Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -

Shakeel Badayuni
(August 3, 1916 - April 20, 1970)

http://www.downmelodylane.com/lrc_files/shakeel_main.jpg

Introduction:

Shakeel Badayuni was an accomplished Urdu poet, lyricist and songwriter.
His father, Mohammed Jamaal Ahmed Sokhta Qadiri wanted him to have a good career, thus he arranged Arabic, Urdu, Persian, and Hindi tuition for Shakeel at home.His inclination towards poetry was not hereditary like other shayars. One of his distant relatives, Zia-ul-Qadiri Badayuni was a religious shayar.

Poetry:

Following verse is enough for the introduction of his poetry:

Main Shakeel Dil Ka Hoon Tajurma
Ki Mohabbaton Ka Hoon Raazdaan
Mujhe Fakr Hai Meri Shayari
Zindagi Se Juda Nahin

Awards:

1961 Filmfare Best Lyricist Award for the song Chaudvin ka chand ho tumin the film Chaudhvin Ka Chand
1962 Filmfare Best Lyricist Award for the song husnwale tera jawab nahin in the film Gharana
1963 Filmfare Best Lyricist Award for the song kahin deep jale kahin dil in the film Bees Saal Baad

beIng lonely !!! sId !!!

Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -

Bana bana ke tamanna mita-ee jati hai
Terah terah say wafa aazma-ee jati hai

Jab unko meri mohabbat ka aitbaar nahi
Tu jhuka jhuka ke nazar kyon mila-ee jati hai

Humein dil ka pata vo humaein nahi dete
Humari cheez hamee say chupa-ee jati hai

Shakeel duur manzil say na umeed na ho
Ab aa- hee jati hai manzil aa-hee jati

Shakeel Badayuni

Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -

Ruuh Ko Tarpaa Rahii Hai Un Kii Yaad
Dard Ban Kar Chhaa Rahii Hai Un Kii Yaad

Ishq Se Ghabraa Rahii Hai Un Kii Yaad
Rukte Rukte Aa Rahii Hai Un Kii Yaad

Vo Hasnay Vo Zer-e-Lab Kuch Keh Uthay
Khwaab Se Dikhlaa Rahii Hai Un Kii Yaad

Main To Khuddaarii Ka Qaail Hoon Magar
Kyaa Karoon Phir Aa Rahii Hai Un Kii Yaad

Ab Khayaal-e-Tark-e-Rabt Zabt He Se Hai
Khud Ba Khud Sharmaa Rahii Hai Un Kii Yaad

Shakeel Badayuni

Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -

Personally I "LOVE" this ghazal !

Un Say Umeed-e-Runumaai Hai
Kya Nigaahon Ki Maut Aayi Hai

Dil Ne Gham Say Shikast Khaai Hai
Umer-e-Rafta TeriI Duhaaii Hai

Dil Ki Barbaadiyon Pay Naazaan Hon
Fatah Paa Kar Shikast Khaai Hai

Meray Maa-abad Nahi Hai Dair-o-Haram
Ehtiyaatan Jabeen Jhukaai Hai

Wo Hawa Day Rahay Hain Daaman ki
Haaye Kis Waqt Neend Aayi Hai

Khul Gaya Un Ki Aarzoo Main Ye Raaz
Zeest Apni Nahi Paraai Hai

Duur Ho Ghunchay Meri Nazar Say
Tu Nay Meri Hansi Churaai Hai

Gul Fasurdaa Chaman Udaas Shakeel
Yun Bhi Aksar Bahaar Aayi Hai

BEing loNely !!! sid !!!

Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -

Khud k pass jiski book hoti hai usko utha k poet of the month bana dayte ho.. :smilestar:
Inki jitni collection aap k pass hai uss mein se aadhi mujhe sendo fauran :naraz:

Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -

Zabardassttt.. :k:

Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -

:rotfl: Aap bhi parhna shuru karein na achay poets ko :stuck_out_tongue:

Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -

^ Aaj hi aik Ghazal parhi hai achay poet ki… lo post karr rahi hon :mocking:

Hangaamaa-e-Gham Se Tang Aa Kar Izhaar-e-Musarrat Kar Baithay
Mashuur Thii Apnii Zindaa Dilii Daanistaa Sharaarat Kar Baithay

Koshish To Bohat Kii Ham Ne Magar Paayaa Na Gham-e-hastii Kaa Mafar
Veeraanii-e-Dil Jab Had Se Barhi Ghabraa Ke Mohabbat Kar Baithay

Nazron Se Na Karte Pursish-e-Gham Khaamosh He Rehna Behtar Tha
Deevano’n Ko Tum Ne ChaiR Diyaa Wallaah Qayaamat Kar Baithay

Har Cheez Nahii’n Ik Markaz Par Ek Roz Idhar Ik Roz Udhar…
Nafrat Se Na Daikho Dushman Ko Shayad Ye Mohabbat Kar Baithay

Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -

Chalo kuch acha parhnay ko to mila tumhein aur hamein bhi :khekhe:

Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -

Asalam u Alaikum !

Duur hai manzil raahein mushkil aalam hai tanhaee ka
Aaj mujhe ehsaas huaa hai apni shikasta paaii ka

Dekh ke mujh ko dunya waale kehne lage hain dewaana
Aaj wahaan hai ishq jahaan kuch khauf nahi ruswaii ka

Chorh dein rasm-e-khud nigari ko torh dein apna imaan
Khatm kiye deta hai zaalim roop teri angraii ka

Maine ziya husn ko bakhshi uss ka to koi zikar nahi
Lekin ghar ghar mein charcha hai aaj teri raanaii ka

Ahal-e-hawas ab ghabrate hain doob ke bahr-e-gham mein Shakeel
Pehle na tha inn becharon ko andaaza gehraaii ka

Shakeel Badayuni

Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -

Yeh tum apni tareef kar rahay ho ya mairi.. :konfused:

zyadah itraao nahin acha, nahin tou woh waali b abhi post don gi jo kal k liye dii hai :emmy: …Agarr chahte ho k tumhari collection 10 din mein khatam na ho tou jab tak yeh thread chal raha hai mujh se bana k rakho :smiley:

Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -

^


=======================
**
Aankh Say Aankh Milata Hay Koi
Dil Ko Khee'nchay Liay Jaata Hay Koi
**
Vaa-e- Hayrat Keh Bharee Mehfil Main
Mujhko Tanhaa Nazar Aata Hay Koi
**
Chahiyay Khud Pay Yaqeen-e-Kamil
Hausla Kis Ka Barrhata Hay Koi
**
Sab Karishmaat-e-tasav'vur Hain* Shakeel***
Varna Aata Hay Na Jaata Hay Koi *
*

------------------------------
`````


**

Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -


==================
**
Mayree Zindgee Pay Na Muskuraa *
*Mujhay Zindgee Ka Ilm Naheen

Jiasay Tayray Gham Say Ho Vaasta *
*Vo Khizaa'n Bahaar Say Kam Naheen

**
Mayra Kufr Haasil-e-Zod Hay *
*Mayra Zod Haasil-e-Kufr Hay

Mayree Bandgee Hay Voh Bandgee
Jo Raheen-Der-o-Haram Naheen
**
Mujhay Raas Aa'ey Khudaa Karay
Yahee Ishtibaah Ki Saa'atain
Unhain Aitbaar-e-Vafaa Naheen
Mujay Aitbaar-e-Sitam Naheen
*
*Vahee Kaarvaa'n Vahee Raastay
Vahee Manzilain Vahee Marhalay

Magar Apnay Apnay Muqaam Par
Kabhi Tum Naheen ' Kabhi Hum Naheen
**
Na Voh Shaan-e-jabr-e-Shahab Hay
Na Voh Rang-e-qahr-Itaab Hay
Dil-e-Bayqarar Peh In Dinoo'n
Hay Sitam Yahi Keh Sitam Naheen
*
*Na Fanaa Mayree Na Baqaa Mayree

Muhay Ay **Shakeel* Na Dhoondiay*
Main Kissi Ka Husn-e-khayal Hoon
Mayraa Kuch Wajood-e-Adam Naheen
**
_____________________________
=====================================
*<<<<<<<<<<<<<<<>>>>>>>>>>>>>>>
*

Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -

**meri zindagi hei zaalim, tere gham se aashkara
tera gham hae dar-haqeeqat mujhe zindagi se pyara

vo agar bura na maane to jahaan-e-rung-o-buu mein
mei sukuun-e-dil ki khatir koi dhuunD luun sahara

ye falaq falaq hawayen ye jhuki jhuki ghaTayen
wo nazar bhi kya nazar hei jo samajh na le ishaara

mujhe aa gaya yakii sa yahi hae meri manzil
sar-e-rah jab kisi ne mujhe daffa'atan pukaraa

mei bataun farq naasih, jo hae mujh mein aur tujh mei
meri zindagi talaatum, teri zindagi kinaara ****

mujhe guftuguu se badhkar gham-e-izn guftuguu hei
wahi baat puuchte hein jo na keh sakun dobara

koi aye 'Shakeel' dekhe, ye junuun nahi to kya hei
ke usii ke ho gaye hum jo na ho saka hamara
**

Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -

*mere hum-nafas, mere hum-navaa mujhe dost ban ke daGaa nade
mei hun dard-e-ishq se jaan_balab, mujhe zindagi ki dua na de

mere daagh-e-dil se hei roshni,usi roshni se hei zindagi
mujhe dar hei ay mere chaaragar! ye charagh tu hi bujha na de

mujhe chhord de mere haal per, tere kya bharosa hei charagar
ye teri nawazish-e-mukhtasar, mera dard aur badha na de

mera azm itna buland hei ke paraye sholon ka dar nahi
mujhe khauf aatish-e-gul se hei, ye kahin chaman na ko jala na de

wo uthe hei leke jam-o-subuu, arey o 'Shakeel' kahan hei tu
tera jaam lene ko bazm mei koi aur haath badhaa na de*

Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -

**Ae mohabbat tere anjaam pe ronaa aaya
jaane kyon aaj tere naam pe ronaa aaya

yun to har shaam ummiidon men guzar jaati thii
aaj kuchh baat hai jo shaam pe ronaa aayaa

kabhii taqdiir kaa maatam kabhii duniya kaa gilaa
manzil-e-ishq mein har gaam pe ronaa aayaa

jab hua zikr zamaane mein mohabbat kaa 'Shakeel'
mujh ko apne dil-e-naakaam pe ronaa aaya**

Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -

Zindagii kaa dard lekar inqalaab aayaa to kiya
** ek doshiza pe ghurbat men shabaab aayaa to kiya**

** ab to aankhon par gham-e-hastii ke parde pad gaye**
** ab koii husn-e-mujassim be_naqaab aayaa to kiya**

Khud chale aate to shaayad baat ban jaatii koii
** baad tark-e-aashiqii Khat kaa jawaab aayaa to kiya**

** muddaton bichhade rahe phir bhii gale to mil liye**
** ham ko sharm aayii to kyaa un ko hijaab aayaa to kiya**

** ek tajallii se munawwar kiijiye qatl-e-hayaat**
** har tajallii par dil-e-Khaanaa_Kharaab aayaa to kiya**

** matalaa-e-hastii kii saazish dekhate ham bhii 'shakeel'**
** ham ko jab niind aa gayii phir mahataab aayaa to kiya**

Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -

**Zamiin pe fasl-e-gul aai, falak par mahataab aaya
sabhii aaye magar koi na shaayaan-e-shabaab aaya

meraa Khat padh ke bole naamabar se jaa Khuda_hafiz
javaab aayaa merii qismat se lekin lajavab aaya

ujaale garmii-e-raftaar ka hii saath dete hain
basera thaa jahan apana vahiin tak aaftaab aaya

"Shakeel" apane mazaaq-e-diid kii takamiil kyaa hotii
idhar nazaron ne himmat kii udhar ruKh par naqaab aayaa**

Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -

^ Lo Sid...JW ki contribution :)

Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -

vahhh!!!