Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -
Nice contributions by PK and JW
kaun kehta hai ke yeh poet unknown hai ![]()
Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -
Nice contributions by PK and JW
kaun kehta hai ke yeh poet unknown hai ![]()
Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -
![]()
Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -
Bohat khoob.. ![]()
Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -
Tairi mehfil se uthkar ishq ke maaron pe kia guzrii
mukhalif ek jahaan tha jaane be-charon pe kia guzrii
sehar ko rukhsat-e-beemar-e-furqatt daikhne walonn
kissi ne yeh b daikha raat bhar taaron pe kia guzrii
suna hai zindagi veeraniyon ne luutt lii mill karr
naa jaane zindagi ke naaz-bardaaron pay kia guzrii
hansiii aayii tou haii be-kaif sii laikin Khuda jaane....
mujhe masroor paa kar maire gham-khvaron pe kia guzri
aseer-e-gham to jaan de kar rihaee paa gaya laikin
kissi ko khabar zindaa'n ki deevaron pe kia guzrii
Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -
^
Umda great sharing :k:
Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -
Asalam u Alaikum !
Ye aish-o-tarab ke matavaale bekaar kii baatein kartay hain
Paayal ke Ghamon kaa ilm nahii'n jhankaar kii baatein kartay hain
Naa-haq hai havas ke bandon ko nazzaaraa-e-fitarat kaa daavaa
Aankhon mein nahii'n hai betaabii deedaar kii baatein kartay hain
Kehte hain unhii'n ko dushman-e-dil naam unhii'n kaa naaseh bhii
Wo log jo rah kar saahil par majhadhaar kii baatein kartay hain
Pohnchay hain jo apanii manzil par un ko to nahii'n kuch naaz-e-safar
Chlanay kaa jinhein muqadar nahii'n raftaar kii baatein kartay hain
Shakeel Badayuni
Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -
meRaa kufr haasil-e-zuud hai meRaa zuud haasil-e-kufR hai
meri bandagii vo hai bandagii jo rahiin-e-daiR-o-haram nahiN
mujhe raas aaye Khudaa kare yahi ishtibaah kii saa_ate'N
unheiN aitabaaR-e-vafaa to hai mujhe aitabaaR-e-sitam nahiN
vahi kaar'vaa'N vahii raaste vahi zindagi vahii maR'hale
magar apane-apane muqaam paR kabi tum nahiN kabi ham nahiN
na vo shaan-e-jabr-e-shabaab hai na vo rang-e-qahaR-e-itaab hai
dil-e-beqaRaar pe in dinoo'N hai sitam yahii ki sitam nahiN
na fanaa meRi na baqaa meRi mujhe ai 'Shakeel' na Dhuu.NDiye
maiN kisi kaa husn-e-Khayaal huuN meRaa kuch vujuud-o-adam nahiN
*
Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -
Nice sharing NJ :k:
Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -
Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -
Buhat Aalaa ![]()
Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -
Duniya badal gaee meri duniya badal gaee
TukRe hue jigar ke, chhuri dil pe chal gaee
Duniya badal gaee meri duniya badal gaee
Aisi chali hawa ke, KHushi dukh me DHal gaee
Dil KHaak ho gaya ye kisiko khabbar nahin
Sab ye samajh rahen hain tamanna nikal gaee
Barbaad ho gaya meri ummeed ka chaman
Jis Daal par kiya thha basera woh jal gaee
Duniya badal gaee, meri duniya badal gaee....
Shakeel Badayuni
Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -
Asalam u Alaikum !
Tamheed-e-sitam aur hai takmeel-e-jafa aur
chakne ka mazaa aur hai peene ka mazaa aur
taseer tu taaseer tasawwur hai gurezaan
raaton ko zara maangiye uth uth ke dua aur
donon hi binaa-e-kashish-o-jazb hain lekin
nagmon ki sadaa aur hai naalon ki sadaa aur
takraa ke vaheen tuut gaye sheesha-o-sagar
maekhwaaron ke jhurmut mein jo saqi ne kaha aur
wo khud nazar aate hain jafaon pe pashemaan
kya chahiye aur tum ko "Shakeel" is ke sivaa aur
Shakeel Badayuni
Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -
Raaz e dil kah ke sharmsaar na ho!
Naaseha hum bhi tere mahram hain!
Shakeel Badayuni
Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -
Asalam u Alaikum !
Shaayad aaghaaz hua phir kisii afasaane kaa
Hukm aadam ko hai jannat se nikal jaane kaa
Un se kuch keh to rahaa hoon magar ALLAH na kare
Vo bhii mafahuum na samajhe mere afasaane kaa
Dekhnaa dekhnaa ye hazarat-e-vaaiz hii na hoon
Raastaa puuchh rahaa hai koii maiKhaane kaa
Beta'alluq tere aage se guzar jaataa hoon
Ye bhii ek husn-e-talab hai tere diivaane kaa
Shakeel Badayuni
Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -
Asalam u Alaikum !
Tamheed-e-Sitam Aur Hai Takmeel-e-Jafa Aur
Chakh’nay Ka Maza Aur Hai Peenay Ka Maza Aur
Taaseer To Taaseer, Tasavvur Hai Gurezaa’n
Raaton Ko Zara Maangeay Uth Uth Ke Dua Aur
Donon Hi Bina-e-Kashish-o-Jazb Hai’n Lekin
Nagmon Ki Sadaa Aur Hai Naalon Ki Sadaa Aur
Tak’ra Ke Vaheen Tuut Gaye Sheesha-o-Saagar
Maikhuaaron Ke Jhurmat Mein Jo Saaqi Ne Kaha Aur
Vo Khud Nazar Aatay Hain Jafa’on Pe Pashemaan
Kyaa Chaheay Aur Tum Ko "Shakeel" Is Ke Siva Aur
Shakeel Badayuni
Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -
Personally I "LOVE" this ghazal !
Un Say Umeed-e-Runumaai Hai Kya Nigaahon Ki Maut Aayi Hai
Dil Ne Gham Say Shikast Khaai Hai Umer-e-Rafta TeriI Duhaaii Hai
Dil Ki Barbaadiyon Pay Naazaan Hon Fatah Paa Kar Shikast Khaai Hai
Meray Maa-abad Nahi Hai Dair-o-Haram Ehtiyaatan Jabeen Jhukaai Hai
Wo Hawa Day Rahay Hain Daaman ki Haaye Kis Waqt Neend Aayi Hai
Khul Gaya Un Ki Aarzoo Main Ye Raaz Zeest Apni Nahi Paraai Hai
Duur Ho Ghunchay Meri Nazar Say Tu Nay Meri Hansi Churaai Hai
Gul Fasurdaa Chaman Udaas Shakeel Yun Bhi Aksar Bahaar Aayi Hai
BEing loNely !!! sid !!!
bohat khoob Bl :)
Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -
nice choice Shumi ![]()
Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -
Thanks NJ !
Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -
Hashr tak garmii-e-ha.ngaamaa-e-hastii hai "Shakeel"
Sil-silaa Khatm na hogaa mere afasaane kaa
Shakeel Badayuni
Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -
Jeene waale qazaa se darrte hain
zeher pee karr dava se darte hain
zahidon ko kissi kaa khauf nahinn
sirrff kaali ghattaa se darrte hainn
aah jo kuch kahein hamain manzur
naik banday Khuda se darrte hain
dushmanon k sitam ka khauf nahin
doston kii wafaa se darrte hainn
azm-o-himmat k bawajood Shakeel`
ishq kii ibtidaa se darrte hainn...