jahan bee'n nahi hoti
jis ankh kay pardoo'n mai nahi hai naga pak
baqi na rahi teri woh a'aina zameri
aye kashta-e-sultani-woh-malaye-woh- peri
Re: Poet of the Month.... Allama Iqbal
Muhubbat
Shaheed-e-muhubbat na kafir na ghazi
Muhubbat ki rasmin na Roomi na Razzi
Woh Muhubbat nahi kuch or shai hai **
**Sikhati hai ju Ghaznavi ko Iyazi
Turki bhi sheerin Tazi bhi sheerin
Harf-e-Muhubbat na Turki na Tzzi
PS: I am forgetting a Misra or some words please correct. Thanks
Re: Poet of the Month… Allama Iqbal
Qarri nahi Ghazi hai
(5)
Koi andaza kar sakta hai os ky zory bazoo ka:confused:
Nigahy Mardy Moamin sy badal jati hain taqdeerin
Re: Poet of the Month.... Allama Iqbal
One of my favorite poem on Iqbal day
khuda se husn ne ik roz yeh sawal kiya
jahaan mein kiyoon naa tu ne mujhe laa zawaal kiya
mila jwab ke tasveer-e-khana hai duniya
shab daraz-e-adam ka fasana hai duniya
hoii hai jab rang-e-taghayyar se namood us ki
wohi haseen hai haqeeqat zawal hai jis ki
Re: Poet of the Month.... Allama Iqbal
**Aata hai yaad mujhko guzra hua zamana
woh baagh ki bahaaren woh sub ka chah-chahaanaa
azaadiyaan kahaan wo ab apne ghonsale ki
apani khushi se aanaa apani khushi se jaana
lagti ho chot dil par, aata hai yaad jis dhum
shabnam ke aansoon par kaliyon ka muskurana
woh pyari pyaari surat, wo kaamini si murat
abaad jis ke dhum se thaa mera aashiyanaa
Allama Iqbal**
Re: Poet of the Month.... Allama Iqbal
yeh sahar jo kabhi fardaa hai kabhi hai amroz
nahi maloom ke hoti hai kahaan se paida
woh sahar jis se larazta hai shabistaan-e-wajood
hoti hai banda-e-maumin ke azaan se paida
Re: Poet of the Month.... Allama Iqbal
i havn't read alot of iqbal, but there is no doubt he had a superb control over urdu and has produced very good urdu poetry though it is quite difficult to understand for laymen.
Re: Poet of the Month.... Allama Iqbal
Koi Qaabil Ho To Hum Shaan-e-Kaee Detay Hain
Dhoond'nay Walay Ko Dunya Bhi Naee Detay Hain
Re: Poet of the Month.... Allama Iqbal
Anokhi waza hai sary zmany sy niraly hain
Yeh ashiq konsi basti ky Ya rab rehny waly hain
Re: Poet of the Month… Allama Iqbal
From Armaghaan-e-Hijaaz:
Re: Poet of the Month… Allama Iqbal
Re: Poet of the Month.... Allama Iqbal
**Thaa Takhaiiyu'L jo humsafar mera
AasmaaN par huvaa guzar mera
uRtaa jaataa thaa, aur naa thaa koie
Jaan-nay waalaa charkh par mera
Taaray hairat say dekhtay thay mujhay
Raaz-e-sarbastaa thaa safar mera
****Halqa-o-Subh-o-shaam say niklaa
Iss puraanay nizaam say nikla
****Kiyaa sunaaouN tumhaiN irem kiyaa hai
Khaatim-e-Aarzu-e-deedah-o-gosh
Shaakh-e-Tuba pay naghma rez taiiyu'r
bay hijaabaanaa Hoor jalwah farosh
Saaqiyaan-e-Jameel Jaam-e-ba dust
peenay waalouN main shor-e-noshaa nosh
Dooor jannat say aankh nay dekha
Aik taareek khaanaa-e-sard-o-kh'mosh
Taale'y Qais-O-Gaysu'-e-Laila
uss kee taareekiyouN say dosh ba dosh
khun'k aisa kay jiss say sharmaa kar
kur-rah-e-zamhareer hau roposh
Main nay poochi jo kaifiyat uss kee
Hairat aNgez thaa jawaab-e-sarosh
yeh muqaam-e-khun'k jahannum hai
Naar say Noor say tahi aaghosh
Sholay hotay haiN musta'aar uss kay
Jinn say larzaaN haiN mard-e-Ibrat kosh
***Ahl-e-Duniya yahaaN jo aatay haiN
Apnay aNggaar saath laatay haiN*
Re: Poet of the Month… Allama Iqbal