Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -

Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -

Gham-e-ashiqui se keh do rah-e-aam tak na pohanche
mujhe khauf hai ye tohmat maire nam tak na pohanche

main nazar se pee raha tha tou yeh dil ne bad-dua dii
taira haath zindagi bhar kabhi jaam tak na pohanche

naii subah per nazar hai magarr aah yeh bhi darr haii
ye seherr b raffta raffta kahin shaam tak na pohanche

unhain apne dil kii khabrein maire dil se mil rahi hain
main jo un se rooth jaaun tou pyaam tak na pohanche

yehh ada-e-be'nayazi tujhayy be-wafa mubarakk....
magar aisi be-rukhi kia ke salaam tak na pohanche

jo naqaab-e-rukh utha dii tou yeh qaid bhi lagaa dii
uthe harr nigah laikinn koii baam tak na pohanche

wohi ik khamosh naghma hai Shakeel` jaan-e-hasstii
jo zabaan tak na aaye jo kalaaam tak na pohanche

Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -

:k:

Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -

badayuni ka kia metleb he ?

Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -

Masoom Muskaan Ka Kya Matlab Hai ?

Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -

Tum nay yeh kia sitam kia zabt say kaam lay lia
Tark e wafa kay baad BHi mera salaam lay lia

Rinda e KHaraab e nauSH kee bay adabi to deKHiay
Neeyat e mayakaSHi na kee haaTH maiN jaam lay lia

Sehan e CHaman maiN daf'atan Aakay palaT gayee bahaar
Ahal e junooN nay GHaaliban aql say kaam lay lia

Naama e SHauq paRh kay wo KHo gaye yak ba yak "Shakeel"
Moonh say tu kuCH na keh sakay dil say payam lay lia

Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -

Aksar shair hazraat apnay naam kay aakhir main apnay shahr/qasbay ka naam bhi likhtay hain, jaisa keh Akbar Allahabadi ka taaluq Allahabad say tha, Jiger Muradabadi ka talluq Muradabad say tha, Hafeez Jalandhri ka talluq Jalandhar say hai, Majrooh Sultanpuri ka talluq Sultanpur say hai isi tarah Shakeel Badayuni sahab Badayun say talluq kee bina per Badayun likhtay thay naam kay aakhir main. Ummed hai baat samajh mai aa gayee hogee. :slight_smile:

Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -

Asalam u Alaikum !
Another Great Peice Of My Choice From Shakeel Badayuni's Kalaam

zauq-e-sitam junuuN kee hadoN se guzar gayaa
kam-zarf zindaa rah gaye, insaan mar gayaa

Gham Khaanaa-e-jahaaN meN kise jurrat-e-qayaam
meraa hi hausla thaa, do din TheHar gayaa

hai shiddat-e-Khuloos ek zurm-e-aashiquii
parwaana jal ke shamma ko badnaam kar gayaa

baiThe haiN aaj aaiinaa le ke wo
ab jaaniye ke nazm-e-do aalam saNwar gayaa

lillah ! aap mujhse muHabbat na keejiye
do roz hi meN aapkaa chehraa utar gayaa

bEing lonEly !!! sid !!!

Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -

Bohat khoob.. :lajawab:

Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -

Zabardast Choice :lajawab:

Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -

Thanks PK :rose:

Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -

Sid yeh Thanks maira tha :vivo:

Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -

Thankew..

Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -

Tum Rakh Lo … jealious Ppl Kissi ko Khush Naheen Daikh Saktay :frowning:

U R Always Belcom :smiley:

Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -

lol thanks shumiii jee me se ghalti se mistake ho gaya :hehe:

Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -

Asalam u Alaikum !

bas ik nigaah-e-karam hai kaafii agar u.nhe.n pesh-o-pas nahii.n hai
zaahe tamannaa kii merii fitarat asiir-e-hirs-o-havas nahii.n hai

nazar se sayyaad duur ho jaa yahaa.N teraa mujh pe bas nahii.n hai
chaman ko barbaad karanevaale ye aashiyaa.N hai qafas nahii.n hai

kisii ke jalve ta.Dap rahe hai.n huduud-e-hosh-o-Khirad ke aage
huduud-e-hosh-o-Khirad ke aage nigaah ke dastaras nahii.n hai

jahaa.N kii nayarangiiyo.n se yaksar badal ga_ii aashiyaa.N kii suurat
qafas samajhatii hai.n jin ko nazare.n vo dar-haqiiqat qafas nahii.n hai

kahaa.N ke naale kahaa.N kii aahe.n jamii hai.n un kii taraf nigaahe.n
kuchh is qadar mahv-e-yaad huu.N mai.n ki fursat-e-yak-nafas nahii.n hai

tasavvur-e-ishrat-e-guzishtaa kaa husn-e-taasiir allaah allaah
vahii fazaaye.N vahii havaaye.N chaman se kuchh kam qafas nahii.n hai

kisii ke be'etanaa_iyo.n ne badal hii Daalaa nizaam-e-gulashan
jo baat pahale bahaar me.n thii vo baat ab ke baras nahii.n hai

ye buu-e-sumbul, ye Khaa.ndaa gul aur aah! ye dard bharii sadaaye.N
qafas ke a.ndar chaman ho shaayad chaman ke a.ndar qafas nahii.n hai

na hosh-e-Khilvat na fikr-e-mahafil ayaa.N ho ab kis pe haalaat-e-dil
mai.n aap hii apanaa ham-nafas huu.N meraa ko_ii ham-nafas nahii.n hai

kare.n bhii kyaa shikavaa-e-zamaanaa kahe.n bhii kyaa dard kaa fasaanaa
jahaa.N me.n hai.n laakh dushman-e-jaa.N ko_ii masiihaa nafas nahii.n hai

sunii hai ahal-e-junuu.N ne aksar Khaamoshii-e-marg kii sadaaye.N
sunaa ye thaa kaaravaan-e-hastii rahiin-e-baa.ng-e-jaras nahii.n hai

chaman kii aazaadiyaa.N muaKhKhar tasavvur-e-aashiyaa.N muqaddam
Gam-e-asiiriihai naa-mukammal agar Gam-e-Khaar-o-Khas nahii.n hai

na kar mujhe sharmsaar naaseh mai.n dil se majabuur huu.N ki jis kaa
hai yuu.N to kaun-o-makaa.N pe qaabuu magar muhabbat pe bas nahii.n hai

kahaa.N vo ummiid aamad aamad kahaa.N ye iifaa_e ahad-e-fardaa
jab aitabaar-e-nazar na thaa kuchh ab aitabaar-e-nafas nahii.n hai

vahii.n hai.n naGme.n vahii hai naale sun ai mujhe bhuul jaane vaale
terii sama'at se duur huu.N mai.n jabhii to naalo.n me.n ras nahii.n hai

"Shakeel" duniyaa me.n jis ko dekhaa kuchh us kii duniyaa hii aur dekhii
hazaar naqqaad-e-zindagii hai.n magar ko_ii nuktaaras nahii.n hai

Shakeel Badayuni

Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -

^ Yeh b tum ne de dii :smack: …Ab tou inka net pe kuch nahin bacha :teary2:

P.S: Great Addition :k:

Ho gaya nahin, Ho gayiii… :emmy:

Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -

Thanks ! Itni Jaldi Mayuus Nahi Hotay :stuck_out_tongue:

Meri taraf ghalti se he mistake hota hai !

Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -

Movie: Uran Khatola
Singer: M.Rafi
Lyrix:Shakeel Badayuni

Chale aaj tum jahan se
Hui zindagi parayi
Tumhein mil gaya thikana
Hamein maut bhi na aayi
Oh door ke musafir
Hamko bhi saath le le re
Hamko bhi saath le le
Ham reh gaye akele
Tu ne to de diya gham
Be maut mar gaye hum
Dil uth gaya jahan se
Le chal hamein yahan se
Kis kam ki yeh duniya
Jo zindagi se khele re
Hamko bhi saath le le
Ham reh gaye akele
Sooni hai dil ki raahein
Khamosh hai nigahen
Nakaam hasraton ka
Uthne ko hai janaza
Chaaro'n taraf lage hai
Barbadiyon ke mele re
Hamko bhi saath le le
Ham reh gaye akele
Oh door ke musafir
Hamko bhi saath le le re
Hamko bhi saath le le
Ham reh gaye akele

Shakeel Badayuni

Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -

SHikawa e iztaraab kaun karay
Apni duniya KHaraab kaun karay

Gin tu letay haiN ungliyoN pay gunaah
RehmatoN ka hisaab kaun karay

Ishq kee talKH kaamiyoN kay nisaar
Zindagi kaamyaab kaun karay

Dawat e maykaSHi un AAnkhoN maiN
Jurrat e iztaraab kaun karay

Dil ka AAina saamnay laakar
TuJH ko tera jawaab kaun karay

Hum say maykaSH jo tauba kar baiTHaiN
PHir ye kaar e sawaab kaun karay

GHarq e jaam o SHaraab hokay 'Shakeel'
SHuGHal e jaam o sharaab kaun karay

Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -

Wise guy its been already shared by shumaisa :)