Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -
Thanks, although I checked all the pages before posting, phir bhi I missed that post. :)
Wise guy its been already shared by shumaisa :)

KHuSH hooN keh mera husn e talab kaam tu AAya
KHaali hee sahee meri taraf jaam tu AAya
Kafi hai meray dil kee tasalli ko yehi baat
AAp AA na sakay AAp ka paiGHaam tu AAya
ApnoN nay nazar PHeri tu dil nay tu diya saaTH
Duniya maiN koi dost meray kaam tu AAya
Wo subah ka ehsaas ho ya meri kaSHiSH ho
Dooba hua KHurSHid sar e baam tu AAya
Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -
^ Outstanding ![]()
Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -
Singer : Lata
Lyrix: Shakeel Badayuni
Kahin deep jale kahin dil
Zara dekh le aakar parwaane
Teri kaunsi hai manzil
Kahin deep jale kahin dil
Mera geet mere dil ki pukaar hai
Jahan main hoon vahin tera pyaar hai
Mera dil hai teri mehfil
Zara dekh le aakar parwaane
Teri kaunsi hai manzil
Kahin deep jale kahin dil
Na main sapna hoon na koi raaz hoon
Ek dard bhari aawaaz hoon
Piya der na kar aa mil
Zara dekh le aakar parwaane
Teri kaunsi hai manzil
Kahin deep jale kahin dil
Dushman hai hazaaron yahan jaan ke
Zara milna nazar pehchaanke
Kayi roop mein hai kaatil
Zara dekh le aakar parwaane
Teri kaunsi hai manzil
Kahin deep jale kahin dil
Shakeel Badayuni
Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -
Beautiful Sharing.. :k:
Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -
Aey mUhabbat Teray Anjaam Pey rOna Aaya
jAaney KyOn Aaj Teray Naam Pey rOna Aaya
yOn tO Har Shaam UmeedOn Mein gUzar jAatii Thi
Aaj Kuch Baat hAi jO Shaam Pey rOna Aaya
Kabhi TaQdeer Ka Maatam Kabhi dUniya Ka Gilla
*Manzil e Ishq Mein Har Gaam Pey rOna Aaya *
jAb hUa Zikr Zamaney Mein mUhabbat Ka "Shakeel"
*mUjh kO Apney Dil e NaKaam Pey rOna Aaya *
Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -
Very nice contribute every 1 thanks for sharing with us :)