Re: Poet of the Month… Allama Iqbal
Re: Poet of the Month… Allama Iqbal
Re: Poet of the Month… Allama Iqbal
Re: Poet of the Month… Allama Iqbal
Re: Poet of the Month… Allama Iqbal
Re: Poet of the Month… Allama Iqbal
Wah! Aik Arzzoo was in my Urdu Book, bachpan sy meri pasandeeda nazm hai Khub GT:lajawab:
Re: Poet of the Month… Allama Iqbal
Maomin
Her lehza hai Moomin ki naai aan nai shan
Guftar main kirdar main Allah ki burhan
Qaharai O Ghafari o qudussi o jubroot
Yeh char anasir hon tu bnta hai muslman
Hamsaiyay jibrail-e-ameen bandaai khaki
Hy is ka nashiman na Bukhar ana badakhshan
Yeh bat kisi ko nahi maloom ky maomin
Qari nazar atta hai haqeeqat main hy Qurraan
Jis sy jigar-e-lala main thandak ho woh shabnam
Darriaon ky dil jis sy dehal jaain woh toofan
Re: Poet of the Month… Allama Iqbal
Re: Poet of the Month… Allama Iqbal
ur kyu rahy ho Alama nay kaha hai basera kar pharoo ki chatano par ![]()
Re: Poet of the Month.... Allama Iqbal
khudi hai zinda to hai mout ek maqam-e-hayaat
kay ishq mout say karta hai ek imtahan-e-sabaat
khudi hai zinda to dariya hai bay-karana tera
teray faraq mai muztar hai mouje-e-neel-o-farat
khudi hai murda to manid-e-kah paish-e-naseem
khudi hai zinda to sultan-e-jumla mojuda'at
nigah ek tajali say hai agar mehroom
woh sud hazar tajali talafi mafaat
muqaam banda-e-momin ka hai waraye sephar
zameen say taba-suraiya tamam lat-o-man'aat
hareem-e-zaat hai is ka nasheemun abdi
na tera khak-e-lehad hai na jalwa gah-e-safat
Re: Poet of the Month… Allama Iqbal
From Zarb-e-Kaleem:
Re: Poet of the Month… Allama Iqbal
Allama Iqbal also gave me another option ![]()
Guz’r auqaat kar letaa hai ye koh-o-bayabaaN maiN
kay ShaheeN kay liye ZILLAT hai kaar-e-aashiyaaN bandi
Re: Poet of the Month.... Allama Iqbal
Fard Qayam Rabt-e-Millat Se Hai Tanha Kuch Nahi
Mauj Hai Darya Main Aur Bairoon-e-Darya Kuch Nahi
Re: Poet of the Month… Allama Iqbal
^^ Wah ![]()
Re: Poet of the Month.... Allama Iqbal
*
Khudi ka sar_e nihaa.n LA' ILAHA IL"LALAH
khudi hay taig_e fusaa.n LA' ILAHA IL"LALAH
ye dor apney Baraheem ki talash main hay
sanam kadah hay jahaa.n LA' ILAHA IL"LALAH
kiya hay tu nay mata_e mata_e ghuroor ka soda
faraib_e sod_o zayaa.n! LA' ILAHA IL"LALAH
ye maal_o dolat_e duniya. ye rishta_o paiwand
butaan_e weh'm_o gumaa.n! LA' ILAHA IL"LALAH
khirad hoi hay zamaa.n O makaa.n ki zannari!
na hay zamaa.n, na makaa.n! LA' ILAHA IL"LALAH
ye naghma faz'l_e gull_o lala ka nahi paband
bahaar ho k khizaa.n, LA' ILAHA IL"LALAH
agar chey butt hain jama'at ki aastinoo.n main
mujhe hay hukm_e azaa.n, LA' ILAHA IL"LALAH
*
Re: Poet of the Month… Allama Iqbal
^
Arif bhai: already shared in post number 56… Can you share something more ![]()
Re: Poet of the Month.... Allama Iqbal
Aurat
*
Johar_e mard ayaan hota hay beminnat_e ghair
Ghair k haath main hay johar_e aurat ki namood
Raaz hay is ka tap_e ghum ka yehi nuqta_e shouq
Aatasheen lazzat_e takhleeq sey hay is ka wojood
Khultey jatey hain isi aag sey israar_e hayat
Garm isi aag sey hay moa'arka_e bod_o nabod!
Main bhi mazloom_e niswaan sey hoon ghumnaak bohat
Nahi mumkin magar is uqdah_e mushkil ki kashood ...
*
Re: Poet of the Month.... Allama Iqbal
:P